async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Sunni dawat e islami part 2

Friday, November 27, 2015

Sunni dawat e islami part 2

Sunni dawat e Islami part 2

S d i maslak e alahazrat ke khilaf kaam karti hai

Shakir sahab ne zaheeruddin ke talluk se Huzoor tajushshariya se wada kiye the bahut saal pahle ke ham zaheeruddin ko samjhayenge aur zaheeruddin na mane to usko chhod denge
Aur 6 mahine ka time mange shakir sahab Huzoor tajushshariya se
Lekin afsos ki aaj us wade ko bhi bahut saal hogaye
Shakir sahab Huzoor tajushshariya ko to chhod diye lekn zaheeruddin ko nahi chhoda
Yahan tak ki Huzoor tajushshariya ne shakir sahab ki khilafat ko khilaf kar diya tab bhi shakir sahab zaheeruddin ko na chhode
Ab insaf se  batao ke us shakhs ka shariyat me kya huqm hai jo
Haqq aur batil me haqq ko chhod kar batil ka daman tham len,?
Ab yahan kuchh log kahte hain shakir sahab galat hai kuchh kahte hai isse shakir gumrah hua puri tanzeem nahi
Kya ek galat hua to saare tanzeem ko galat kahoge.
To janab tanzeem ka agar koi fard galat ho to koi baat nahi koi ek muballig galat ho to koi baat nahi
Lekin jis tanzeem ka ameer hi galat ho to wo tanzeem kaise sahi ho sakti hai 
Aur agar fir bhi koi ye kahe pure tanzeem ko bura kahna ya gumrah kahna sahi nahi sirf shakir sahab ko kaho jo kahna hai
To Hazrat pahle to is baat ka jawab do ke lakho log s d i me ap ke hisab se sahi aur sirf shakir galat to batao ke lakho mil kar ek ko aaj tak sudhar kyu nahi paye aur agar wo nahi sudhre to laakho log to hai hi us ek ko tanzeem se nikal do ?
Lekin aisa nahi ho sakta
To pata chala saare s d i wale shakir ke galati ke hissedar hai
Agar nahi to apne tanzeem se shakir sahab ko nikad do aur agr shakir nahi nikta hai to khud nikal jao air aulama e ahle sunnat ka daman tham lo lekin ye bhi nahi karte s d i wale
Aur ye baat bhi khub yaad rakhne ki hai ke Huzoor tajushshariya ne farmaya ke s d i maslak e alahazrat ke muballig nahi , to kya pata chala yahan Huzoor tajushshariya ne ye nahi farmaya ke shakir maslak e alahazrat ke muballig nahi
Balk e farmaya s d i maslak e alahazrat ke muballig nahi

to ab samjh me agaya ke puri tanzeem hi galat hai ye kahna ki sirf shakir galat hai baaki sab sahi hai ye fuzul ki baat hai
Aur
kuchh s d i wale ye kahte hai kya shakir sahab kafir hogaye agar kafir hogaye to fatwa lao kisi alim ka
To mai ye kahunga kya ap sirf kufr ke bina par ikhtelaf karoge
Bhool gaye ap karbala ko
Kya yazeed kafir tha ?
Nahikafir nahi tha fasik tha lekin fir bhi sarkar e imam e hussain radi Allahu anhu ne uske haanth me haanth na diye yahan tak ke shaheed hogaye
To aye s d i walon zara gour karo agar ap karbala me hoto to ap kya karte ap ke sawal ka jawab ap ko mil jayega

To samjh me aagaya ke s d i maslak e Alahazrat ke khilaf hai

Baat abhi khatam na hui
Continue
Visit us maslak e alahazrat zinda baad
http://hashmatinetwork.blogspot.com/?m=0

Whatsapp +966 55 435 6135

No comments:

Post a Comment