async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: JANNAT KI OONTNI

Thursday, August 18, 2016

JANNAT KI OONTNI

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJATABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 25

JANNAT KI OONTNI➡

Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ek baar ghar tashreef laaye to Hazrat e Fatima radiallaho ta aala anha ne kaha : Maine ye soot kaata hai , aap isey bazaar le jaaiye aur bechkar aata le aaiye taaki Hasan aur Hussain (radiallaho ta aala anhuma) ko roti khila doon , Hazrat e Ali wo soot bazaar le gaye aur usey 6 dirham mein bech diya , phir un dirham ka kuch kharidna chahte the ki ek saail ne sada di , Hazrat e Ali ne wo rupye us saail ko de diye , thodi der baad ek aarabi aaya jiske paas badi farba ek oontni thi , wo bola ae Ali ! ye oontni kharidoge ? Farmaya : paise pass nahi hain , aarabi ne kaha udhaar deta hoon , ye kehkar oontni ki muhaar Hazrat e Ali ke haath mein de di aur khud chala gaya , itne mein ek dusra aarabi namudaar hua aur kaha : Ali ! oontni dete ho ? Farmaya : le lo , aarabi ne kaha 300 naqad deta hoon , ye kaha aur 300 naqad Hazrat e Ali ko de diye aur oontni lekar chala gaya , uske baad Hazrat e Ali ne pehle aarabi ko talash kiya magar wo na mila , aap ghar aaye aur dekha Huzoor salallaho alaihi wasallam Hazrat Fatima radiallaho ta aala anha ke pass tashreef farma hain , Huzoor ne muskura kar farmaya : Ali ! oontni ka kissa tum khud sunate ho ya main sunaaun ?
Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ne arz kiya Huzoor aap hi sunaayein , farmaya : pehla aarabi Jibraeel (alaihis salaam) tha aur dusra aarabi Israafeel (alaihis salaam) , oontni jannat ki wo oontni thi jis par jannat mein Fatima (radiallaho ta aala anho) sawaar hogi  , Khuda ko tumhara isaar , jo tumne 6 dirham saail ko diye , pasand aaya aur uske sile mein duniya mein bhi usne tumhein iska ajr oontni ki khareed o farokht ke bahaane diya.

(Jaami Ul mojizaat safaa 4)

Sabaq : Allah waale khud bhuke rehkar bhi mohtaajon ko khana khilaate hain , ye bhi maaloom hua ki hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam daana e guyoob hain , aapse koi baat maqfi nahi.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

No comments:

Post a Comment