Part 20 Wahabi najdi ki haqiqat
Hazrat Abu Bakra radi Allah anho se rawayat hai ke iqrah bin habs ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya ke siraaq al'hajeej jo aslam qabeela se hai aur Ghaffaar Mazeena aur Jaheena ne Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se bait ki Hai to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya Kiya tum Jante ho?
Aslam, Mazeena Aur Jaheena ye Sab Banu tameem, banu amir aur ghatfaan nakaam aur na'muraad se behter hain. Iqrah bin habs ne arz kia jee Haan! Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya us Zaat ki qasam jis ke qabza e qudrat mein meri jaan hai Aslam o Ghaffaar waghaira bani tamim waghaira se bahut achhay Hain.
Sahih Bukhari Vol 2 Hadees 732 Page 731
Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke: Quraish, Ansaar,Jaheena,Mazeena, Aslam, Ghaffar aur ashjah Mere khair khawah hain aur Allah aur us ke Rasool ke siwa aur koi un ka hamaiti nhe.
Sahih Bukhari vol 5 Hades 3512
Comment:
In Ahadees se pata chala ke Bani tamim ki fazilat ki tareef per jo hadees hai wo sirf banu tamim ke liye he special nahe hai balke aur bhi bahut se qabeeloon aur qomoon ke liye hai. Jaise qabeela aslam Hazrat Ismail alaihessalam se hai. Aur Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne khud farmaya tha ke "Mein Mudari Hoon" ]
Sajah banu tamim ki aik aurat thie jis ne nabuwat ka dawah kia tha to us ki qaum se aik jamaat uski pairokar ban gai.
Phir us tak musaylma ka mamla pohancha to us ne sajah ko dahoka de ker us se nikah ker liya. Ab sajah ki qaum banu tamim aur musaylma kazzaab ki qaum musaylma ki ata'at per mutafiq ho gai.
Imam Ibn hajjar asqalani , fathul bari page 91, vol 8
2: Hazrat Ali Ke Qaatil Aur Bani Tamim
Logoon ne bayan kia ke khawarij mein se 3 admi muntakhib kiye gay,
1: Abdur Rahman bin maljam al'muradi jo qabeela hamair se tha, is ka shumaar qabeela murad mein tha jo kanda ke bani jabla ke haleef tha.
2: Al'berk bin Abdullah Tamimi
3: Umroo bin bakeer al'Tamimi
Tabqaat e Ibn Sa'ad Vol 2, Page 162
Logoon ne bayan kiya ke khawarij mein se 3 admi select kiye gay
1: Abdur Rahman bin maljum al'muradi jo qabeela hamir se tha
2: Alberk bin Abdullah al'tamimi
3: Umroo bin bakeer al'tamimi
Ye teenoon Makkah mein jamah howe inhoon ne ehd o paimaan kiya ke in teenoon admiyoun ko zaroor zaroor qatal ker dain gay' Ali bin abi talib, Muawiya bin abi sufiyan, Umroo bin al'aas
Tabqaat ibn sa'ad vol 2
3: KHARJI TAMIMI QITRI
Qatri bin al'fajah al'tamimi abu nehama kharji ko qatal ker diya gia. Is ke sathi isko taqreebun 20 saal tak khalifa kehte aur samajhte rahe.
Al.bidaya wan'nahaya vol 9 Page 49
4: JHOOTA AHLE BAIT FROM NAJD
Aik shakhs ne Najd mein ye dawah kiya tha ke wo Ali bin Muhammad bin al'fazal bin al'hussain bin Abdullah bin abbas bin bin Ali bin abi talib hai. Iske sath he isne muqam hijer mein logoon ko ata'at ki dawat di, to wahan ke kuch logon ne uski ata'at bhi qabool ker li, jis se wahan zabardast qatal o qataal aur baray fitnay barpa howe aur bahut si larraiyaan bhi hoi,
Iska asli naam Ali bin Muhammad bin abdur raheem tha. Iski maa asad bin khazimah
(Najd) ke khandan se tha.
Al'bidaya wan'nahaya vol 11 page 53
6: : (Najd ke) Asad aur Ghatfan bhi Murtad Ho gaey
Albidaya wannahaya vol 6 page 416
No comments:
Post a Comment