async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 37 wahabi najdi ki haqiqat

Hadees:

Hazrat abu bakr radi Allah anho rawayat kerte hain ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne hamain agah farmaya "Dajjal Mashraq ki Sarzameen se niklay ga jis ka naam Khurasan hai. chamra bhari dahaloon wale uske sath hoon gay. Sahih Hadees ibn Majah

Kitab al'fittan, Baab fitna dajjal wa kharooj issa bin maryam 3292/2

Hadees

Hazrat Anas bin Malik radi Allah anho se rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke (Iran Ke Sheher) Isfahan ke 70 hazar yahodi kali chadrain orhay howy dajjal ka sath dain gay.

Sahih Muslim, kitab al'fittan wa sharatus sa'at, Baab Zikr Dajjal

Imaam Nawawee mentions that one of the greatest trials to appear from the East will be the appearance of the Dajjaal.

[Sharh Saheeh Muslim 2/29]

Hazrat Abu Hurayra Radi Allah Anho se Rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Imaan Yemeni Hai Aur Kuffer Mashraqi hai, Bakriyoun waloon ke liye Sakoon o Itminaan Hai Jab ke oont aur gorray waloon mein takabbur, gharoor aur darushtagi Pai Jati Hai Aur dajjal jab ohad (Madina ke Mashriq) ke peechhay pohanchay ga To farishtay us ka Rukh shaam ki taraf Morr Dain gay, Jahan wo halak hoga. Ye hadees Sahih Hai

Jami'a Trimdi Vol 2, Page 139 Hadees 124

Comment: Subhaan Allah is hadees mein mashraq aur bhi clear ho gia hai ke dajjal mashraq ki sar'zameen khurasan se niklay ga aur phir iran se 70000 yahodi Isfahan ke sheher se us ke sath niklain gay phir woe Madina ke mashraq ohad ke paharr ke peechay pohanchay ga yanni Mashraq se najd ki taraf se aey ga phir usko farishtay uska rukh morr dain gay aur woe shaam ki taraf chala jaey ga.

Comment: ab Imaam Nawawee Ka qaul clear hogia ke woe kis east ki baat bayan ker rahe thy. Khurasan mashraq mein ata hai phir Isfahan bhi mashraq mein ata hai. Khurasan se nikal ke Isfahan ke yahodiyoun ke sath mil ker tabahi machaey ga.

Doosray Tarikay se Reply:

Hadees:

Hazrat Abu Hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya ke "Kana Dajjal Mashraq (khurasan) ki taraf se aaeye ga. Is ka maqsad Madinah Munawra aane ka hoga. Woe ohad paharr ke peechhay tak aaey ga phir Farishtay iska Rukh Shaam ki taraf Phair Dain Gay aur wohe halaak hoga.

Sahih Muslim kitab al'haj,baab siyanatul Madina Min Dakhool al'taoon wal'dajjal ilaiha

Hadees

Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne farmaya "Makkah aur Madinah ke siwa her sheher ko dajjal rond dale ga in (Makkah aur Madinah) ki her gaati per saf basta farishtay kharray hoon gay, jo in ki hifazat krain gay Phir Madina ki zameen 3 Martaba kaanpay gi, jis se her aik kaafir aur munafiq ko Allah Ta'ala is se bahir nikaal dain gay.

Bukhari Kitab fazail Madina, baab la yadkhalul Madina dajjal hadees 1881

He(Dajjal) would appear on the way between Syria and Iraq and would spread mischief right and left.

(sahih Muslim Book 41, Number 7015)

No comments:

Post a Comment