✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 23
QAIDI CHACHA➡
Jung e Badr mein jab Allah tabarak wa ta aala ne musalmaano ko fatah aur kuffar ko shikasht di to musalmaano ke haath jo qaidi aaye un mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ke chacha Hazrat Abbas bhi the , qaidiyon se jab taawan talab kiya gaya to Hazrat Abbas kehne lage ki Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam) main to ek garib aadmi hoon mere pass kya hai ? Makka mein jab aapne mujhe choda tha to main tamam qabeela ke afraad se garib tha. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : ab jabki aapne apne ghar se fauz e kuffar ke saath jung e badr mein aana chaha to aap apni biwi Umme Fazl ko poshidgi mein chand sone ki eentein dekar aaye the , chacha jaan ye raaz aap kyon chipa rahe hain ? Hazrat Abbas ye gaib ki baat sunkar hairaan reh gaye aur baqaul e shayar :
Janaab e Hazrat e Abbas pe raasha hua taari
Ki paigambar to rakhte hain dilon ki bhi khabardaari
Khayaal aaya musalmaan nek o bad pehchaan jaate hain
Mohammad aadmi ke dil ki baatein jaan jaate hain
Huzoor salallaho alaihi wasallam ki ye ittela alal gaib ka mojiza dekhkar Hazrat Abbas iman le aaye.
(Dalail Ul Nabwiya jild 2 safaa 171)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam se koi baat maqfi nahi , Allah tabarak wa ta aala ne har cheez ka Huzoor ko ilm de diya hai , ye ilm e gaib bhi Huzoor ka ek mojiza hai jis par har musalmaan ka iman hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
No comments:
Post a Comment