Part 38 wahabi najdi ki haqiqat
Comment: Ibn kathir ke Mutabiq dajjal Madina ke mashraq ohad paharr ke qareeb shinta
شنتا
Ke muqaam tak aey ga.aur ooper bayan ki gai ahadees mein bhi ata hai ke Dajjal ohad paharr tak aey ga phir Madina mein 3 baar zalzala aey ga jis se Kafir aur munafiq log dar ker dajjal ke pass chale jaeen gy. Aur farishtay iska rukh shaam ki taraf morr dain gay jahan shyd ye shaam aur iraq ke darmiyani rastay se jaey aur idher tabahi machata howa lud ke muqam tak pohanchay aur hazrat Issa alaihessalam isko qatal ker dain gay.
Ibn kathir likhte hain ke Madina ke Mashraq ki taraf ohad ke samne wadi valley shinta ki janib se (Aag ke) zahoor ki kaifiyat ko bayan kia gia hai aur is ne in wadiyoun ko bher diya hai aur is se chingariyaan nikalti thien jo hijaaz ko khati thien aur madina is ke sabab larz gia.
Salafi Daleel Hazrat Usman Radi Allah anho ke Qatal ke Baray Mein
Usman(Radiallah anh) was martyred in Iraq=========
Sahih Bukhari :: Book 58 :: Volume 5 :: Hadith 202 Narrated Qais:
I heard Said bin Zaid bin 'Amr bin Nufail saying in the mosque of Al-Kufa. "By Allah, I have seen myself tied and forced by 'Umar to leave Islam before 'Umar himself embraced Islam. And if the mountain of Uhud could move from its place for the evil which you people have done to 'Uthman, then it would have the right to move from its place."
Comment: Is rawayat ye farmaya gia ke Hazrat Usman Radi Allah anho ke sath jo kiya gia woe bahut ghalat tha lakin is mein kisi jagah zikr nhe aya ke Hazrat Usman radi Allah anho ko Iraq Mein shaheed kiya gia. Salafi,wahhabi Hazrat Ahadees ko ghalat manni dene mein apna saani nhe rakhte. Ab aaeye dekhte hain ke Hazrat Usman radi Allah anho ko kis ne aur kahan shaheed kiya.
Sunni Reply:
Qatleen e usman radi Allah anho
WO MISRI LOG jinhoon ne Usman Ghani radi Allah anho ka mo'aasra kiya wo 600 thy, un ke raees
abdur rahman bin adais al'balwi,
kanana bin basher bin ataab al'kundi aur
Umro ibn al'hamq al'khazai thy
YE TEENOON MISRI QATLEEN USMAN THY
TABQAAT IBN SA'AD , VOL 2, PAGE 145
HAZRAT KO SHAHEED KERNE WALA KALA MISRI THA JISKA NAAM HABLA THA.TABQAAT IBN SA'AD VOL 2 PAGE 151
Jis shakhs ne Hazrat Usman radi Allah anho ko shaheed kiya woe kanana ibn basher tajebi tha. Jo misar Egypt se aya tha
Tareekh Tabri Vol 3 Page 451
Hazrat Usman radi Allah anho ko Qatal Misriyoun ne kiya. Lakin Hazrat Usam radi Allah ke chehray per thapr marne wala tamimi tha. Hajjaj ne pocha ke tum kaun ho? Us ne jawab diya umair bin zaabi al'tamimi ….. yehi wo shakhs hai jo Hazrat Usman radi Allah anho ke qatal ke bad un ke qareeb aya aur us ne Hazrat usman radi Allah anho ke chehray per thhapar mary, ye sun ker hajjaj ne forum umair bin zabi ke qatal ka hukam diya.
Al'bidaya wan'nahay vol 8 page 20
Comment: Donoon Tarah ki rawayatoon se sabit howa ke Hazrat Usman Ko qatal Kerne wale misri thy agerchay baghyoun mein Koofa aur Basra ke log bhi aey thy lakin woe qatleen mein shamil nhe thy. Aik rawayat mein sab ne mil kr hamla kiya us rawayat mein charoon misri sardar thy aur doosri rawayat mein tajebi ne shaheed ki. Aur tajebi misri tha.
Salafi Daleel aik Raat Mein Qur'an Parhne Per
Abu-Dawud :: Book 6 : Hadith 1389
No comments:
Post a Comment