async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: ZAMEEN PAR HUQUMAT

Thursday, August 18, 2016

ZAMEEN PAR HUQUMAT

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 18

ZAMEEN PAR HUQUMAT➡

Huzoor salallaho alaihi wasallam ne Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ke saath mein jab Makka Moazzama se hijrat farmaayi to quresh e makka ne elaan kiya ki jo koi Mohammad (salallaho alaihi wasallam) aur uske saathi (Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho) ko giraftaar karke laayega usey sau oont inaam mein diye jaayenge! Suraka bin ja'asam ne ye elaan suna to apna tez raftaar ghoda nikala aur us par baithkar kehne laga ki mera ye tez raftaar ghoda Mohammad(salallaho alaihi ) aur Abu Baqr(radiallaho ta aala anho) ka peecha kar lega , main abhi un dono ko pakad kar laata hoon , chunanche usne apne ghode ko daudaya , thodi der mein Huzoor ke qareeb pahunch gaya. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne jab dekha ki suraka ghode par sawaar hamare peeche aa raha hai , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Ae Siddique! koi fiqr na karo Allah tabarak wa ta aala hamare saath hai , itne mein suraka bilkul qareeb aa pahuncha to Huzoor ne dua farmaayi , zameen ne fauran suraka ke ghode ko pakad liya aur uske chaaron pair pet tak zameen mein dhans gaye , suraka ye manzar dekhkar ghabraya aur arz karne laga :
Ya Mohammad (salallaho alaihi wasallam) mujhe aur mere ghode ko is museebat se najaat dilaaiye , main aapse waada karta hoon ki main peeche mud jaaunga , jo koi aapka peecha karta hua aapki talaash mein idhar aa raha hoga usey bhi waapas le jaaunga , aap tak naa aane doonga , chunanche Huzoor salallaho alaihi wasallam ke huqm se zameen ne usey chod diya.

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ka huqm wa farmaan zameen par bhi jaari hai aur qaaynaat ki har cheez Allah tabarak wa ta aala ne Huzoor ke taabe kar diya hai , phir jis shaksh ki apni biwi bhi uski taabe na ho wo agar Huzoor ki misl banne lage to wo kis qadr ahmak wa bewaqoof hai.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

No comments:

Post a Comment