Part 29 wahabi najdi ki haqiqat
aur koofa ki kul abadi ka 62 feesad rabbiya wa mudar ke najdi thy. Phir in mein aksariyat banu tamim ki thi.
Al'bidaya wan'nahaya 6/347)
Comment:
Koofa ki abadi mein 62 feesad Rabiyya aur Mudar ke Najdi Thy phir in mein bhi aksariyat banu tamim kit hi. Yahan aa ker pata chalta hai ke Najd Aur Iraq Mein Apas Mein Kiya Talluk Hai. Kion ke Jin Qabeeloon Se Shaitan Ke Seeng nikalne ki nishandehi ki gai thi woe Iraq Pohanch gaey thy. Isi liye Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne Allah ke diya ilm ghaib se hamain agah farma diya donoon jaghoon ka aur un qabeeloon ka jin se fitna nikalna tha.
Ab ham Zara Qabeela Mudar Ka Qabl Az Islam Record Dekh Lain.
BANI MUDAR KA QABL AZ ISLAM IKHLAQI HAAL
بنی مضر کے قبل از اسلام اخلاقی حالات
Agerchay Quraish ko Makkah mein aik gona Hakoomat Hasil ho gai aur qabail e Mudar atraaf o jawanib Mumalik ko Shaam O Iraq mein aur kuch hijaaz mein bhi muntashir o mutafariq ho gaey aur baz in mein badiya nasheen o khana badosh ho gaey, aur baz asbaab e ishrat aur samaan e tumaddun ki farahmi mein masroof howe, Kabhi ye Fars o Room se Iraq O Shaam ke Maidanoon Mein Larrte Nazar Ate Thy aur kabhi apni hadood ki hifazat ki gharz se apni qaum ko jamah ker ke ahle Iraq o Shaam se Muqabla kerte dekhai dete thy. In larraiyoun mein aur khoon raiziyoun mein kabhi ye maghloob ho ker kharaj guzari per majboor ho jate thy lakin jab kabhi phir koi moqa hath aa jata tha to kharaaj guzari ata'at e shahi se Mun'harif ho ker mukhalifat ker baithte thy. Algharz thanday kalejay na ye khud pani peete thy aur na peene dete thy. Hamesha shahaan e Iraq o Shaam ko istisaal fasaad o itfa naira fitna mein rehna parta tha.
TAREEKH IBN KHALDOON VOL 1 PAGE 31
Comment:
Is se clear hogia ke qabeela Mudar mein aane wale log bahut jhagraloo aur fitnah parwar thy, na khud chain se jeety thy na kisi ko chain se jeene dete thy.aur in ki fitrat mein tha hakoomatoon ke khilaaf baghawat kerna aur jungain kerna.
Ab Kuch Ahadees share kerte hain khawarij ke hawalay se.
Hazrat Abu Saeed Khadri Radi Allah Anho farmate hain ke Hazrat Ali Radi Allah Anho se Yemen se Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein chamrray ke thailay mein bher ker kuch sona bheja, jis se abi tak matti bhi saaf nhe ki gait hi. Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne wo sona 4 admiyoun mein ayainya bin badr, iqra bin haabis, zaid bin khail aur chothy alaqma ya amir bin tufail ke darmiyan taqseem farma diya. Is per Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke as'haab mein se kisi ne kaha: in logoon se to ham ziyada haqdar thy.
Jab ye baat Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam tak pohanchi to Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: kiya tum mujhe amanatdaar shumaar nhe kerte? Halanke Aasman waloon ke nazdeek to mein amen hoon. Is ki khabrain to mere pass subah shaam aati rehti hain.
Ravi ka bayan hai ke phir aik admi (zawil khawaisira tamimi) kharra ho gia "jis ki ankhain ander ko dhansi hoi, rukhsaar ki hadiyaan ubhri hoi, oonchi paishani, gani darhi, sar munda hua tha aur wo ooncha tehband bandhy hoey tha, wo kehne laga : Ya Rasoolallah! Allah se darain,
Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: tu halaak ho, kiya mein tamam ahle zameen se ziyada khuda se darna ka mustahiq nhe hoon? Jab wo admi jany ke liye moorra to Hazrat Khalid bin waleed Radi Allah Anho ne arz kiya: Ya Rasoolallah! Mein is ki gardan na urra doon?
Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: aisa na kro shayad ye namazi ho, Hazrat Khalid Radi Allah Anho ne arz kiya: bahut se aise namazi bhi to hain ke jo kuch in ki zuban per hota hai wo dil mein nhe hota.
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: Mujhe ye hukam nhe diya gia ke logoon ke diloon mein naqb lagaoon aur un ke pait chalk kroon. Ravi ka bayan hai ke wo palta to Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne phir us ki janib dekha to farmaya: Is ki pusht se aise log paida hoongy jo Allah ki kitab ki talawat se zuban ter rakhain gay, lakin Quran in ke halq se neechay nhe utray ga. Deen se is tarah nikal jaeen gay jaise teer shikaar se paar nikal jata hai. Mera khayal hai ke Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne ye bhi farmaya tha ke ager mein in logoon ko paoon to qom e thamood ki tarah in ka qatal kroon.
Sahih Bukhari, 1581/4, Hadees 4094
Sahih Muslim 742/2, Hadees 1046
No comments:
Post a Comment