async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: HAZRAT E BILAL RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAB

Thursday, August 18, 2016

HAZRAT E BILAL RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAB

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 38

HAZRAT E BILAL RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAB➡

Hazrat e Umar radiallaho ta aala anho ke ahde khilafat mein ek martaba kehet pad gaya to Hazrat e Bilal bin Haaris Mazni radiallaho ta aala anho roza e anwar par haazir huye aur arz kiya : Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam aapki ummat halaaq ho rahi hai , baarish nahi hoti , Huzoor salallaho alaihi wasallam unhe khwab mein mile aur farmaya : ae Bilal ! Umar ke pass jaao , usey mera salaam kaho aur keh do ki baarish ho jaayegi , Umar se ye bhi kehna ki kuch narmi ikhteyaar karein (ye Huzoor ne isliye farmaya ki Hazrat Umar Faarooq radiallaho ta aala anho deen ke maamle mein bade sakht the) Hazrat e Bilal Hazrat Umar ki khidmat mein haazir huye aur Huzoor salallaho alaihi wasallam ka salaam wa paigaam pahuncha diya , Hazrat e Umar ye salaam wa paigaam e mehboob paakar roye aur phir baarish bhi khoob huyi.

(Shawahid Ul Haq lil nabhani safaa 67)

Sabaq : Maaloom hua ki zaahiri wisaal sharif ke baad bhi sahaba e qiraam mushkil ke waqt Huzoor salallaho alaihi wasallam hi ki khidmat mein haazir hote the , har mushkil yahin se hal hoti hai , ye bhi maaloom hua ki Hazrat e Umar Faarooq radiallaho ta aala anho ki badi shaan hai , aap khalifa e barhaq hain , is qadr khushqismat hain ki zaahiri wisaal sharif ke baad bhi Huzoor ke salaam wa paigaam se musharraf hote hain , phir jise Hazrat e Faarooq e Aazam se adaawat hogi  wo Huzoor salallaho alaihi wasallam ko kyon na bura lagega ?

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

No comments:

Post a Comment