async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: EK DARD ANGEZ TAUBA

Friday, November 6, 2015

EK DARD ANGEZ TAUBA

EK #DARD #ANGEZ #TAUBA

Hazrat Musa Alaihi Salam Ke
Zamane May Ek Shaks Aisa Tha Jo
Apni Tauba Per Kabhi Kayam Nahi
Rehta Tha, Jab Bhi Wo Tauba Karta
Use Tod Deta! Yahan Tak Ki Use Is
Haal May 20 Saal Guzar Gaye!
ALLAH-TA'AALA Ne Hazrat Musa
Alaihi Salam Ki Taraf "WAHI" Ki,
Mere Us Bande Ko Kehdo, Main
Tujhse Sakht Naraaz Hoon! Jab
Hazrat Musa Alaihi Salam Ne Us
Aadmi Ko ALLAH Ka Paighaam Diya
To Bahoat Ghamgeen Hua Aur
Jangalon Ki Taraf Nikal Gaya,
Wahan Jaker ALLAH-TA'AALA Ke
Darbar May Arz Kiya,
Aye Rabbe Juljalaal! Teri Rehmat
Jati Rahi Ya Mere Gunahon Ne Tujhe
Dukh Diya? Teri Bakshish Ke
Khazane Khatm Hogaye Ya Bandon
Per Teri Nigah-A-Karam Nahi Rahi?
Tere Muafi Wa Dar-Guzar Se Kaunsa
Gunah Bada Hain? Tu Karim Hain,
Main Bakhil Hoon! Kya Mera Bukhl
Tere Karam Per Gaalib Aagaya
Hain? Agar Tune Apne Bandon Ko
Apni Rehmat Se Mehroom Kerdiya
To Wo Kis Ke Darwaze Per Jayege?
Agar Tune Uneh Darbaar Se Nikaal
Diya To Wo Kahan Jayege? Aye
Rabbe Qadir Wa Kahhaar! Agar Teri
Bakshish Jati Rahi Aur Mere Liye
Ajaab Hi Reh Gaya Hain To Tamaam
Gunahgaron Ka Ajaab Mujhe De De,
Main Unper Apni Jaan Qurbaan
Karta Hoon!
ALLAH-TA'AALA Ne Musa Alaihi
Salam Se Farmaya, Jao Aur Mere
Bande Se Kehdo Ki Tune Mere
Kamaal-A-Qudrat Aur Afwa Wa Dar-
Guzar Ki Haqiqat Ko Samajh Liya
Hain! Agar Tere Gunahon Se
Zameen Bhar Jaye Tab Bhi Main
Baksh Duga!
."ALLAHU-AKBAR"
(Mukashfatul Kulub, Pg-128)

No comments:

Post a Comment