Post #3
Aayat#2:
Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum ko GAIB ka ILM de, haanALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko chahe". (PARAH#4,Surah # Al-Imran, Aayat#179)
Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Matla'a kare, isKUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen" (Anwaar Ul Tanzeel, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)
Tafseer E Khazan main hai.
Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas UnkoKhabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par." (Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)
Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai". (Tafseer Ul Kabeer, JILD#9, PAGE#111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)
Tafseer E Jalalen main hai.
Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai,Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai".... " KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya". (Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)
Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..
ROOH Ul BAYAAN main hai.
Tarjuma: " Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se". (Tafseer E ROOH Ur Bayaan, JILD#2, PAGE#162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)
Aayat#3:
(Surah # Al-Nisaa,Aayat no # 113)
Tarjuma: " Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka tum par bara fazal hai".
Tafseer-E-Jalaleen, Page 97, main hai.
Tarjuma: "Yaani Aahkaam sikhae, aur ILM-E-GAIB sikhaya"
IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata kar diye jo, aap nahin jaante the) YaaniEhkaam main sab, aur ILM-E-GAIB main se. (Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)
Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi gai, agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka na jaata???
Tafseer-E-Madarik main hai.
Tarjuma: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae, aur chupi huwi baaten, Dilon k Raaz batae".(Tafseer-E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshawar)
Jaame Al Bayaan main hai.
Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din, jo Aap Qura'an k Nuzool se pehle na jaante the". (Tafseer-E-Tibri, Jild#5, Page#270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)
Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko tamaam Aaenda aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai, Yaani ILM-E-GAIB..
Continue
No comments:
Post a Comment