Jis tarah Allah ta'ala ki zaat aur sifaaton ka janna zaroori hai usi tarah yeh bhi janna lazimi hai ki nabi me kya kya baaten honi chahiye aur kya na honi chahiye taaki aadmi kufr se bacha rahe
Rasool ke mayene
Rasool ke mayene hain khuda ke yehan se bando ke paas lhuda ka paigam lane wala
Nabi kon hota hai
Nabi woh aadmi hai jiske paas wahi yani khuda ka paigam aaya logon ko khuda ka rasta batane ke liye khwah yeh paigam nabi ke paas farishta lekar aaya ho ya khud nabi ko Allah ki taraf se iska ilm hua ho
Kaee nabi aur kaee farishte rasool hai
Nabi sab mard the na koi jinn nabi hua na koi aurat nabi hui
Ibadat riyazat ke zariye se aadmi nabi nahi hota mahez Allah ta'ala ki maherbani se hota hai
Isme aadmi ki koshish nahi chalti albatta nabi Allah ta'ala usi ko banata hai jisko is layek paida karta hai
Jo nabi hone se pahle hi tamam buri baaton se door rahta hai aur achhi baaton se saNwar chukta hau
Nabi me koi aisi baat nahi hoti jise log nafrat karte hon
Nabi ka chalan shakl aur surat hasab aur nasab
Nabi ka chal chalan shakl surat hasab nasab tour tarika baatchit sab achhe aur be aeb hote hain
Nabi ki aql kamil hoti hai
Nabi sab aadmiyon se zyada aqlmand hote hain
Bade bade hakim falsafi ki aql nabi ki aql ke lakhwin hissa tak bhi nahi pahochti
Jo yeh mane ke koi shakhs apni koshish se nabi ho sakta hai woh kafir hai
Aur jo ye samjhe ki nabi ki nabuwwat chhini ja sakti hai wo bhi kafir
Maasum koun hai?
Nabi aur farishta maasum hota hai yaani gunah usse nahi ho sakta
Nabi aur farishta ke aalawa kisi imam aur woli ko maasum manna gumrahi hai
Aur badmazahbi hai
Agarche imamon aur bade bade woliyon se bhi gunah nahi hota lekin kabhi koi gunah ho jaye to
Shar'an muhal bhi nahi
Allah ka paigam pahuchane nabi se bhulchuk nahi ho sakti muhal hai
Qanoon e shariyat page 12
No comments:
Post a Comment