Noor o BAshar Part 4
Al Quran. Ayat.. “WA ANZALNAA ELYEKUM NOORAN MUBEENA” Turjuma… Aur hum nay tumhari taraf roshan noor utara.
Tafseer. Is ayat mubaraka mai roshan noor sya murad SARKAR E AZAM Alaihisslam ke zaat hai.
Al Quran. Chahty hain ke Allah ka noor apnay muh (mouth) say bujha dain aur Allah na manay ga magar apnay noor ko poora kerna paray bura na manain kafir.
Sorah Tobah Ayat no 32 Parah 10.
Tafseer. Mufasreen is ayat ke tafseer main likhty hian ke is Ayat mai NOOR say murad SARKAR E AZAM Alaihisslam hain. kuffar chahty thy ke SARKAR E AZAM Alaihisslam ko (Ma’az Allah) qatal ker diya jae Quran e Majeed ke is ayat mai wazih hai ke Allah Ta’ala nay apnay Mahboob Alaihisslam ke qatal per kissi ko qudrat nahe di. In Ayat aur tafaseer say yeh baat sabit ho gae ke SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR hain.
NOOR E MUSTAFA Alaihisslam AHADEES KE ROSHNI MAIN.
Hadees
“AWWA LU MA KHALAQALLAHE NOORI”
Turjuma. SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya tamam makhlooqat say pehly Allah Ta’ala nay meray NOOR ko paida farmaya..
Ba hawala: Tafseer e Rooh ul bayan….jild 2 page no 191
Madiraj alnabawut jild 2 page 2, Ma’arij al Nabawaut Jild 5 page no 135
Hadees “ANA MIN NOORILLAHE WALKHALAQU KULLIHUM MIN NOORI”
Tarjuma. SARKAR E AZAM Alaihisslamnay irshad farmaya keh main Allah Ta’ala keh NOOR say hu aur sari makhlooq mey NOOR say hai.
Bahawala = Ma’arij al Nabawaut, Musanaf Shah Abdul Haq Muhaddis e Dehalvi Alerahma
Continue
No comments:
Post a Comment