Part 41 wahabi najdi ki haqiqat
Salafi Daleel Miqat Ahle Mashraq Iraq
Dhaeef Hadees of miqaat
Ali bin Muhammad, wakeeh, Ibrahim bin yazeed, abu zubair ne jabir radi Allah anho se rawayat kiya hai ke: Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne hamain khutbah diya aur farmaya Ahle Madina dhul hulaifa, Ahle Shaam juhfa, ahle yemen yalmalm, ahle najd qarn aur ahle mashriq dhat irq se ihram bandhain Phir Aap sallallahu alaihe wasallam ne apna chehra uthha ker kaha ke aey Allah in ke diloon ko mutowajjoh ker de.
Ibn Majah Hadees 695
Sunni Reply salafiyoun ki bayan ki gai hadees mein Ibrahim bin yazid al'hawzy Matrook al'hadees hain
Inka pura naam Ibrahim bin Yazid al-Khwzy hay !
Aur yeh Matrook ul Hadith hain !
Kisi nain bhi inko thiqah nahi kaha including Imam Ahmad, Imam nisai, Imam Dar ul Qutuni, Imam Yahya bin Ma'in !
Aur Ibn e Hajr nain inko Matrook ul Hadith likha h
Ibn e Hajr Asqalani, Book : Taqreeb At Thzeeb, Hadith Narrator, Id:272. - pg:95
Han magar Imam Tirmidhi aur Imam Nisai nain in say apni sunan main rawayat li hy shawahid k tor par.
Ibrahim bin Yazid Al-Khwzy Al-Amwy
1. Imam Ahmad Bin Hambal nain inhain Matrook ul Hadith kaha.
2. Imam Yahya Bin Ma'in nain farmaya yeh Thiqah nahi hain aur in k pas kuch bhi nahi hy.
3.Imam Abu Zar'ah aur Imam Abu Haatim nain inko Munkar ul hadith aur Zaeef ul Hadith kaha.
4. Imam Nisai nain inko Matrook ul Hadith kaha.
5. Imam Ali Bin Madeeni nain inhain zaeef kaha aur farmaya k in say koi cheez na likhi jaay.
6. Imam Ibn e Sa'd nain farmaya k in k pas Zaeef ahadith hoti hain.
7. Imam Ali bin Junaid nain inko Matrook kaha.
8. Imam Dar Al Qutuni nain inko Mukar ul Hadith kaha.
9. Imam Ibn e Hibban nain farmaya k yeh kaseer tadad main Munkar ahadith rawayat karty hain.
From : Ibn e Hajr
Book : Tahdheeb al-Tahdheeb
Vol : 1
narratoe : 327
حضرت عبد اللہ ابن عباس رضی اللہ تعالی عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلّی اللہ علیہ وسلّم نے ا ہل مشرق کے لیۓ عقیق کو میقات قرار دیا ہے
سنّن ابو داؤد، جلد اول حدیث 1727، صفحہ 1111
Comment:Aqeeq ki wadi Madina ke miqaat dhul hulaifa ke baeen (left) janib 10 kilometer door hai. Is se wazahat ho jati hai ke najd bhi ahle mashraq mein he ata hai
Salafi Daleel
Hazrat Ali radi Allah anho Iraq Mein Qatal howy
Sunni Daleel Qatleen e Ali Mein Banu Tamim
عراق کی خوبیوں والی احادیث اور آئمہ کرام کے اقوال
Iraq Ki Khoobiyoun Wali Ahadith Aur A'immah Karam Ke Aqwaal
Hadees:
Hazrat zaid bin sabit radi Allah anho se rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe wasallam ne Yemen ki taraf dekha aur ye dua farmai: Aey Allah in ke diloon ko meri taraf maiyl farma de aur iraq ki taraf dekha aur ye dua Aey Allah in ke diloon ko meri taraf maiyl farma de aur shaam ki taraf dekha to ye dua farmai Aey Allah un ke diloon ko meri taraf mayil farma de. Aey Allah hamaray liye hamaray saaa aur hamaray madah mein barkat ata farma .
Kunzul umaal jild 17. page 136
Al.majum saghir, vol 1, page 173
Al.majum al.kabeer vol 5, page 116
Majmuaz zawaid vol 3, page 304
Al'adab al'mufrad vol 1, page 169
No comments:
Post a Comment