Part 10 Wahabi najdi ki haqiqat
ALAMA BADRUD DIN AINI ISKI SHARAH MEIN LIKHTE HAIN.
Rabiyya (Abdl Qais) aur Madina ke darmiyan kuffaar ka qabeela Mudar Abad tha aur Rabiyya ke logoon ko Madina aate waqt Mudar Se Guzer ker ana hota tha. Umdatul qari vol 1 page 305
Comment
Hadees aur Imam ibn hajjar asqalani aur Imam nowavi ki sharah se ye baat pata chali ke qabeela qais mashraq mein ha aur Qabeela qais iraq ke border aur Bahrain mein rehta hai. Ham Bahrain wale qol ko ziyada tarjeeh dain gay kion ke yehi ilaqa Hadees se sabit hai bani rabiyya ki shaakh qabeela abdl qais ka.
Ab aaeye us hadees ko parhte hain jo hamaray daway ko sach sabit kerti hai.
Hadees
Hazrat Ibn Abbas radi Allah anhuma se rawayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ki Masjid mein Jumah Ki namaz hone ke ba'd sab se Pehle Jumah ki Namaz ada ki gai wo (Muqaam) jawathi mein Abdl Qais ki masjid hai. Jawathi Bahrain mein aik jagah ka naam hai. Sahih Bukhari vol 2 page 1469 Hadees 1504
Comment
Sabit howa ke Bahrain Madina ke Mashraq mein hai aur bani rabiyya ki shaakh qais Bahrain mein rehti hai. Aur Bahrain aur Madinah ke darmiyan jo ilaqa ata hai woe Mudar Qabeela Ka Hai. Aur Yaad Rahe ke Najd ke ilaqay mein he ye Mudar Qabeela ata hai Aur Rabiyya Bahrain ke area mein ata hai aur Bahrain bhi Najd mein he shaamil hai.
Qabeela Qais Bahrain Se Aya Tha
QAIS KA QABEELA BAHUT BARRA QABEELA THA JO Bahrain mein rehtay thy .
al'muwahib laduniya , Page 652 vol 1
Qabeela Rabiyya Bahrain mein hai Jo Madina Ke Bilkul Mashraq Mein hai. More detail reference is below:
"Majmuaz zawaiyd Vol 3 Hadees 6699 Aur Tabarani fil kabeer Vol 18, Hadees 93,95
Ooper ki ahadees se sabit howa ke Mudar Qabeela qabeela Qais ke darmiyan mein hai. Aur ham ne ahadees ki roshni mein dekha ke qabeela qais Bahrain Mein hai. Aur Hadees se sabit howa ke Bahrain Mashraq mein hai. Aur Bahrain ke border se Saudi Arabia ka Najd ka area shuru hota hai Yemen,Madina, shaam aur Iraq Ke darmiyan tak hai.
Ab koi Ye bhi Keh sakta hai ke Bahrain Mojooda Bahrain nahe tha Balke woe koi aur Bahrain tha. Is ke rad ke liye ham ye hawala paish ker dete hain
Bahrain kahan per hai.
Pas hazrat al'ilah bin al'hazrami radi Allah anho ne Hazrat Umer radi Allah anho ki ijazat ke baghair inhain (lashkar ko) samunder mein sawar ker ke Iran le gaey aur Hazrat Umer radi Allah anho is baat ko napasand krte thy kion ke Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam aur Hazrat Abu bakr radi Allah anho ne is mein musalmanoon ki jung nhe kerwai, Pas ye foujain Bahrain se Iran chali gaeen.
Al'bidaya wan'nahaya vol 7 page 117
Iran aur iraq ka border aik doosry ke sath attach hai. Jab ke iran aur Bahrain ke darmiyan samunder ata hai. Aur above isi Bahrain ka zikr howa hai jo mojooda Bahrain hai kion ke samunder in donooon ke darmiyan hai aur boats per jane ka matlab yehi hai ke samunder ke rasty hamla krne ja rahe thy iran per.
Banu Tamim Kis Nasl Se Hai Aur Kis Qabeelay Se Talluk Rakhti Hai
No comments:
Post a Comment