async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Allah ta'ala ke zaat aur sifaat ke aqeede

Friday, July 3, 2015

Allah ta'ala ke zaat aur sifaat ke aqeede

Bismillahir rahmanir raheem

Post 1

Allah ta'ala ki zaat aur sifaat ke aqeede

Aqeeda_ Allah ek (1) hai

Paak bemisl beaib hai

Har kamal aur khubi ka zame hai

Koi kisi baat me na uska sharik na barabar na usse badhke

Woh apni tamam sifaate kamaaliya
Ke saath hamesha se hai
Aur hamesha rahega
Hameshgi sirf usi ki zaat aur sifaat ke liye hai

Uske siwa jo kuchh hai pahle na tha
Jab usne paida kiya tak hua

Wo apne ap hai

Usko kisi ne paida nahi kiya na woh kisi ka baap na kisi ka beta na uske koi biwi na rishtedar 
Sabse beneyaz hai

Woh kisi baat me kisi ka mohtaj nahi aur sabse uske mohtaj

Rozi dena marna jeelana usi ke ikhtwyar me hai
Woh sabka maalik jo chahe kare

Uske huqm me koi dam nahi mar sakta

Be uske chahe zarra nahi hil sakta

Woh har khuli chhupi honi anhoni ko janta hai koi chij uske ilm ke bahar nahi
Dunya jahan saare alam ki har chij usi ki paida ki hui hai

Sab uske bande hain
Woh apne bando par maan baap se jyada maherbaan rahem karne wala gunah baqshne wala touba kubul farmane wala hai

Uski pakad nihayet sakht jisse be uske chhudaye koi chhut nahi sakta

Izzat zillat usi ke ikhteyar me hai
Jise chahe izzat de jise chahe zalil kare

Maal aur aulad usi ke kabze me hai
Jise chahe ameer kare jise chahe fakir

Hidayat aur gumrahi kiski taraf se hai

Hidayat aur gumrahi
usi (Allah) ke taraf se hai

Jise chahe imaan nasib ho
Jise chahe kufr me mubtala ho

Woh jo karta hai hiqmat hai insaaf hai musalmano ko jannat aur ata farmayega kafiro par dozakh me azab karega

Uska har kaam hiqmat hai bande ki samjh me aaye ya na aaye

Uski nematen uske ahsan be inteha hain
Wohi is layek hai ki uski ibadat ki jaye
Uske siwa dusra koi ibadat ke layek nahi

Qanoon e shariyat page 8

No comments:

Post a Comment