Part 42 wahabi najdi ki haqiqat
Hadees:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne shaam ki taraf nazar ki aur ye dua ki, Aey Allah ! in ke diloon ko apni ata'at ki taraf maiyl farma aur un ke ird gird apni rahmat gair de, phir Yemen ki taraf nazar ki aur us ki missal dua farmai, phir iraq ki taraf nazar farmai aur waise he dua ki.
Abdur Razzaq al'musnaf, vol 11, page 251, 252
Hadees:
Qayyamat us waqt tak qaim nhe hogi jab tak iraq ke achay log shaam aur shaam ke buray log iraq ki taraf muntaqil na ho jaeen
Musnad ahmad vol 5, page 249
Naeem ibn hamad kitab al'fittan, vol 2, page 631
Hashiya ibn qayyum, vol 7 , page 116
Comment: is se maloom howa ke Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne Iraq ke liye dua bhi farmai hai. Aur iraq ki ye shaan rakhi ke Iraq ke achhay log jab tak shaam na aa jaeen tab tak qayamat nhe aey gi. Is se andaza hota hai ke iraq ke jo maqami log hain woe bahut achay hain.
IRAQ KI FAZILAT Kharooj Dajjal Ke Waqt
Hazrat ummul momaneen Ummay Salma radi Allah anha se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke aik khalifa ki maut ke waqt logoon mein (agla khalifa muntakhib kerne mein) ikhtalaf ho jaey ga is doran aik admi Madina se nikal ker Makkah ki taraf bhagay ga. Log ussay khalafat ke liye nikalain gy lakin wo issay na'pasand kerte hoongy phir log un ke hath per hajr e aswad aur muqam e Ibrahim ke darmiyan bait krain gay phir wo (sufiyani) aik lashkar shaam se bheje ga to wo lashkar "baidah" ke muqam per zameen mein dahns jaey ga. Jo Makkah aur Madina ke darmiyan aik jagah hai. Jab log us lashkar ko dekhain gay to ahle shaam ke abdal aur iraq ki jamatain un ke pass aaeengi. Un se bait kraingi.Phir aik admi utthay ga Quraish mein se jis ki nanehaal bani kalb mein hogi. Wo un ki taraf aik lashkar bhejay ga to wo us lashkar per ghalba hasil kr lain gay.Aur wo bani kalb ka lashkar hoga aur na'kaami ho us shakhs ke liye jo bani kalb ke amwaal e ghanimat ki taqseem ke moqa per hazir na ho, mehdi maal e ghanimat taqseem krain gy aur logoon mein un ke Nabi ki sunnat ko jari krain gay aur islam per apni garden zameen per daal dega .(sari zameen per islam phail jaeyga) .Phir us ke ba'd 7 saal tak wo zinda rahain gay phir unka intaqaal ho jaeyga aur musalman un ki namaz e janazah parhain gay.
Imam abu dawood farmate hain ke baz ne ibn hisham ke hawale se ye kaha hai ke wo 9 saal tak zinda rahain gay jab ke baz ne kaha ke 7 saal tak zinda rahain gay.
Abu daood share, vol 3 page 703, hadees 882.
Hadees
Hazrat ummay Salma radi Allah anha kehti hain ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmatay suna:
Aik khalifa ki wafat per logoon mein ikhtalaf ho jaey ga, banu hashim ka aik admi (madina se) Makkah aaey ga log us ko ghar se nikal ker (Masjid e Haram mein) le aaeen gay, hajr aswad aur muqam e Ibrahim ke darmiyan us ki bait krain gay. Shaam se aik lashkar Makkah Mukarma per charhai ke liye aaey ga. Jab wo baidah ke muqam per pohanchay ga to ussay dhansa diya jaey ga. Is ke ba'd iraq aur shaam se ulma wa fazla imam mehdi ke pass (bait ke liye) aaeen gay.
Issay tabrani ne rawayat kiya hai
No comments:
Post a Comment