async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqeeqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqeeqat

Part 30 wahabi najdi ki haqiqat

Hazrat Saeed Khadree radi Allah anho ne farmaya: Hazrat Ali radi Allah anho ne Yemen matti mein mila hua thorra sa sona Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein bheja to Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne issay iqra bin habis jo bani majasheh ka aik fard tha aur ayaiyna bin badr fazari ,alqama bin alatha aamri, jo Bani kalaab se tha aur zaid al'khail ta'i, jo bani nib'haan se tha in charoon ke darmiyan taqseem farma diya. Is per Quraish aur Ansaar ne narazgi ko narazgi hoi aur unhoon ne kaha ke AHLE NAJD ke sardaroon ko maal dete hain aur hamain nazar'andaz kerte hain.

Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: mein to un ki taleef qalb ke liye kerta hoon. Isi asna mein aik shakhs aya jis ki ankhain ander ko dhansi hoi, aur paishani ubhri hoi, darhi ganni, gaal phoolay hoey aur sar munda howa tha aur us ne kaha :

Aey Muhammad! Allah se daro, Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: Allah ta'ala ki ata'at kerne wala kaun hai? Ager mein us ki nafarmani kerta hoon halanke us ne mujhe zameen waloon per amen banaya hai aur tum mujhe amen nhe mantay.

To sahaba mein se aik shakhs ne ussay qatal kerne ki ijazat mangi mere khayal mein wo Khalid bin waleed Radi Allah Anho thy to Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne unhain mana farma diya.

(aur abu na'eem ki rawayat mein hai ke " us shakhs ne kaha: aey Muhammad! Allah se daro aur adal kro,

to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam : aasman waloon ke haan mein imanatdar hoon aur tum mujhe amen nhe samajhte? To Hazrat Abu Bakr Sadeeq Radi Allah Anho ne arz kiya: Ya Rasoolallah! Mein is ki gardan kaat doon? Farmaya: haan, so wo gaey to ussay namaz parhte hoey paya, to (wapas palat aey aur) Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein hazir ho ker arz kiya: mein ne ussay namaz parhte paya (is liye qatal nhe kiya) to kisi doosry sahabi ne arz kiya: mein us ki gardan kaat doon?)

Jab wo chala gia to Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: is shakhs ki nasal se aisi qom paida hogi ke wo log Qur'an parhain gay lakin un ke halaq se nichay nhe utray ga, wo islam se is tarah nikal jaeen gay jaise teer shikar se nikal jata hai, wo but parastoon ko chhorr ker musalmanoon ko qatal krain gay. Ager mein inhain paoon to qom e aad ki tarah zaroor inhain qatal kroon

Sahih Bukhari 2702/6, raqm 6995 Wa fi 1219/3, raqm 3166
Sahih Muslim 741/2, raqm 1064
Ahmad Bin Humble fil musnad 68/3,73, raqm 11666,11713

Sar mundaey hoon gay ya sar mundana hai

Hazrat Abu Saeed Khadi radi Allah anho se rawayat hai ke

Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: Mashraq ki janib se kuch log niklain gay ke wo Qur'an parhain gay magar wo un ke galoon se nichaey nhe utray ga. Wo deen se is tarah nikal jaeen gay jaise teer shikar se paar nikal jata hai aur phir wo deen mein wapis nhe aaeen gay jab tak teer apni jagah per wapis na laut aaey. Daryaft kiya gia ke un ki nishani kia hogi?

Farmaya Unki nishani sar mundana hai ya farmaya: sar mundaey rakhna hai.

Aur muslim ki rawayat mein hai: "Yusair bin umroo kehte hain ke mein ne sahal bin hanif radi Allah anho se pochha : kiya aap ne Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam se khawarij ka zikr suna hai?

Unhoon ne farmaya: haan! Mein ne suna hai aur apne hath se mashraq ki taraf ishara ker ke kaha kaha: wo

(wahan se niklain gay aur) apni zubanoon se Qur'an parhain gay magar wo un ke halq se nhe utray ga aur deen se aise nikal jaeen gay jaise teer shikaar se paar nikal jata hai"

Sahih Bukhari 2748/6, raqm 7123

Sahih Muslim 750/2, Hadees 1068
Ahmad Bin Humble Musnad 64/3, Hadees 11623,486/3
Ibn Abi Shaiba Musannaf 563/7 Hadees 37397

No comments:

Post a Comment