Page 17
Karna chahye yani Jo khud ko jhuta kehe use gumrah kya Mani gunahgar bhi na kaho,
Kya jis ne ye sab to us makzabe khuda ki nisbat bataya aur yahi khud apni taraf Se bawafa us be mana iqrar Ke kadrah alal kazab ma imtina alwaqa masla itifakiya hai saaf sarih keh diya Ke waqu e kizab Ke mana durust ho gaye yani ye baat thik ho gayi Ke khuda Se kizb waqae hua! Kya ye shakhs musalman reh sakta hai!
Kya Jo Aise ko musalman samjhe khud musalman ho sakta hai! Musalmano khudarah insaaf imaan naam ka hai ka tha tasdike ilahi ka tasdik ka sarih mukhalif kya hai takzib takzib Ke kya Mani hain kisi ki taraf kizb mansub karna!
Jab sarhatan khuda ko kizb keh kar bhi imaan baki hai! Tamheeda Jane imaan kis janwar ka naam hai khuda Jane majus aur hunud aur nasara aur yuhud kya kafir hove in me to koi saaf saaf apne mabud ko jhuta bhi nahi bataa haan mabud e barhaq ki baaton Ko youn nahi mante ke inhe is ki baate hi nahi jante ya tasleem nahi karte aisa to duniya Ke parde par koi kafir sa kafir bhi shayad na nikle Ke khuda ko khuda manta uske kalma ko us ka kalma janta aur sirf be dharak kehta ho Ke us ne jhut kaha us Se waqu e kizb Ke Mani durust ho gaye garz koi zee insaaf shakh nahi kar sakta Ke in tamam badgoyon ne muh bar kar Allah aur rasool ko galiyan di hain Ab yahi waqt imtihane ilahi hai wahid e kahhar jabbare az jalaalahu Se daro aur woh ayato ke uper guzri peshe nazar rakh kar amal karo!
Ap tumhara imaan tumhare dilo me tamam badgayoin Se nafrat bhardega hargiz Allah aur rasool Allah sallahu alaihi wassallam ke mukabil tumhe in ki himayat na karne dega!
Tum ko un Se ghin ayegi na Ke un ki pach kare Allah aur rasool Ke mukabil un ki galiyo mein mehmal aur behuda tavil gade lillah insaf!
Agar koi shakhs tumhare maa baap ustaadon peeron ko galiyan de aur na sirf zabani balke likh kar chhape shaye kare
kya tum us ka sath doge ya us ki baat banane ko tavile gadege ya us Ke bakne Se be parwahi karke us Se badsurat saf rehga! Nahi nahi agar tum me insani gairat insani hamiyyat maa baap ki ijzaat hurmat azmat mohabbat kar naamo Nishan bhi laga reh gaya ho to us badgo dushmani ki
No comments:
Post a Comment