async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 11

Wednesday, August 10, 2016

Post 11


HADEES # 7:
Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai:
Tarjuma: " Pas Hamare liye har cheez zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan li ".
(Jaamay Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD#5, PAGE#160, RAQAMUL HADEES 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot)
Imaam Jalaludeen 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Tibraani (Rehmatullah Aleh) ne IBN-E-UMAR (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH AZZAWAJAL ne Saari duniya ko utha kar mere Pesh-E-Nazar kar diya, aur main ise dekh raha hun, aur Qayaamat tak jo kuch us main hone waala hai main use us tarah Waazeh tor par dekh raha hun jese meri yeh hatheli hai, ALLAH AZZAWAJAL ne apne NABI k liye Munqashaf farmaya, jis tarah AAP se pehle NABIYON ki taraf kiya".
(Khasaesul Kubra, JIL#2, PAGE#185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya, Beroot)
Hadees # 8:
Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal main Ba Riwaayat Abu Zar Gafari (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " Hum ko HUZOOR (ALEH SALAAM) ne is Haal par chora k koi Parindah apne Par bhi nahin hilaata, Magar us ka hum ko ILM bata diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar)
IMAAM Bo Saf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte hain".
Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad aur Tabraani (Rehmatullah Aleh) ne Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal main chora hai, K Fiza-E-Aasmaani main jo parinda par maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se uska Zikar kar diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Matboo'a Darul Fikar Beroot)
Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HAZRAT ABU ZAR (RAZI ALLAH ANH) se Riwaayat hai k inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal par chora k Fiza-E-Aasmaani main jo Parinda par Maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se us ka Zikar kar diya hai".
(Majma-E-Sheyookh, PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) Farmate hain k Humen RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Is Haal par chora k Fiza main jo bhi apne Paron se Urne waala Parinda tha, AAP ne humen Us Se Muta'aliq Zikar kiya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Ab Aap Khud faisla karen.. k Kiya Bager ILm k Aasmaan main Urne waale Parinday k K baaray main maaloom kiya ja sakta hai???
Woh bhi tni jaldi maaloom karna, k Parinday k Par Hilaanay se pehle hi dusron ko bhi Parinday k Baaray main bata diya jae...
Ab aap khud hi faisla kar sakte hain, Q k Aasmaan main Urne Waala PArinday k Baaray main Maaloomat to Gaib hai, Q k GAIB har Chupi huwi cheez ko kehte hain, jo kisi Hawaas k bager maaloom na ki ja sake... to is GAIB k ILM ko kiya kahen ge???

Continue

No comments:

Post a Comment