Part 39 wahabi najdi ki haqiqat
Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As:
The Prophet (peace_be_upon_him) said: He who recites the Qur'an in a period less than three days does not understand it.
Sunni Reply:
Aik raat mein Quran khatam kerna
Muhammad Bin seereen se marwi hai ke Usman Radi Allah anho shab baidari kerte aur aik rak'at mein Quran Khatam kerte thy.
Abdur rahman bin usman radi Allah anho se marwi hai ke mein Makkah mein muqam e Ibrahim ke peechhay kharra ho gia, chahta tha is shab (ebadat mein) mein koi mujh se barhne na paey, aik shakhs ne mere pehloo per hath rakhha mein ne iltafaat na kiya. Us ne phir hath rakhha,
Mein ne dekha ke wo Usman bin afwan radi Allah anho hain, mein kinaray hatt gia, wo aagay barhay aur aik raka'at mein poora Qur'an parha aur chalay gaey.
Ibn siren se marvi hai ke jab Usman radi Allah anho qatal kiye gaey to un ki bivi ne kaha tum logoon ne unhain qatal ker diya halan ke wo saari raat baidar reh ke aik raka'at mein poora Qur'an parhte thy.
Tabqaat e Ibn Sa'ad Vol 3, Page 145,146
Hazrat Nyla kharri ho gaeen, Unhoon ne kaha Rab e Ka'aba ki qasam! Aey Allah ke dushmano! Tum ne Usman Radi Allah anho ka khoon kiya ye bahut barra gunah hai, dekho Wallah tum logoon ne unhain qatal ker diya halanke wo barray namazi thy, Aik raka'at mein poora Qur'an parhte thy.
Tabqaat ibn sa'ad vol 3 page 115
Salafi Daleel Iraq Mein Bemari Wali Rawayat
Muwatta Imam Malik Book 054, Hadith Number 030.)
Malik related to me that he heard that Umar ibn al-Khattab wanted to go to Iraq,
and Kabal-Ahbar said to him, "Do not go there, amir al-muminin. There is nine-tenths of sorcery there and it is the place of the rebellious jinn and the disease which the doctors are unable to cure."
Ka'ab al'ahbaar ussi saal musalman hoey the, woh bole
Aey ameer ul Momaneen!(Hazrat Umer Radi Allah anho)
Iraq aap apne safar ka aaghaz kaun se muqaam se kerna chahte hain?
Aap (Hazrat Umer) ne farmaya Iraq se"
woh (ka'ab) bole
Aap aisa na krain kiyoun ke burai ke 10 hissay hain aur bhalai ke bhi 10 hissay hain, burai ka aik hissa maghrib mein hai aur 9 hissay mashraq mein hain isi tarah bhalai ka sirf aik hissa mashraq mein aur 9 hissay maghrib mein hain. Mashraq he shaitan ka seeng aur her muhlak bemari hai.
..Tareekh Tabri vol 3 page 70.
Sunni Reply:
Saif ki rawayat mein hai Hazrat Ali Radi Allah Anho ne farmaya:
Aey ameer ul mo'maneen!(Hazrat umer)
Khuda ki qasam! Koofa hijrat ke ba'd doosri hijrat ka muqaam hai. Ye islam ka markaz hai aik din aisa aaeyga ke momin wohe aeyga aur (wahan aane ka) mushtaq hoga"
Abu imama ki rawayat mein hai ke (is moqa per) Hazrat Usman Radi Allah Naho ne farmaya:
Aey ameer ul momaneen!(Hazrat Umer) maghrib sharartoon ki zameen hai. Burai ke 100 hissay hain us mein se sirf aik hissa (tamam dunia ke.) logoon mein hai aur baqi tamam (99) hissay wahan hain
Tareekh Tabri, vol 3, page 70
SALAFI Daleel Mashraq Ke Liye
No comments:
Post a Comment