async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 22 wahabi najdi ki haqiqat

11: Banu Saleem alfujahat ke sath murtad ho gaey, uska naam anas bin abd yalel tha.

12: Banu Asad (Najd Mein Rehne Wala Qabeela) Ka Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Per Ehsan Jatlana Aur Us Per Qur'an Ki Ayaat Ka Nazool hona

Banu Asad Ka 10 afrad per mushtamil wafd Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein hazir howa. Jin mein darar bin al'ardr, wabsa bin ma'bad aur taliha bin khaweld jis ne Nabuwat ka dawah kiya tha bad mein. Phir bad azaan acha musalman ban gia tha. Aur nafaza bin Abdullah bin khalf shamil thy in ke leader hadarmi bin aamir ne kaha Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ham Aap ke pass be'aab o giyah saal mein shab taar se guzar ker aaeye hain aur Aap ne hamari taraf koi fauj nahe bheji to in ke baray mein ye ayat Nazil hoi:

Ayaat

"woe Tujh per ehsan jatatay hain ke woe musalman ho gaey hain' keh do tum Mujh per apne islam ka ehsan na jatao balke Allah ka tum per ehsan hai ke us ne islam ki janib tumari rahnumai ki hai ager tum rast'baaz ho".

13: Bani tamim ki jamat khawarij

Hazrat ash'at bin qais bani tamim ki aik jama'at ke pass se guzray aur unhain tehreer sunai to urwah bin azeena (azeena iski maa hai, jo bani rabiya bin hanzla ka urwah bin jareer hai aur abu bilal bin mardas bin jarir ka bhai hai) aap ke pass aya aur kehne laga kiya tum Allah ke deen mein mardoon ko hukam banate ho? Phir us ne apni talwar ash'at bin qais ki sawari ki sareen per mari to hazrat Ash'at aur un ki qom ghazabnak ho gaey.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 7, Page 364.

14: Hazrat Imam Hussain Per Qatlana Hamla kerne wale Tamimi Karbala ke Maidan Mein

Pass jawanoon ne her taraf se Hazrat Hussain radi Allah anho per hamla ker diya. Aur zarhat bin shareek tamimi ne aap ke baeen (left shoulder) kandhay per talwar maari aur daeen kandhay(right shoulder) per bhi talwar maari phir wo apko chhorr ker wapis chale gay.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241

Jab hazrat Imam Hussain radi Allah anho peene ke qabil pani ki tarf gaey to aik shakhs ne jissay hassain bin tamim kaha jata tha, us ne aap ke taloo per teer maar ker chheed ker diya

Al.bidaya wan'nahaya, Vol 8. Page 240

15: Qaatleen Hussain Ke Group Mein Bani Tamim Ki Shamooliyat:

Mein habib hoon aur mera baap mazhar hai jo jung ka shehsawar aur jungoon ko bharkane wala hai, tum barri ta'dad wale ho aur ham tum se ziyada wafadar aur sabir hain

Neez ham hujjat ke lehaaz se aala aur haq ke lehaaz se namayaan hain aur tum se ziyada sabit qadam aur pak'baaz hain.(habib imam hussain ka sathi tha)

Phir is habib per bani tamim ke aik shakhs ne hamla kiya aur ussay naiza mara. Aur wo gir parra phir wo utthne laga to hassain bin numair ne us ke sar per talwar mari to wo gir parra aur tamimi ne us ke pass a ker us ka sar kaat liya aur ussay ibn ziyad ke pass le gia.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page

No comments:

Post a Comment