async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 38

Monday, November 2, 2015

Post 38

Post #38

Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) k Doraan-E-Tawaaf Abu Sufiyaan aur Hind k Darmiyaan Mulaaqaat huwi, AAP (ALEH SALAAM) ne Faramya, Ae Abu Sufiyaan tumharey aur Hind k Darmiyaan aesi aesi Baaten huwi hain, Abu Sufiyaan ne Dil main kaha Hind ne Mera Raaz Faash kar diya, main us ka aesa aesa Hashar karunga, Jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) Tawwaaf se Faarig huwe, to Abu Sufiyaan se mile aur Faramya, Abu Sufiyaan! Hind se is Qisam ki Guftugu na karna, Hind ne tumhara Raaz Fash nahin kiya, yeh sun kar Abu Sufiyaan kehne laga, main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain"

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#441-442, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Allama Saeyyad Ahmed O Halaan Makki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain, Haasil kalaam yeh hai k Abu Sufiyaan ko Shoru Shoru main yeh Inqalaab Nagawaar guzri, Magar NABI-E-AKRAM (ALEH SALAAM) us k Saath Narmi aur Taaleef E Qalb se Kaam lete rahe, yahaan tak k Islam us k Dil main jam gaya, Baad main Gazwah-E-Taef k doraan us ki ek Aankh Phoot gai to woh use Hatheli par utha kar NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Agar tum chaho to ALLAH TA'ALA tumhari Aankh ko Pehle se Behtar Surat-E-Haal main lota de, ya yeh Pasand karo k ALLAH TA'ALA tumhen jannat main tumhen is se behtar Aankh Ata karde, yeh sun kar Abu Sufiyaan ne Woh Aankh Phenk di aur kaha k main jannat ki is se Achi Aankh pasand karta hun, is ki dusri aankh Khilaafat-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) main Yarmok ki larai k Doraan Phoot gai, Woh Mujaahideen ko Jihaad-O-Qataal ki Targeeb dete huwe keh rahe the, Logo! yeh ALLAH k Azeem Ayyaam main se Ek Din hai, tum ALLAH k Deen ki Madad karo, ALLAH Tumhari Madad karega"..

(Hajjat Ul Ali Ul Aalameen, Fi Mojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#357, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap khud kar sakte hain, k Abu Sufiyaan k Dil ki Baat jaanna ILM-E-GAIB hai ya nahin.. JazakALLAH

Continue

No comments:

Post a Comment