Saturday, August 20, 2016
Thursday, August 18, 2016
HAZRAT E UMME FATIMA RADIALLAHO TA AALA ANHA
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 39
HAZRAT E UMME FATIMA RADIALLAHO TA AALA ANHA➡
Skandriya ki ek khatoon Hazrat e Umme Fatima radiallaho ta aala anha Madina Munnawara mein haazir huyi to uska pair zakhmi ho gaya , hatta ki wo chalne se reh gayin , log Makka Moazzama jaane lage magar wo wahin reh gayin , ek din wo kisi tarah roza e anwar par haazir huyi , roza e anwar ka tawaaf karne lagi , tawaaf karti jaati aur kehti jaati , Ya Habibi Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam log chale gaye aur main reh gayi , Huzoor ! ya to mujhe bhi wapas bhejiye ya phir apne pass bula lijiye , ye keh rahi thi ki teen arbi naujawan masjid mein daakhil huye aur kehne lage ki kaun Makka Moazzama jaana chahta hai , Hazrat e Umme Fatima ne jaldi se kaha : main jaana chahti hoon , un mein se ek bola : to uthiye , Hazrat e Umme Fatima ne kaha : main uth nahi sakti , usne kaha : apna pair failaiye , to Hazrat e Umme Fatima ne apna suja hua pair failaya , unka jab suja hua pair dekha to teeno bole : haan yahi hain wo , phir teeno aage bade aur Hazrat e Umme Fatima ko uthakar sawari par baitha diya aur Makka Moazzama pahuncha diya , daryaaft karne par un mein se ek naujawan ne bataya ki mujhe Huzoor salallaho alaihi wasallam ne khwab mein huqm farmaya tha ki us aurat ko makka pahuncha do , Hazrat e Umme Fatima kehti hain ki main bade aaram se Makka pahunchi.
(Shawahid Ul Haq safaa 164)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam aaj bhi har fariyadi ki fariyad sunte hain , har mushkil hal farma dete hain , basharte ki fariyadi dil aur sacchi aqeedat se Ya Habibi Ya Rasoolallah kehne ka bhi aadi ho.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
HAZRAT E BILAL RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAB
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 38
HAZRAT E BILAL RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAB➡
Hazrat e Umar radiallaho ta aala anho ke ahde khilafat mein ek martaba kehet pad gaya to Hazrat e Bilal bin Haaris Mazni radiallaho ta aala anho roza e anwar par haazir huye aur arz kiya : Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam aapki ummat halaaq ho rahi hai , baarish nahi hoti , Huzoor salallaho alaihi wasallam unhe khwab mein mile aur farmaya : ae Bilal ! Umar ke pass jaao , usey mera salaam kaho aur keh do ki baarish ho jaayegi , Umar se ye bhi kehna ki kuch narmi ikhteyaar karein (ye Huzoor ne isliye farmaya ki Hazrat Umar Faarooq radiallaho ta aala anho deen ke maamle mein bade sakht the) Hazrat e Bilal Hazrat Umar ki khidmat mein haazir huye aur Huzoor salallaho alaihi wasallam ka salaam wa paigaam pahuncha diya , Hazrat e Umar ye salaam wa paigaam e mehboob paakar roye aur phir baarish bhi khoob huyi.
(Shawahid Ul Haq lil nabhani safaa 67)
Sabaq : Maaloom hua ki zaahiri wisaal sharif ke baad bhi sahaba e qiraam mushkil ke waqt Huzoor salallaho alaihi wasallam hi ki khidmat mein haazir hote the , har mushkil yahin se hal hoti hai , ye bhi maaloom hua ki Hazrat e Umar Faarooq radiallaho ta aala anho ki badi shaan hai , aap khalifa e barhaq hain , is qadr khushqismat hain ki zaahiri wisaal sharif ke baad bhi Huzoor ke salaam wa paigaam se musharraf hote hain , phir jise Hazrat e Faarooq e Aazam se adaawat hogi wo Huzoor salallaho alaihi wasallam ko kyon na bura lagega ?
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
AASMAN KA RONA
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 37
AASMAN KA RONA➡
Madina Munnawara mein ek baar sukha pad gaya , baarish hoti hi na thi , log Ummul Momineen Hazrat e Aaisha Siddiqua radiallaho ta aala anha ki khidmat mein fariyaad lekar haazir huye , Hazrat e Aaisha Siddiqua radiallaho ta aala anha ne farmaya : Huzoor salallaho alaihi wasallam ki qabr e anwar par se chat mein ek suraakh kar do taaki aasman aur qabr e anwar mein koi hijaab na rahe , chunanche logon ne aisa hi kiya to is qadr baarish huyi ki khetiyan hari bhari ho gayin aur jaanwar mote ho gaye , muhaddiseen likhte hain ki aasman ne jab qabr e anwar ko dekha to ro padha tha.
(Mishqaat Sharif safaa 527)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ka faiz paak aapke zaahiri wisaal sharif ke baad bhi badastoor jaari hai , Huzoor ki qabr e anwar ki ziyarat se har aankh aansuon ke phool barsaane lagti hai , ye bhi maaloom hua ki Allah tabarak wa ta aala se kuch paane ke liye Huzoor ka waseela zaroori hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
QABR E ANWAR SE AZAAN KI AAWAZ
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 36
QABR E ANWAR SE AZAAN KI AAWAZ➡
Jin dino lashkar e yazeed ne Madina Munnawara par chadai ki un dino teen din Masjid e Nabwi Sharif mein azaan na ho saki , Hazrat Saeed bin Musayyab radiallaho ta aala anho ne ye teen din Masjid e Nabwi Sharif mein rehkar guzaare , aap farmate hain ki namaz ka waqt ho jaane ka mujhe kuch pata nahi chalta tha magar is tarah ki jab namaz ka waqt aata qabr e anwar se ek halki si azaan ki aawaz aane lagti.
(Mishqaat Sharif safaa 537)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam qabr e anwar mein bhi zinda hain , jo shaksh Huzoor ko mar kar mitti mein mil jaane waala likhta hai wo bada beadab aur gustakh e rasool hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
QABR E ANWAR SE AAWAZ
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 35
QABR E ANWAR SE AAWAZ➡
Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho farmate hain : jab hum Huzoor salallaho alaihi wasallam ke dafn e mubaraq se faarig huye to teen roz ke baad ek aarabi qabr e anwar par haazir hua aur qabr e anwar ke saamne girkar qabr e anwar ki khaak apne sar par daalne laga aur phir kehne laga : Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam jo kuch aapne farmaya humne suna aur aapki zabaani humne Quran Sharif ki ye aayat bhi suni , (tarjama) ' jo log apni jaano par zulm kar baithen wo aapke pass haazir ho' pas ae Allah ke Rasool ! main apni jaan par zulm kar baitha hoon aur ab gunaahon ki maafi ke liye aapke pass aa pahuncha hoon.
Aarabi ne ye kaha to qabr e anwar se aawaz aayi ' jaao ! Allah ne tumhein baksh diya '.
(Hujjatullah alal aalameen safaa 777)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ka darbar e rehmat , aapke zaahiri wisaal sharif ke baad bhi badastoor laga hua hai , Huzoor apne zaahiri wisaal sharif ke baad bhi gunahgaaron ke liye zariya e najaat aur mamba e fuyooz o barkaat hain , aaj bhi hum Huzoor salallaho alaihi wasallam ke badastoor mohtaaj hain.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT...
HUZOOR SALALLAHO ALAIHI WASALLAM KA GUSL MUBARAQ
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 34
HUZOOR SALALLAHO ALAIHI WASALLAM KA GUSL MUBARAQ➡
Huzoor salallaho alaihi wasallam ke gusl mubaraq ke waqt sahaba e qiraam alaihim ur rizwan sochne lage aur aapas mein kehne lage - jis tarah dusre logon ke kapde utaarkar unko gusl diya jaata hai usi tarah Huzoor ke kapde mubaraq utaarkar Huzoor ko gusl diya jaaye ya Huzoor ko kapdon samet gusl diya jaaye , is baat par guftgu kar rahe the ki achanak sab par neend taari ho gayi aur sabke sar unke seeno par dhulak gaye , phir sabko ek aawaz aayi , kehne waala keh raha tha : tum jaante nahi ye kaun hain ? Khabardaar ye Rasoolullah hain , inke kapde na utaarna , inhe kapdon samet hi gusl do , phir sabki aankhein khul gayin , Huzoor ko kapdon samet hi gusl diya.
(Mawahib Ladduniya jild 2 safaa 378, Mishqaat Sharif safaa 537)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki shaan sabse mumtaz aur burgazeeda hai , koi shaksh aisa nahi jo unki misl ho , aapki ye zindagi , aapka zaahiri wisaal sharif , aapka gusl sharif aur aapka qabr e anwar mein raunak afroz bona har baat aapki mumtaz hai , koi shaksh kisi baat mein aapki misl nahi.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
SHAHI ISTIQBAAL
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 33
SHAHI ISTIQBAAL➡
Huzoor salallaho alaihi wasallam ke zaahiri wisaal sharif ke waqt Hazrat Jibraeel e Ameen alaihis salaam haazir huye aur arz karne lage : Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam aaj aasmano par Huzoor ke istiqbaal ki tayyariyan ho rahi hain , Allah tabarak wa ta aala ne jahannam ke daroga Hazrat Maalik ko huqm diya hai ki Maalik mere habeeb ki rooh e muttahra aasmano par tashreef la rahi hai , is aejaaz mein dozakh ki aag bujha do aur hooran e jannat se farmaya hai ki tum sab apni aarastgi karo aur sab farishton ko huqm diya hai ki taazeem e rooh e Mustafa ke liye sab saf ba saf khade ho jaao aur mujhe huqm farmaya hai ki main janaab ki khidmat mein haazir hokar aapko basharat doon ki tamam Ambiya e qiraam alaihis salaat o wat tasleem aur unki ummato par jannat haraam hai jab tak ki aapki ummat jannat mein daakhil na ho jaaye , kal qayamat ko Allah tabarak wa ta aala aapki ummat par aapke tufail is bakshish wa magfirat ki baarish farmayega ki aap raazi ho jaayenge.
(Madarijun Nubuwwa jild 2 safaa 254)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ka aejaaz o iqraam dono aalam mein hai , jinn o bashar , hoor o malaq sabhi Huzoor ke khuddam wa lashkari hain , aap dono aalam ke baadshah hain.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
HUZOOR SALALLAHO ALAIHI WASALLAM AUR MALAKUL MAUT
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 32
HUZOOR SALALLAHO ALAIHI WASALLAM AUR MALAKUL MAUT➡
Huzoor Sarwar e Aalam salallaho alaihi wasallam ke zaahiri wisaal sharif ka jab waqt aaya to Hazrat Malakul Maut Hazrat Jibraeel e Ameen alaihis salaam ke saath mein haazir huye , Hazrat Jibraeel e Ameen ne arz kiya :
Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam ye malakul maut aaya hai aur aapse ijazat talab karta hai , Huzoor ! isne aaj tak kabhi na kisi se ijazat li hai aur na aapke baad kisi se ijazat lega , Huzoor agar aap ijazat dein to apna kaam kare , Huzoor ne farmaya : Malakul Maut ko aage aane do , chunanche Malakul Maut aage bada aur arz karne laga : Ya Rasoolallah Allah tabarak wa ta aala ne mujhe aapki taraf bheja hai , mujhe ye huqm diya hai ki main aapka har huqm maanu aur jo aap farmayein wahi karun , lihaaza aap agar farmayein to main rooh e anwar kabz karoon warna waapas chala jaaun , Hazrat e Jibraeel ne arz kiya : Huzoor ! Khudawand Kareem aapke liqaaye wisaal ko chahta hai , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Ae Malakul Maut ! tumhe jaan lene ki ijazat hai , Hazrat e Jibraeel e Ameen alaihis salaam ne arz kiya : Huzoor ! ab jabki aap tashreef liye jaa rahe hain to phir zameen par mera ye aakhri phera hai , isliye ki mera maqsood to aap hi the , iske baad Malakul Maut kabz e rooh e anwar ke sharf se musharraf huye.
(Mawahib Ladduniya jild 4 safaa 571, Mishqaat Sharif safaa 541)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki itni badi shaan hai ki wo malakul maut jisne kabhi kisi bade se bade baadshah se bhi ijazat nahi li , hamare Huzoor ki khidmat mein haazir hokar pehle ijazat talab karta hai , yun kehta hai ki agar aap farmayein to jaan loon warna waapas chala jaaun , Khuda usey ye huqm dekar bhejta hai ki mere mehboob ki ita'at karna , jo wo farmayein wahi karna , bawajood iske jo gustakh Huzoor ko apni misl kehte hain kis qadar gumraah hain ? kya kabhi inse bhi malakul maut ne ijazat li hai ?
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔.
KHUSH AQEEDA YAAFOOR
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 31
KHUSH AQEEDA YAAFOOR➡
Fathe Khaibar ke baad Huzoor salallaho alaihi wasallam waapas aa rahe the ki raaste mein aapki khidmat mein ek gadha haazir hua aur arz karne laga -
Huzoor! meri arz bhi sunte jaaiye , Huzoor Rehmat e Aalam salallaho alaihi wasallam us miskeen jaanwar ki arz sunne ko theher gaye aur farmaya : batao kya kehna chahte ho ? wo bola , Huzoor mera naam Yazeed bin shahaab hai aur mere dada ki nasl se Khuda ne 60 khar paida kiye hain , un sab par Allah ke Nabi sawaar hote rahe , Huzoor ! mere dil ki ye tamanna hai ki mujh miskeen par Huzoor sawari farmayein , Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam main is baat ka mustahiq hoon , wo is tarah ki mere dada ki aulaad mein se mere siwa aur koi baaki na raha aur Allah ke Rasoolon mein se aap aakhri Rasool hain.
Huzoor salallaho alaihi wasallam ne uski ye khwaish sunkar farmaya : accha hum tumhe apni sawari ke liye manzoor farmate hain aur tumhara naam badalkar hum Yaafoor rakhte hain.
(Hujjatullahu alal aalameen safaa 460)
Sabaq : Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khatm e nubuwwat ka iqrar ek gadha bhi kar raha hai , phir jo khatm e nubuwwat ka inqar kare wo kyon na gadhe se bhi badtar ho.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
BHEDIYE KI GAWAHI
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 30
BHEDIYE KI GAWAHI➡
Madina Munnawara ke kisi maqam par ek charwaha apni bakriyan chara raha tha ki achanak ek bhediya aaya aur bakriyon ke rewad mein ghuskar ek bakri ka shikar kar le bhaaga , charwahe ne dekha to usne bhediye ka peecha kiya aur usse bakri chuda li , bhediye ne jab dekha ki mera shikaar mujhse cheen liya gaya hai to ek teele par chadkar bazabaan e faseeh kehne laga : miyan charwahe! Allah tabarak wa ta aala ne mujhe rizk diya tha magar afsos ki tumne mujhse cheen liya , charwahe ne jab bhediye ko kalaam karte huye dekha to hairaan hokar bola : ta'ajjub hai ki ek bhediya bhi kalaam karta hai , bhediye ne phir kalaam kiya aur kaha : issey bhi zyada ta'ajjub waali baat to ye hai ki Madina Sharif mein ek aisa wajood maujood hai jo tumhe jo kuch ho chuka hai aur jo kuch aainda hone waala hai un sab agli pichli baaton ki khabar deta hai magar tum us par iman nahi laate , charwaha jo yahudi tha bhediye ki is gawahi ko sunkar bada mutassir hua aur baargah e risalat mein haazir hokar musalmaan ho gaya.
(Mishqaat Sharif safaa 533)
Sabaq : Ek jaanwar bhi jaanta aur maanta hai ki Huzoor salallaho alaihi wasallam har guzri huyi aur hone waali baat ko jaante hain , magar ek baraye naam insaan bhi hain jo Huzoor ke liye deewar ke peeche ka ilm bhi tasleem nahi karte.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
RAAT KA CHOR
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 29
RAAT KA CHOR➡
Ek martaba Huzoor salallaho alaihi wasallam ne Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho ko sadqa e fitr ki hifazat ke liye muqarrar farmaya , Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho raat bhar us maal ki hifazat farmate rahe , ek raat ek chor aaya aur maal churane laga , Hazrat e Abu Huraira ne usey dekh liya , usey pakad liya , farmaya : main tujhe Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein pesh karunga , us chor ne minnat samajat karna shuru kar di , kaha : khudara! mujhe chod do main sahib e ayaal hoon aur mohtaaj hoon , Hazrat Abu Huraira ko rehem aa gaya aur usey chod diya , subah Hazrat Abu Huraira jab baargah e risalat mein haazir huye to Huzoor salallaho alaihi wasallam ne muskurakar farmaya : Abu Huraira! wo raat waale tumhare qaidi ne kya kiya ? Hazrat Abu Huraira ne arz kiya : Huzoor! usne apni ayaaldaari aur mohtaaji bayaan ki to mujhe rehem aa gaya aur maine usey chod diya , Huzoor ne farmaya : usne tumse jhoot bola , khabardar rehna aaj raat wo phir aayega. Hazrat Abu Huraira radiallaho ta aala anho kehte hain ki main dusri raat bhi uske intezaar mein raha , kya dekhta hoon ki wo waaqai phir aa pahuncha aur maal churane laga , maine phir usey pakad liya , usne phir minnat khushamad ki aur mujhe phir rehem aa gaya aur maine phir usey chod diya , subah jab Huzoor ki baargah mein haazir hua to Huzoor ne phir farmaya : Abu Huraira ! wo raat waale qaidi ne kya kiya ? maine phir arz kiya : Huzoor ! wo apni haajat bayan karne laga to mujhe rehem aa gaya aur maine phir usey chod diya , Huzoor ne farmaya : usne tumse jhoot kaha khabardaar , aaj wo phir aayega. Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho kehte hain ki teesri raat wo phir aaya , maine usey pakadkar kaha ki kambakht aaj na chodunga aur Huzoor ke pass zaroor lekar jaaunga , wo bola Abu Huraira ! main tumhe chand aise kalimaat sikhana chahta hoon jinko padhne se tu nafaa mein rahega , suno jab sone lago to aayat ul qursi padhkar soya karo , issey Allah tabarak wa ta aala tumhari hifazat farmayega aur shaitaan tumhare nazdeek nahi aa sakega. Hazrat e Abu Huraira farmate hain : wo mujhe ye kalimaat sikhakar mujhse rihaai paa gaya , maine jab subah Huzoor salallaho alaihi wasallam ki baargah mein ye saara kissa bayaan kiya to Huzoor ne farmaya : usne ye baat sach kahi , haanlaki khud wo bada jhoota hai , kya tu jaanta hai Ae Abu Huraira ki wo teen raat aane waala kaun tha ? Maine arz kiya : nahi Ya Rasoolallah main nahi jaanta , farmaya : wo shaitaan tha.
(Mishqaat Sharif safaa 177)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam guzre huye aur hone waale sab waaqiat ko jaante hain , Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho ke pass raat ko chor aaya to Huzoor ne khud hi farmaya ki Abu Huraira raat ke qaidi ne kya kiya ? phir ye bhi farmaya ki aaj phir aayega , chunanche wahi kuch hua jo Huzoor ne farmaya , maaloom hua ki Huzoor salallaho alaihi wasallam aalim e maa kaana wa ma yakoon hain.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
DOODH PEETE BACCHE KA AELAAN E HAQ
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 28
DOODH PEETE BACCHE KA AELAAN E HAQ➡
Huzoor Sarkar e Do Aalam salallaho alaihi wasallam ek martaba sahaba e qiraam alaihimur rizwaan ke darmiyaan tashreef farma the ki ek mushriqa aurat , jiski god mein do maah ka doodh peeta baccha tha , us taraf se guzri , us bacche ne Huzoor ki taraf nazar ki to ek dum zabaan se pukar utha : As salaam o aleyka Ya Rasoolallah wa Ya Akram Khalqillah!
Maa ne jab dekha ki mera do maah ka baccha kalaam karne laga to wo hairaan reh gayi aur boli : beta! ye kalaam karna tujhe kisne sikha diya ? ye Allah ke Rasool hain , ye tujhe kisne bata diya ? baccha ab apni maa se mukhatib hokar kehne laga ki ae maa! ye kalaam karna mujhe usi Allah ne sikhaya hai jisne sab insaano ko ye taqat di hai aur ye dekh mere sar par Jibraeel e Ameen alaihis salaam khade hain jo mujhe bata rahe hain ki ye Allah ke Rasool hain , maa ne ye aejaaz dekha to jhat kalimaa padhkar musalmaan ho gayi. Maulana Rumi alaihir rehma Masnawi Sharif mein farmate hain ki phir Huzoor ne us bacche ko mukhatib hokar daryaft farmaya ki tumhara naam kya hai ? to wo bola :
Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam is musht e khaaq maa ke nazdeek to mera naam abd e izza hai lekin Allah tabarak wa ta aala ke nazdeek mera naam Abdul Aziz hai.
(Nuzhat Ul Majalis jild 2 safaa 78)
Sabaq : Ek do maah ka baccha to Huzoor salallaho alaihi wasallam ko jaan aur maan le aur apni maa ko bhi jannat mein le jaaye magar agsos in umr raseeda badbakhton par jinhone Huzoor ko na jaana , na maana aur apni jahalat wa gustakhiyon se khud bhi doobe aur dusron ko bhi le doobe.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
EK KAAFIRA KA MAKAAN
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 27
EK KAAFIRA KA MAKAAN➡
Huzoor sarwar e aalam salallaho alaihi wasallam fathe makka ke baad ek din Makka Moazzama ki ek kaafira aurat ke makaan ki deewar se takiya lagakar kisi gulam se guftgu farma rahe the , us makaan waali kaafira aurat ko jab pata chala ki Mohammad (salallaho alaihi wasallam) mere makaan ki deewar se takiya lagaye baithe hain to bugz o adaawat se usne apne makaan ki sab khidkiyan band kar daali taaki Huzoor ki aawaz na sun paaye , usi waqt Jibraeel e Ameen alaihis salaam haazir huye aur arz kiya :
Ya Rasoolallah! Khuda farmata hai ki agarche ye aurat kaafira hai magar aapki shaan badi arfaa o buland hai , chunki us kaafira ke makaan ki deewar ke saath aapki pusht e anwar lag gayi hai isliye Rab tabarak wa ta aala nahi chahta ki ye makaan waali ab jahannam mein jale , us aurat ne to apne makaan ki khidkiyon ko band kiya hai magar humne uske dil ki khidki khol di hai , ye sirf uski deewar se aapke takiya lagakar baithne ki barkat se hai , itne mein wo aurat bechain hokar ghar se nikli aur Huzoor ke qadmon par gir gayi aur sacche dil se kalima pukar uthi
Ash hadu al lailaha il Allah wa ash hadu anna ka Mohammad ur Rasoolullah.
(Nuzhat Ul Majalis jild 2 safaa 78)
Sabaq : Jis aurat ke makaan ki deewar se Huzoor salallaho alaihi wasallam ki pusht e anwar lag gayi wo aurat jahannam ki aag se bach gayi , to jis khushqismat aur muqaddas khatoon Hazrat Aamina radiallaho ta aala anha ke shiqam e anwar mein Huzoor ne qayaam farmaya ho wo muqaddas khatoon kyon jannat ki maalik na hogi ? Phir kis qadar badbakht hain wo log jo Huzoor ke waalidain moazzamain ke mutalliq kuch ka kuch kehte hain.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
JUNGLE KI HIRNI
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 26
JUNGLE KI HIRNI➡
Ek jungle mein ek hirni rehti thi , uske do bacche the , ek baar wo baahar nikli to kisi shikari ne jaal bicha rakha tha , bekhabar hirni us jaal mein fans gayi , jab usne dekha ki main to fans gayi hoon to badi pareshaan huyi , uski khushqismati dekhiye ki usi jungle mein Huzoor salallaho alaihi wasallam tashreef laate huye usey nazar aaye , jab usne Huzoor Rehmat e Aalam salallaho alaihi wasallam ko dekha to pukari Ya Rasoolallah! mujh par rehem farmaiye , Huzoor ne uski pukar suni aur uske pass tashreef laakar farmaya : kya haajat hai ? wo boli Huzoor! main is aarabi ke jaal mein fans gayi hoon , mere do chote chote bacche hain jo is qareeb ke pahadon mein hain , thodi der ke liye aap meri jamaanat dekar is jaal se mujhe aazad kara dijiye taaki main aakhri baar ek martaba bacchon ko doodh pila aaun , Huzoor! main doodh pilakar phir yahin wapas aa jaaungi. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : accha! jaao main tumhari jamaanat deta hoon aur tumhari jagah yahin theherta hoon , tu bacchon ko doodh pilakar jaldi wapas aa jaa , chunanche hirni ko aapne riha kar diya aur wahan khud qayaam farma ho gaye. Aarabi jo musalmaan na tha , kehne laga : agar mera shikaar wapas na aaya to accha na hoga , Huzoor ne farmaya : tum dekho to sahi ki hirni wapas aati hai ya nahi ? Chunanche hirni bacchon ke pass pahunchi aur bacchon ko doodh pilakar fauran wapas lauti , aate hi Huzoor ke qadmo par sar daal diya , ye aejaaz dekhkar wo aarabi bhi qadmo par gir gaya -
Jhuk gaye sar hirni wa kaafir ke dono saath saath
Mustafa ne unke sar par rakh diya rehmat ka haath
Phir basharat usko aur isko mili sarkar se
Jaal se aazad tu aur tu azaab e naar se
(Shifa Sharif jild 2 safaa 76)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam jaanwaron tak ke liye rehmat hain , jaanwar bhi Huzoor ke huqm ki taameel karte hain , phir jo insaan hokar Huzoor ka huqm na maane wo jaanwaron se bhi gaya guzra hai ya nahi ?
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
JANNAT KI OONTNI
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJATABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 25
JANNAT KI OONTNI➡
Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ek baar ghar tashreef laaye to Hazrat e Fatima radiallaho ta aala anha ne kaha : Maine ye soot kaata hai , aap isey bazaar le jaaiye aur bechkar aata le aaiye taaki Hasan aur Hussain (radiallaho ta aala anhuma) ko roti khila doon , Hazrat e Ali wo soot bazaar le gaye aur usey 6 dirham mein bech diya , phir un dirham ka kuch kharidna chahte the ki ek saail ne sada di , Hazrat e Ali ne wo rupye us saail ko de diye , thodi der baad ek aarabi aaya jiske paas badi farba ek oontni thi , wo bola ae Ali ! ye oontni kharidoge ? Farmaya : paise pass nahi hain , aarabi ne kaha udhaar deta hoon , ye kehkar oontni ki muhaar Hazrat e Ali ke haath mein de di aur khud chala gaya , itne mein ek dusra aarabi namudaar hua aur kaha : Ali ! oontni dete ho ? Farmaya : le lo , aarabi ne kaha 300 naqad deta hoon , ye kaha aur 300 naqad Hazrat e Ali ko de diye aur oontni lekar chala gaya , uske baad Hazrat e Ali ne pehle aarabi ko talash kiya magar wo na mila , aap ghar aaye aur dekha Huzoor salallaho alaihi wasallam Hazrat Fatima radiallaho ta aala anha ke pass tashreef farma hain , Huzoor ne muskura kar farmaya : Ali ! oontni ka kissa tum khud sunate ho ya main sunaaun ?
Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ne arz kiya Huzoor aap hi sunaayein , farmaya : pehla aarabi Jibraeel (alaihis salaam) tha aur dusra aarabi Israafeel (alaihis salaam) , oontni jannat ki wo oontni thi jis par jannat mein Fatima (radiallaho ta aala anho) sawaar hogi , Khuda ko tumhara isaar , jo tumne 6 dirham saail ko diye , pasand aaya aur uske sile mein duniya mein bhi usne tumhein iska ajr oontni ki khareed o farokht ke bahaane diya.
(Jaami Ul mojizaat safaa 4)
Sabaq : Allah waale khud bhuke rehkar bhi mohtaajon ko khana khilaate hain , ye bhi maaloom hua ki hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam daana e guyoob hain , aapse koi baat maqfi nahi.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
KABOOTAR KE BACCHE
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 24
KABOOTAR KE BACCHE➡
Ek aarabi apni aasteen mein kuch chupaaye huye Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein haazir hua aur kehne laga ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam) agar tu bata de ki meri aasteen ke andar kya hai ? to main maan loonga ki waaqai tu saccha nabi hai. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : waaqai iman le aaoge ? Usne kaha : haan waaqai iman le aaunga , farmaya : to suno tum ek jungle se guzar rahe the , tumne ek darakht dekha jis par kabootar ka ek ghonsla tha , us ghonsle mein kabootar ke do bacche the , tumne in dono bacchon ko pakad liya , bacchon ki maa ne jab dekha to wo maa apne bacchon par giri to tumne usey bhi pakad liya , wo dono bacche aur unki maa is waqt bhi tumhare pass hai aur is aasteen ke andar hai.
Aarabi ye sunkar hairaan reh gaya aur jhat pukar utha -
Ash hadu al la ilaha ill Allah wa ashadu anna ka Mohammad Ur rasoolallah
(Jaami ul mojizaat safaa 21)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam se koi cheez pinha nahi hai , ek aarabi bhi is haqeeqat ko jaanta tha ki jo nabi ho wo gaib jaan leta hai , phir jo baraaye naam padha likha hokar Huzoor ke ilm ko tasleem na kare wo ujjad aur ganwaar se bhi zyada badtar hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
QAIDI CHACHA
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 23
QAIDI CHACHA➡
Jung e Badr mein jab Allah tabarak wa ta aala ne musalmaano ko fatah aur kuffar ko shikasht di to musalmaano ke haath jo qaidi aaye un mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ke chacha Hazrat Abbas bhi the , qaidiyon se jab taawan talab kiya gaya to Hazrat Abbas kehne lage ki Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam) main to ek garib aadmi hoon mere pass kya hai ? Makka mein jab aapne mujhe choda tha to main tamam qabeela ke afraad se garib tha. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : ab jabki aapne apne ghar se fauz e kuffar ke saath jung e badr mein aana chaha to aap apni biwi Umme Fazl ko poshidgi mein chand sone ki eentein dekar aaye the , chacha jaan ye raaz aap kyon chipa rahe hain ? Hazrat Abbas ye gaib ki baat sunkar hairaan reh gaye aur baqaul e shayar :
Janaab e Hazrat e Abbas pe raasha hua taari
Ki paigambar to rakhte hain dilon ki bhi khabardaari
Khayaal aaya musalmaan nek o bad pehchaan jaate hain
Mohammad aadmi ke dil ki baatein jaan jaate hain
Huzoor salallaho alaihi wasallam ki ye ittela alal gaib ka mojiza dekhkar Hazrat Abbas iman le aaye.
(Dalail Ul Nabwiya jild 2 safaa 171)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam se koi baat maqfi nahi , Allah tabarak wa ta aala ne har cheez ka Huzoor ko ilm de diya hai , ye ilm e gaib bhi Huzoor ka ek mojiza hai jis par har musalmaan ka iman hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
GUMSHUDA OONTNI
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 22
GUMSHUDA OONTNI➡
Jung e Tabook mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ki oontni gum ho gayi to ek munafiq ne musalmaanon se kaha ki tumhara Mohammad salallaho alaihi wasallam to nabi hone ka muddai hai aur tumhe aasmaan ki baatein sunaata hai phir isey apni oontni ka pata kyon nahi chalta ki wo kahaan hai ? Huzoor salallaho alaihi wasallam ne jab munafiq ki ye baat suni to farmaya : beshaq main nabi hoon aur mera ilm Allah tabarak wa ta aala hi ka ata farmuda hai , lo suno! meri oontni falaan jagah khadi hai , ek darakht ne uski naqeel ko rok rakha hai , jaao wahaan jaao , wahan se us oontni ko le aao , chunanche sahaba qiram gaye to waaqai oontni usi jagah khadi thi aur uski naqeel ek darakht se atki huyi thi.
(Jaad ul ma'aad jild 3 safaa 3)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ko Allah tabarak wa ta aala ne is qadar ilm e gaib ata farmaya hai ki koi baat aapse chupi huyi nahi , magar munafiq is ilm e gaib ke moatrif nahi.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
BAITULLAH KI KUNJI
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 21
BAITULLAH KI KUNJI➡
Hijrat se pehle baitullah ki kunji quraish e makka ke kabze mein thi , ye kunji Usman bin Talha ke pass raha karti thi , ye log baitullah ko peer aur jumeraat ke roz khola karte the. Ek din Huzoor salallaho alaihi wasallam tashreef laaye aur Usman bin Talha se darwaza kholne ko farmaya , to Usman ne darwaza kholne se inkaar kar diya , Huzoor ne farmaya : ae usman aaj tu ye darwaza kholne se inkaar kar raha hai , ek din aisa bhi aayega ki Baitullah ki ye kunji mere kabze mein hogi , main jisey chahunga ye kunji doonga. Usman ne kaha : to us din qaum e quresh halaak ho chuki hogi. Hijrat ke baad jab makka fateh hua aur Huzoor salallaho alaihi wasallam sahaba ke lashkar samet Makka Moazzama mein faatihana daakhil huye to sabse pehle Kaaba Sharif mein tashreef laaye aur isi qaleed bardaar usman se kaha : laao wo kunji mere hawale kar do , naachar usman ko wo kunji deni padi , Huzoor ne wo kunji lekar usman ko mukhatib farmakar farmaya : usman lo qaleed bardaar main bhi tujhi ko muqarrar karta hoon , tumse koi zaalim hi ye kunji lega.
Usman ne dobara kunji li to Huzoor salalallaho alaihi wasallam ne farmaya : usman ! wo din yaad hai jab maine tumse kunji talab ki thi aur tumne darwaza kholne se mana kar diya tha , maine kaha tha ek din aisa bhi aayega ki ye kunji mere qabze mein hogi aur main jisey chahunga doonga , usman ne kaha : haan Huzoor! mujhe yaad hai aur main gawahi deta hoon ki aap Allah ke sacche Rasool hain.
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam agli pichli baaton ke aalim hain , qayamat tak jo kuch bhi hone wala hai , sab aap par roshan hai , Khuda ne aapko ilm e gaib ata farmaya hai , aap daana e guyoob wa aalim e maa kaana wama yaqoon hain , phir agar koi shaksh yun kahe ki Huzoor ko kal ki baat ka ilm na tha , to wo kis qadar jaahil hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
DEEWANA OONT
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 20
DEEWANA OONT➡
Bani Nazzar ke ek baag mein ek deewana oont ghus aaya , jo shaksh bhi us baag mein jaata wo oont usey kaatne daudta tha , log bade pareshaan the. Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huye aur saara kissa arz kiya , Huzoor ne farmaya : chalo! main chalta hoon , chunanche aap us baag mein tashreef le gaye aur us oont se farmaya : idhar aao! us oont ne jab Rasoolullah salallaho alaihi wasallam ka huqm suna to daudta hua haazir hua , apna sar Huzoor ke qadmon mein daal diya , Huzoor ne farmaya : iski nakeel laao , nakeel laayi gayi , Huzoor ne nakeel daalkar uske maalik ke hawale kar diya , wo aaram se chala gaya , Huzoor ne phir sahaba se farmaya : kaafiron ke siwa mujhe zameen o aasmaan waale sab jaante hain ki main Allah tabarak wa ta aala ka Rasool hoon.
(Hujjatullahu alal aalameen safaa 458)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ka huqm jaanwaron par bhi jaari hai , aur qaaynaat ki har shey bajuz kaafiron ke hamare Huzoor ki risalat o sadaqat ko jaanti hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
DARAKHTON PAR HUQUMAT
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 19
DARAKHTON PAR HUQUMAT➡
Ek martaba ek aarabi ne Huzoor salallaho alaihi wasallam se kaha : Ae Mohammad(salallaho alaihi wasallam) agar aap Allah ke Rasool hain to koi nishaani dikhaaiye , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : accha to dekho! wo jo saamne darakht khada hai usey jaakar itna keh do ki tumhein Allah ka Rasool bulata hai , chunanche wo aarabi us darakht ke pass gaya aur usse kaha , tumhein Allah ka Rasool bulata hai. Wo darakht ye baat sunkar apne aage peeche aur daayein baayein gira aur apni jadein zameen se ukhaadkar zameen par chalte huye Huzoor ki khidmat mein haazir ho gaya , arz karne laga : assalaam o aleykum Ya Rasoolallah! wo aarabi Huzoor se kehne laga ab isey huqm dijiye ki ye phir apni jagah par chala jaaye , chunanche Huzoor salallaho alaihi wasallam ne usse farmaya ki jaao , waapas chale jaao , wo darakht ye sunkar peeche mud gaya aur apni jagah jaakar qaayam ho gaya.
Aarabi ye mojiza dekhkar musalmaan ho gaya aur Huzoor ko sajda karne ki ijaazat chahi , Huzoor ne farmaya sajda karna jaayaz nahi , phir usne Huzoor ke haath pair mubarak chumne ki ijaazat chahi to Huzoor ne farmaya haan ye baat jaayaz hai , usne Huzoor salallaho alaihi wasallam ke haath aur pair mubarak chum liye.
(Hujjatullahu alal aalameen safaa 441)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ka huqm darakhton par bhi jaari hai , ye bhi maaloom hua ki bujurgon ke haath pair chumna jaayaz hai , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne issey mana nahi farmaya.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
ZAMEEN PAR HUQUMAT
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 18
ZAMEEN PAR HUQUMAT➡
Huzoor salallaho alaihi wasallam ne Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ke saath mein jab Makka Moazzama se hijrat farmaayi to quresh e makka ne elaan kiya ki jo koi Mohammad (salallaho alaihi wasallam) aur uske saathi (Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho) ko giraftaar karke laayega usey sau oont inaam mein diye jaayenge! Suraka bin ja'asam ne ye elaan suna to apna tez raftaar ghoda nikala aur us par baithkar kehne laga ki mera ye tez raftaar ghoda Mohammad(salallaho alaihi ) aur Abu Baqr(radiallaho ta aala anho) ka peecha kar lega , main abhi un dono ko pakad kar laata hoon , chunanche usne apne ghode ko daudaya , thodi der mein Huzoor ke qareeb pahunch gaya. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne jab dekha ki suraka ghode par sawaar hamare peeche aa raha hai , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Ae Siddique! koi fiqr na karo Allah tabarak wa ta aala hamare saath hai , itne mein suraka bilkul qareeb aa pahuncha to Huzoor ne dua farmaayi , zameen ne fauran suraka ke ghode ko pakad liya aur uske chaaron pair pet tak zameen mein dhans gaye , suraka ye manzar dekhkar ghabraya aur arz karne laga :
Ya Mohammad (salallaho alaihi wasallam) mujhe aur mere ghode ko is museebat se najaat dilaaiye , main aapse waada karta hoon ki main peeche mud jaaunga , jo koi aapka peecha karta hua aapki talaash mein idhar aa raha hoga usey bhi waapas le jaaunga , aap tak naa aane doonga , chunanche Huzoor salallaho alaihi wasallam ke huqm se zameen ne usey chod diya.
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ka huqm wa farmaan zameen par bhi jaari hai aur qaaynaat ki har cheez Allah tabarak wa ta aala ne Huzoor ke taabe kar diya hai , phir jis shaksh ki apni biwi bhi uski taabe na ho wo agar Huzoor ki misl banne lage to wo kis qadr ahmak wa bewaqoof hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
SURAJ PAR HUQUMAT
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 17
SURAJ PAR HUQUMAT➡
Ek roz maqaam e sehbaa mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ne namaaz e zuhar adaa ki aur phir Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ko kisi kaam ke liye rawana farmaya , Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ke waapas aane tak Huzoor salallaho alaihi wasallam ne namaz e asr bhi adaa farma li , jab Hazrat e Ali waapas aaye to unki aagosh mein apna sar rakhkar Huzoor so gaye , Hazrat e Ali ne abhi tak namaz e asr adaa na ki thi , udhar suraj ko dekha to guroob hone waala tha , Hazrat e Ali sochne lage , idhar Rasool e Khuda aaram farma hain aur udhar namaz e khuda ka waqt ho raha hai , Rasool e Khuda ka khayaal rakhoon to namaaz jaati hai aur namaaz ka khayaal karoon to Rasool e Khuda ki neend mein khalal waaqay hota hai , karoon to kya karoon ? Aakhir Maula Ali Sher e Khuda radiallaho ta aala anho ne faisla kiya ki namaz ko qaza hone do magar Huzoor salallaho alaihi wasallam ki neend mubaraq mein khalal naa aaye , chunanche suraj doob gaya aur asr ka waqt jaata raha. Huzoor salallaho alaihi wasallam uthe to Hazrat e Ali ko magmoom dekhkar wajah daryaaft ki to Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ne arz kiya ki Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam maine aapki istiraahat ke pesh e nazar abhi tak namaz e asr nahi padhi , suraj guroob ho gaya hai. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : to gham kis baat ka? Lo abhi suraj waapas aata hai , phir usi maqaam par aakar rukta hai jahaan waqt e asr hota hai , chunanche Huzoor ne dua farmaayi to guroob shuda surah phir nikla aur ulte qadam usi jagah aakar theher gaya jahaan asr ka waqt hota hai , Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ne uthkar asr ki namaz padhi uske baad suraj phir guroob ho gaya.
(Hujjatullah alal aalameen safaa 368)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki huqumat suraj par bhi jaari hai , aap qaaynaat ke har zarra ke haakim o mukhtaar hain , aap jaisa na koi hua na hoga aur na ho sakta hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
CHAND PAR HUQUMAT
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 16
CHAND PAR HUQUMAT➡
Huzoor salallaho alaihi wasallam ke dushmano ne bilkhusus Abu Jehel ne ek martaba Huzoor se kaha ki agar tum khuda ke rasool ho to aasmaan par jo chaand hai uske do tukde karke dikhaao , Huzoor ne farmaya : lo ye bhi karke dikha deta hoon , chunanche aapne chand ki taraf apni ungli mubaraq se ishara farmaya to chand ke do tukde ho gaye , ye dekhkar Abu Jehel hairaan ho gaya , magar beimaan maana bhi nahi aur Huzoor ko jaadugar hi kehta raha.
(Hujjatullah safaa 366 , Bukhari Sharif Hissa 2 safaa 271)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki huqumat chand par bhi jaari hai , bawajiod itne bade ikhteyaar ke beimaan afraad Huzoor ke ikhteyaar o tasarruf ko phir bhi nahi maante.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
BAADLON PAR HUQUMAT
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 15
BAADLON PAR HUQUMAT➡
Madina Munnawara mein ek martaba baarish nahi huyi thi , kehetsaali ka aalam tha , log bade pareshaan the. Ek juma ke roz Huzoor salallaho alaihi wasallam jabki waa'az farma rahe the , ek aeraabi utha aur arz karne laga Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam maal halaaq ho gaya aur aulaad faaka karne lagi , dua farmaiye baarish ho. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne usi waqt apne pyaare - pyaare noorani haath uthaaye , raawi ka bayaan hai ki aasmaan bilkul saaf tha , abr ka naam o nishaan tak na tha , magar Sarkaar ke haath mubaraq uthe hi the ki pahadon ki maanind abr chaa gaye aur chaate hi meh barasne laga , Huzoor mimbar par hi tashreef farma the ki meh shuru ho gaya itna barsa ki chat tapakne lagi , Huzoor ki resh anwar se paani ke qatre girte humne dekhe , phir ye meh band nahi hua balki hafta ko bhi barasta raha , phir agle din bhi aur phir ussey agle din bhi hatta ki lagatar agle juma tak barasta hi raha. Huzoor salallaho alaihi wasallam jab dusre juma ka waa'az farmane uthe to wahi aeraabi jisne pehle juma mein baarish na hone ki takleef arz ki thi utha aur arz karne laga Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam ab to maal garq hone laga , aur makaan girne lage , ab phir haath uthaaiye ki ye baarish band bhi ho. Chunanche Huzoor ne phir usi waqt apne pyaare - pyaare noorani haath uthaaye aur apni ungli mubaraq se ishaara farmakar dua farmaayi ki Ae Allah tabarak wa ta aala hamare ird gird baarish ho , hum par na ho , Huzoor ka ye ishaara karna hi tha ki jis jis taraf Huzoor ki ungli gayi us taraf se baadal hat' ta gaya aur Madina Munnawara ke upar se sab aasmaan saaf ho gaya.
(Mishqaat Sharif safaa 528)
Sabaq : Sahaba qiraam mushkil ke waqt Huzoor salallaho alaihi wasallam hi ki baargah mein fariyaad lekar aate the , unka yaqeen tha ki har mushkil yahin hal hoti hai , waaqai wahin hal hoti rahi hai , isi tarah aaj bhi hum Huzoor ke mohtaaz hain , bagair Huzoor ke waseela ke hum Allah se kuch bhi nahi paa skate , Huzoor salallaho alaihi wasallam ki huqumat baadlon par bhi jaari hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
EK SEHRAAI KAAFILA
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 14
EK SEHRAAI KAAFILA➡
Arab Sharif ke ek sehra mein ek bahut bada kaafila raah e paima tha ki achanak us kaafila ka paani khatm ho gaya , us kaafila mein chote bade boodhe jawaan aur mard wa aurtein sabhi the , pyaas ke maare sabka bura haal tha , door tak paani ka nishaan tak na tha , paani unke pass ek qatra tak baaki na raha tha , ye aalam dekhkar maut unke saamne raqs karne lagi , un par ye khaas karam hua ki :
Achanak do jahaan ke fariyaadras Huzoor Mohammad Mustafa salallaho alaihi wasallam unki madad farmane wahaan pahunch gaye , Huzoor ko dekhkar sabki jaan mein jaan aa gayi , sab Huzoor ke gird jama ho gaye , Huzoor ne unhe tasalli di aur farmaya ki wo saamne jo teela hai uske peeche ek syaah rang habshi gulaam oontni par sawaar jaa raha hai , uske pass paani ka ek mashkeeza hai , usko oontni samet mere pass le aao , chunanche kuch aadmi teele ke us paar gaye to dekha ki waaqai ek oontni par sawaar habshi jaa raha hai wo us habshi ko Huzoor ke pass le aaye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne us habshi se mashkeeza le liya , apna dast e rehmat us mashkeeza par pherkar uska munh khol diya , farmaya : aao ab jis qadr bhi pyaase ho aate jaao aur paani pee peekar apni pyaas bujhaate jaao , chunanche saare kaafile ne us mashkeeza se jaari chasma e rehmat se paani peena shuru kiya phir sabne apne apne bartan bhi bhar liye , sab ke sab sairaab ho gaye , sab bartan bhi paani se bhar gaye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ka ye mojiza dekhkar habshi bada hairaan hua , Huzoor ke dast e anwar choomne laga , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne apna dast e anwar uske munh par pher diya to us habshi ka syaah rang kaafoor ho gaya , wo safed purnoor ho gaya , phir us habshi ne qalma padhkar apna dil bhi munawwar kar liya. Musalmhikar hokar jab wo apne maalik ke pass pahuncha to maalik ne poocha tum kaun ho ? Wo bola tumhara gulam hoon , maalik ne kaha : tum galat kehte ho , wo to bada syaah rang ka tha , wo bola ye theek hai magar main us mamba e noor zaat e ba barkat se milkar aur us par imaan laakar aaya hoon jisne saari qaaynaat ko munawwar farma diya hai , maalik ne saara kissa suna to bhi imaan le aaya.
(Masnawi Sharif)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam Allah tabarak wa ta aala ki ataa se do jahaan ke fariyaadras hain aur museebat ke waqt madad farmaane waale hain , phir agar koi shaksh yun kahe ki Huzoor kisi ki madad nahi farma sakte aur kisi ki fariyaad nahi sunte to wo shaksh kis qadar jaahil o bekhabar hai , pas apna aqeeda ye rakhna chahiye ki -
Fariyaad ummati jo kare haal e zaar mein
Mumkin nahi ke khair e bashar ko khabar na ho
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
Kooze me dariya
✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 13
KOOZE MEIN DARIYA➡
Hudaibiya ke roz saare lashkar e sahaba mein paani khatm ho gaya hatta ki wuzu aur peene ke liye bhi paani ka ek qatra tak na raha. Huzoor salallaho alaihi wasallam ke pass ek kooza paani ka tha , Huzoor jab us kooza se wuzu farmaane lage to sab log Huzoor ki taraf lapke aur fariyaad ki ke Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam! hamare pass to ek qatra bhi paani ka baaki na raha , na to wuzu kar sakte hain aur na hi apni pyaas bujha sakte hain , Huzoor ye aap hi ke kooze mein paani baaki hai , hum sabke pass paani khatm ho gaya aur hum pyaas ki shiddat se bechain hain. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne ye baat sunkar apna haath mubaraq us kooze mein daal diya logon ne dekha ki Huzoor ke haath mubaraq ki paancho ungliyon se paani ke paanch chashme jaari ho gaye , sab log in chashmon se sairaab hone lage , har shaksh ne jee bhar ke paani piya aur pyaas bujhaai , sabne wuzu bhi kar liya. Hazrat Jaabir radiallaho ta aala anho se poocha gaya ki lashkar ki taadad kitni thi ? To farmaya us waqt agar ek lakh aadmi bhi hote to wo paani sabke liye kaafi tha magar hum us waqt 1500 ki taadad mein the.
(Mishqaat Sharif safa 524)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ko Allah tabarak wa ta aala ne ye ikhteyaar o tasarruf ata farmaya hai ki aap thodi cheez ko zyada kar dete hain. Naa se Haan aur Maadoom se Maujood karna Allah ka kaam hai aur thode se zyada kar dena Mustafa (salallaho alaihi wasallam) ka kaam hai , ye Allah hi ki ata hai.
Ungliyan hain faiz par toote hain pyaase jhoom kar
Naddiyaan punjaab e rehmat ki hain jaari wah wah!
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
Wednesday, August 17, 2016
वहाबी देवबंदी को गुस्ताख क्यों कहते हैं
*"वहाबी और अहले हदीस जमात को गुस्ताखे रसूल क्यों कहा जाता है..?*
_हिंदुस्तान में सबसे पहले अल्लाह और नबी की शान में शरीयतें मुताहरा में तहरीर गुस्ताखी करने वाले लोग और उनके फिरके।_
--------------------------
*(1) अल्लाह की मक्कारी, धोखे से डरना चाहिये, अल्लाह बन्दों से भी मक्कारी करता है।*
_(तकवेतुल ईमान पेज नंबर 76, मौलवी इस्माईल देहलवी,अहले हदीस)_
--------------------------
*(2) नमाज में नबी का ख्याल लाना अपने गधे (donkey) बैल के ख्याल में डूब जाना से ज्यादा बदत्तर है।*
_(सिरात ऐ मुस्तकीम पेज नंबर 118 मौलवी इस्माईल देहलवी, अहले हदीस)_
--------------------------
*(3) हुजूर के बाद भी कोई नबी आ जाये तो भी हुजूर के आखरी नबी होने पर फर्क नहीं पड़ेगा।*
_(तहजिरुन नास पेज नंबर 14 मौलवी कासिम ननोतवी, देवबंदी)_
--------------------------
*(4) उम्मती अमल (नमाज, रोजा, हज, नफिल, इबादतों में नबी से बढ़ जाते है।*
_( तहजिरुन नास पेज नंबर 5 मौलवी कासिम ननोतवी, देवबंदी)_
--------------------------
*(5) सहाबा को काफिर कहने वाला, मुसलमान से ख़ारिज नहीं होगा।*
_(फतावा ऐ रशीदिया जिल्द नंबर 2 पेज नंबर 11 रशीद अहमद गंगोही, देवबंद)_
--------------------------
*(6) नबी से ज्यादा इल्म शैतान को है, जो ज्यादा इल्म नबी का बताये वो मुशरिक है।*
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 55 मौलवी खलील अहमद अमबेठी देवबंदी)_
--------------------------
*(7) अल्लाह तआला झूठ बोलता है (मुमकिन)*
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 273 मौलवी खलील अहमद अमबेठी, देवबंदी)_
--------------------------
*(8) नबी का मिलाद करना, कृष्ण का जन्म दिन मनाने की तरह है।*
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 152 मौलवी खलील अहमद, देवबंदी)_
--------------------------
*(9) हुजूर ने उर्दू जुबान मदरसा ऐ देवबंद में ओलेमा ऐ देवबंद से सीखी।*
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 30 मौलवी खलील अहमद अमबेठी, देवबंदी)_
--------------------------
*(10) हुजूर को दीवार के पीछे का भी इल्म नहीं।*
_(बराहितुल कतिआ पेज नंबर 55 मौलवी खलील अहमद अमबेठी, देवबंदी)_
--------------------------
*(11) नबी का जो इल्म ऐ ग़ैब है इसमें हुजूर का क्या कमाल, ऐसा तो इल्म ऐ ग़ैब हर किसी को, हर बच्चे, पागलों और जानवरों को भी है।*
_(हिफजुल ईमान पेज नंबर 8 मौलवी अशरफ अली थानवी, देवबंदी)_
--------------------------
*(12) हाथ में कोई नापाक चीज (खून, पेशाब, पखाना, मनी) लग जाये तो किसी ने जुबान से तीन मर्तबा चाट लिया तो पाक हो जायेगा।*
_(बहेस्ती जेवर जिल्द 2 पेज नंबर 18 मौलवी अशरफ अली थानवी, देवबंदी)_
--------------------------
*(13) ख्वाजा गरीब नवाज या कोई वली के मजार पर जाना इतना बड़ा है जैसे किसी लड़की से जिना करने से भी बड़ा गुनाह है।*
_(तजदीद ओ ऐहया ए दीन पेज नंबर 96 मौलवी अबू आला मौदूदी, जमात ऐ इस्लामी S-I-O, S-I-M)_
--------------------------
*(14) सब जगह अल्लाह के रसूल अल्लाह की किताब लेकर आये है, और बहुत मुमकिन है कि (बुद्ध, कृष्ण, राम, मानी(Maani), सुकरात, Fisa goras(फिसा गोरास)) इन्हीं रसूलों में से है।*
_(तफहिमात जिल्द 1 पेज नंबर 124 मौलवी अबू आला मौदूदी, जमात ऐ इस्लामी S-I-M, S-I-O )_
--------------------------
*(15) झूठ, जुल्म, और तमाम बुराईयाँ जैसे (चोरी, जहालत, जिना, गीबत) करना अल्लाह के लिये कोई ऐब नहीं।*
_(जहदुल-मकल जिल्द 3 पेज नंबर 77 मौलवी अबू आला मौदूदी, जमात ऐ इस्लामी, S-I-M, S-I-O )_
--------------------------
*"दिल पर हाथ रख कर और सोच कर सही बताओ, क्या ये सच में मुसलमान है..?*
--------------------------
_"मुसलमानों वहाबियों से अपना ईमान बचाओ"""""_
--------------------------
👉🏻नोट-->" माजअल्लाह, माजअल्लाह
" रब्बे करीम से हिदायत मांगो....
*"बेशक वो दुआ को कबूल करने वाला रहमान है।*
" अभी वक्त है और तौबा का दरवाजा खुला है फिर हशर में ना कहना हमें खबर नहीं थी।
--------------------------
Last post...
Ya jinke post maine copy kiye Aur usme koi galti rahi ho Aur mere zahen me na Aayi ho.. usse bhi Touba karta hun...
Sab ko imaan par rakh imaan par Khatma bil khair farma..
Sab ke dilo me tere Aur tere pyare habib alaihissalam Aur mahboobeen ki Muhabbat naqsh farma de.
Sab ko maslak e Alahazrat par Qayam Rakh..
TAANDAVI FITNA IN URDU PDF
Name.. TATHEERI FITNA AUR SUKOOT ANIL HAQ.
Language.. URDU
Page.. 88
Size.. 2.7 Mb (pdf)
Topic.. imaan kya hai Qur'an e paak Aur Hadees e paak Aur buzurgo ke Qutub mubaraka se KHUSUSAN Sarkar Alahazrat RadiAllahu Anhu ke Qutub mubarak se.. Aur Tatheer Taandavi ke ibarat ka opration..
Pdf Download karne ke liye link par Click kariye..
https://www.dropbox.com/s/fv1amqqbjxq5vvm/Taandvi%20Fitna%20urdu-1.pdf?dl=0
Jin logo se Download na ho paaye wo.. Audio Download karne ka Tareeqa padhe'.....
Insaaf ke Nazar se padhe Aur khoob Share kare. JazakAllahu khaira..
Sunday, August 14, 2016
TATHEERI FITNA PDF ROMAN ENGLISH
TATHEERI FITNA AUR SUKOOT ANIL HAQ
blog par 80 page padhne me dushwari hoti.. isliye pdf me hamare kuchh bhaiyon ne kar diya.. Allah unko Salamat rakhe.. Apne pyare Habib sallallahu Alaihi wasallam ke sadke me. Ameen..
TATHEERI FITNA AUR SUKOOT ANIL HAQ
Me 80 Page hai.. Aur Ghouse Paak Radi Allahu anhu ke sadke 1.11mb ka hai..
PDF DOWNLOAD KARNE KE LIYE LINK PAR CLICK KARIYE..
https://www.dropbox.com/s/k9texrelenuz88h/Final%20English%20Tandvi%20Fitna.pdf?dl=0
Name.. Tatheeri fitna Aur Sukoot Anil haq.
Page.. 80
Language.. Roman English...
Agar download karne na Aaye to Audio download karne ka tareeqa padhe site par.. jis tarah Audio download hota hai is site se usi tarah pdf bhi..
JazakAllahu khaira..
Wednesday, August 10, 2016
Post 11
HADEES # 7:
Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai:
Tarjuma: " Pas Hamare liye har cheez zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan li ".
(Jaamay Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD#5, PAGE#160, RAQAMUL HADEES 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot)
Imaam Jalaludeen 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Tibraani (Rehmatullah Aleh) ne IBN-E-UMAR (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH AZZAWAJAL ne Saari duniya ko utha kar mere Pesh-E-Nazar kar diya, aur main ise dekh raha hun, aur Qayaamat tak jo kuch us main hone waala hai main use us tarah Waazeh tor par dekh raha hun jese meri yeh hatheli hai, ALLAH AZZAWAJAL ne apne NABI k liye Munqashaf farmaya, jis tarah AAP se pehle NABIYON ki taraf kiya".
(Khasaesul Kubra, JIL#2, PAGE#185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya, Beroot)
Hadees # 8:
Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal main Ba Riwaayat Abu Zar Gafari (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " Hum ko HUZOOR (ALEH SALAAM) ne is Haal par chora k koi Parindah apne Par bhi nahin hilaata, Magar us ka hum ko ILM bata diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar)
IMAAM Bo Saf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte hain".
Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad aur Tabraani (Rehmatullah Aleh) ne Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal main chora hai, K Fiza-E-Aasmaani main jo parinda par maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se uska Zikar kar diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Matboo'a Darul Fikar Beroot)
Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HAZRAT ABU ZAR (RAZI ALLAH ANH) se Riwaayat hai k inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal par chora k Fiza-E-Aasmaani main jo Parinda par Maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se us ka Zikar kar diya hai".
(Majma-E-Sheyookh, PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) Farmate hain k Humen RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Is Haal par chora k Fiza main jo bhi apne Paron se Urne waala Parinda tha, AAP ne humen Us Se Muta'aliq Zikar kiya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Ab Aap Khud faisla karen.. k Kiya Bager ILm k Aasmaan main Urne waale Parinday k K baaray main maaloom kiya ja sakta hai???
Woh bhi tni jaldi maaloom karna, k Parinday k Par Hilaanay se pehle hi dusron ko bhi Parinday k Baaray main bata diya jae...
Ab aap khud hi faisla kar sakte hain, Q k Aasmaan main Urne Waala PArinday k Baaray main Maaloomat to Gaib hai, Q k GAIB har Chupi huwi cheez ko kehte hain, jo kisi Hawaas k bager maaloom na ki ja sake... to is GAIB k ILM ko kiya kahen ge???
Continue
Thursday, August 4, 2016
WALIMA
Hazrat Abdurrahman Bin Aauf radiallaho anhu ka bayan he ki muzse Nabi-E-Kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Walima karo chahe 1 hi Bakari Ho"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 85)
Hazrat Safiya Binte Shaiba Radiallahu Anha farmati he ki
"Nabi Sallalaho Alayhi Wasallam ne Apni baz Ajwaje Muthrat (Biwiya) ka walima 2 Ser Jav ke sath kiya tha"
(Bukhari sharif,Jild 3, Safa 87)
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu anhu se Riwayat he ki Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jab tum me se kisi ko walima khane ke liye bulaya jaye to wo Hazir ho jaye"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 87)
Hazrat Abuhuraira Radiallaho anhu se riwayat he ke Huzoor Akram Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jo dawat Qubool na kare usne Allah ta'ala wa Rasool ki Nafarmani ki"
(Bukhari sharif,Jild 3,Safa 88,Hadees no 163,Bab no 102)
Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Dawat Me Jao Jab Ke Bulaye Jao"
Aur Farmaya
"Jo bagair bulaye dawat me gaya wo chor ho kar ghusa aur gaaratgiri karke lutere ki soorat me bahar nikala"
(Abu dawood, Jild 3, Bab no 127, Hadees no 342, Safa 130)
Hazrat Abuhuraira Radiallaho anhu se Riwayat he ke Rasool-E-Khuda Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Subse bura walima ka wo khana he jisme Amiro ko bulaya jaye Aur Garibo ko nazar andaz kar diya Jaye"
(Bukhari sharif,Jild 3,Safa 88)
Tuesday, August 2, 2016
MARD KE LIYE ZARURAT MAND POST'S
02 Mureed (bait) Hona kyu Zaroori hai
03 Mard par Gusl kab farz Hota hai
04 Gusl ka bayaan Aur masnoor Tareeqa
05 Nek mard ke liye nek Aurat. Gando'n ke liye Gandiya
11 Mubasharat ke Sunnatein Aur Aadab
12 Ramzan Shareef me Sohbat ke Aadab
13 Apne bachcho ke Achhe naam Rakho
SUNNI BAHNO KE LIYE POST, HAIZ NIFAS, ISTAHZA, KA BAYAAN AUR MAS'ALE MASAIL click kar ke padhiye