Page 20
Woh jin par touret ka bujh rakha gaya fir unhone us Se na uthaya un ka haal us gadahe ka sa hai jis par kitabe ladi hon
kya buri misaal hai un ki jinhone khuda ki ayato jhutlaya aur Allah jalimon ko hidayat nahi karta aur
farmata hai:
Unhe padh kar suna khabar us ki jise hum ne apni ayaton ka ilm diya tha woh un Se nikal gaya to shaitan us Ke piche Laga Ke gumrah ho gaya aur hum chahte to us ilm Ke ba.as us Se gire Se utha lete magar woh to zamin pakad gaya aur apni khawahish ka pairo ho gaya to us ka haal kutte ki tarah hai to us par humla kare to zaban nikal kar haanpe aur chodh de haanpe ye un ka haal hai jinhone humari ayaten jhutlayen to humara ye irshad bayan kar ye shayad log sochen kya bura haal hai un ka jinhone humari ayate jhhutlayi aur apni hi jaano par sitam dhate the jis Se khuda hidayat.
Kare wahi rah PAYE aur jise gumrah kare to wahi sarasar nuqsaan me hain
Yani hidayat kuch ilm par nahi khuda Ke ikhteyar hai!
Ye ayaten hai aur hadisen Jo gumrah Aalimon ki muzammat me hain un ka to ye shumar hi nahi yahan tak Ke ek hadis me hai. duzakh Ke farishte but parasto Se pehle unhe pakdenge ye kahenge kya hum but poojne walon Se bhi pehle lete
To jawab milega
Janne wale aur anjan barabar nahi
No comments:
Post a Comment