async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: 32

Wednesday, November 18, 2015

32

Page 32

Muwafikat ka kuch aitebar na hoga Ke khta Se masoom hone ki shahadat to ummat Ke liye ati hai aur woh ummat hi Se nahi agarche kibla ki taraf namaz padhta aur apne aap ko musalman etekad karta ho is liye Ke ummat kibla ki taraf namaz padhne wale ka nam nahi balke musalman ka nam hai aur ye shakhs kafir hai agarche apni Jaan lo kafir na Jane raddul-mehtar me hai

Yani zaruriyate Islam Se kisi chiz me khilaf karne wala bil ijma kafir hai agarche ahle kibla Se ho aur umar bhar ta-at me basar kare jaisa Ke Sarah tahrir imam ibn e al-humam me farmaya

Kutube aqide-fiqah aur usul  an tasrihat Se malamal hai! Rabe-an khud masla badi yahi hai! Kya Jo shakhs panch waqat kibla ki taraf namaz padhta aur ek waqt mahadew ko sajda karleta ho kisi aakil Ke nazdik musalman ho sakta hai halake Allah ko jhuta kehna ya Mohammad sallahu alaihi wassallam ki shaane akdas me gustakhi karna mahadew Ke sajde Se kahi badtar hai agarche kufr hone me barabar hai wajah ye Ke but ko sajda alamate takjibe khuda hai aur alamate takjibe ean  takjib Ke barabar nahi ho sakti aur sajde me ye ehtamam akili bhi nikal sakta hai Ke mahez tahiyat aur lihaz agar maslan kisi alim ya Arif ko tahiyat sajda kare gunahgar ho ga kafir na ho ga. Islam but me Sarah ne mutale kin hukm e kufr bar banaye Sahara khas kuffar rakha hai ba-khilaf badgoyih huzur pur noor sayyade Alam sallahu alaihi wassallam Ke fi nafse kufr hai jis me koi ahtemale Islam nahi! Agar me yuhi is fakah par bina nahi rakhta Ke sajide sanam ki tauba ba-jimah ummat makbul hai magar sayyade alam sallahu alaihi wassallam ki shaan me gustaki karne wale ki tauba hazarah ayimamah deen Ke nazdik asla qabul nahi aur is ko humare ulame hanfjya Se imam bazazi aur imam

No comments:

Post a Comment