✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 32
HUZOOR SALALLAHO ALAIHI WASALLAM AUR MALAKUL MAUT➡
Huzoor Sarwar e Aalam salallaho alaihi wasallam ke zaahiri wisaal sharif ka jab waqt aaya to Hazrat Malakul Maut Hazrat Jibraeel e Ameen alaihis salaam ke saath mein haazir huye , Hazrat Jibraeel e Ameen ne arz kiya :
Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam ye malakul maut aaya hai aur aapse ijazat talab karta hai , Huzoor ! isne aaj tak kabhi na kisi se ijazat li hai aur na aapke baad kisi se ijazat lega , Huzoor agar aap ijazat dein to apna kaam kare , Huzoor ne farmaya : Malakul Maut ko aage aane do , chunanche Malakul Maut aage bada aur arz karne laga : Ya Rasoolallah Allah tabarak wa ta aala ne mujhe aapki taraf bheja hai , mujhe ye huqm diya hai ki main aapka har huqm maanu aur jo aap farmayein wahi karun , lihaaza aap agar farmayein to main rooh e anwar kabz karoon warna waapas chala jaaun , Hazrat e Jibraeel ne arz kiya : Huzoor ! Khudawand Kareem aapke liqaaye wisaal ko chahta hai , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Ae Malakul Maut ! tumhe jaan lene ki ijazat hai , Hazrat e Jibraeel e Ameen alaihis salaam ne arz kiya : Huzoor ! ab jabki aap tashreef liye jaa rahe hain to phir zameen par mera ye aakhri phera hai , isliye ki mera maqsood to aap hi the , iske baad Malakul Maut kabz e rooh e anwar ke sharf se musharraf huye.
(Mawahib Ladduniya jild 4 safaa 571, Mishqaat Sharif safaa 541)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki itni badi shaan hai ki wo malakul maut jisne kabhi kisi bade se bade baadshah se bhi ijazat nahi li , hamare Huzoor ki khidmat mein haazir hokar pehle ijazat talab karta hai , yun kehta hai ki agar aap farmayein to jaan loon warna waapas chala jaaun , Khuda usey ye huqm dekar bhejta hai ki mere mehboob ki ita'at karna , jo wo farmayein wahi karna , bawajood iske jo gustakh Huzoor ko apni misl kehte hain kis qadar gumraah hain ? kya kabhi inse bhi malakul maut ne ijazat li hai ?
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔.
No comments:
Post a Comment