Page 9
Jo tum me in ki dosti karega to beshak woh unhi me se hai beshak Allah hidayat nahi karta zalimo ko
pahli aayato me to in se dosti karne walon ko zalim wa gumrah hi farmaya tha is ayaat e kareema ne bilkul tasfiya farma diya ke jo in se dosti rakhe wo bhi unhi me hai unhi ki tarah kafir hai un ke saath ek rassi me bandha jayega aur woh koda yaad rakhiye ke tum chhup chhup ke in se mel rakhte ho aur mai tumhare chhupe zahir sab ko khub janta hun ab woh rassi bhi sun lijiye jis me rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki shaan aqdas me gustakhi karne wale bandhe jayenge wal aayaz billah ta'ala
Tumhara rab az-wa'jal farmata hai :
Woh jo rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ko iza dete hain un ke liye dardnak aazab hai
Aur farmata hai
Beshak jo log Allah aur rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ko iza dete hain un par Allah ki lanat hai duniya aur Akhirat me aur
Allah ne unke liye zillat ka aazab taiyyar kar rakha hai Allah az-wa-jal iza se paak hai use kon iza de sakta hai magar habib sallallahu alaihi wasallam ki shaan me gustakhi ko apni iza farmaya in aayat o se us shakhs par jo rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke bad-goyo se mohabbat ka bartao kare saat kode sabit hue (1) woh zalim hai (2) gumrah hai(3) kafir hai (4) us ke liye dardnaak aazab hai (5) woh aakhirat me zalil aur khwar hoga (6) us ne Allah waheed e kahhar ko iza di (7) us par dono jahane khuda ki lanat hai
Wal aayaz billah ta'ala
Ae musalmano ae musalmano ae ummati e sayyadul ins
No comments:
Post a Comment