Part 6 Wahabi najdi ki haqiqat
baab najd ki taraf jo lashkar Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne rawana kia tha.
Hazrat imam bukhari ne is ko jung taif k ba'd zikr kiya hai lakin ahle mughazi ne kaha ke ye lashkar fatah makkah ko jane se pehle rawana kia tha. Ibn sa'ad ne kaha ye 8 ad ke maah shaban ka waqiya hai. Bazoon ne kaha maah ramzan mein ye lashkar rawana kiya tha us ke sardar abu qatada radi Allah anho the. Is mein sirf 25 admi the, jinhoon ne ghatfaan se muqabla mein 200 oont aur 2000 bakriyaan hasil ki.
Sahih bukhari j 8 baab najd ka sarya, hadees 4338
Comment: ghatfaan ussi ilaqay mein hai jo madina se le ker iraq tak ata hai
Banu Hanifa Najd Ki Janib Chand Sawaroon ko bheja
Hazrat abu hurayra radi Allah anho farmate hain ke:
"Nabi e Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ne najd ki janib kuch sawaroon ko rawana farmaya to wo bani hanifa ke aik shakhs thamama bin athal(samama bin asal) ko griftaar ker ke le aey aur ussay Masjid e Nabvi ke aik satoon se bandh diya……………………….. baqiya hadees is reference per mulaheza farmaeen.
Sahih bukhari vol 2, page 690, baab 538, 1500
HADEES
Bani tamim ki branch bani amber
Ibn is'haq ka qol hai ke ayainya bin hisn bin hudhaifa bin badr ko Rasool e Khuda ne bani tamim ki shaakh bani anber se jahaad kerne bheja. Inhoon ne shab khoon maar ker mard qatal ker diye aur auratoon ko qaid ker liya.
Sahih bukhari vol 2, page 687, baab 536
Sahih Hadith # 1 Prophet [salehalawaalihiwasalam] said Najd and Iraq are Two different places
Book 007, Number 2666: (Sahih Muslim)
Abu Zubair heard Jabir b. 'Abdullah (Allah be pleased with them) as saying as he was asked about (the place for entering upon the) state of Ihram: I heard (and I think he carried it directly to the Apostle of Allah) him saying: For the people of Medina Dhu'l-Hulaifa is the place for entering upon the state of Ihram, and for (the people coming through the other way, i. e. Syria) it is Juhfa; for the people of Iraq it is Dbat al-'Irq; for the people of Najd it is Qarn (al-Manazil) and for the people of Yemen it is Yalamlam.
اب ہم تاریخی واقعات سے ثابت کرتے ہیں کہ نجد صرف ایک مخصوص علاقہ ہے اور جس نجد سے حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم کے زمانے میں ہی بہت زیادہ فتنے نکلے تھے کہ حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے اسکے لئے دعا بھی نہیں کی۔ ذرا ان تاریخی واقعات کو دیکھتےہیں
Ab Ham Tareekh waqiyat se sabit kerte hain ke Najd sirf aik makhsoos area hai aur jis Najd se Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ke zamanay mein he bahut ziyada fitnay niklay thy ke Aap Sallallahu alaihe wasallam ne uske liye dua bhi nahe farmai.
Waqiyaat
1: Hijrat ke 25 mahinay mah rabiul awal mein Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ka Najd ki taraf ghazwa e ghutfaan hai jo al'taheel ke nawah mein zawi amer mein hai.
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko ye khabar pohanchi ke bani thalba wa muharab ki aik barri jama'at ne zawi amer mein jamah ho ke ye qasad kiya hai ke aap ko tamam atraaf se gair lain ye fail bani maharab ke aik admi hai jis ka naam dhator bin al'haris hai. Tabqaat sa'ad Vol 1, Page 271.
2: Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne 70 admiyoun ki aik jama'at jissay qarah yanni qariyoun ke naam se yaad kiya jata tha. Madina ke girdo nawah mein us waqt tak nazal shuda Qur'an ki taleem ke liye bheji thi lakin jab wo us jagah pohanchay thy jissay bair e ma'oona kaha jata hai to bani saleem ke to bani saleem ne ilm ul Qur'an se unhain roka tha aur jab unhoon ne kaha tha ke ham Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ke hukam se yahan aaeye hain to un dushmanan e islam ne us poori jama'at ko shaheed ker diya. Kaha jata hai aur is ki ta'eed aksar ahle khabar ne ki hai ke abu barah aamir bin maalik bin ja'far ne Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein hazir ho ker Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya tha ager Aap Sallallahu Alaihe Wasallam dawat dene waloon ko Ahle Najd ki taraf rawana farmaeen to ussay yakeen hai ke wo islam qabool ker ke Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke mateeh ho jaeen gay
No comments:
Post a Comment