Part 19 Wahabi najdi ki haqiqat
Hazrat Abu Bakra radi Allah anho se rawayat hai ke iqrah bin habs ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya ke siraaq al'hajeej jo aslam qabeela se hai aur Ghaffaar Mazeena aur Jaheena ne Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se bait ki Hai to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya Kiya tum Jante ho?
Aslam, Mazeena Aur Jaheena ye Sab Banu tameem, banu amir aur ghatfaan nakaam aur na'muraad se behter hain. Iqrah bin habs ne arz kia jee Haan! Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya us Zaat ki qasam jis ke qabza e qudrat mein meri jaan hai Aslam o Ghaffaar waghaira bani tamim waghaira se bahut achhay Hain.
Sahih Bukhari Vol 2 Hadees 732 Page 731
Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke: Quraish, Ansaar,Jaheena,Mazeena, Aslam, Ghaffar aur ashjah Mere khair khawah hain aur Allah aur us ke Rasool ke siwa aur koi un ka hamaiti nhe.
Sahih Bukhari vol 5 Hades 3512
Comment:
In Ahadees se pata chala ke Bani tamim ki fazilat ki tareef per jo hadees hai wo sirf banu tamim ke liye he special nahe hai balke aur bhi bahut se qabeeloon aur qomoon ke liye hai. Jaise qabeela aslam Hazrat Ismail alaihessalam se hai. Aur Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne khud farmaya tha ke "Mein Mudari Hoon" ]
"میں مضری ہوں" halanke Mudar Qabeela woe qabeela hai jahan se shaitan ke seeng nikalne ki paish goi farmai gai. Lakin zahir hai Mudar Ki sari olad se to fitnay nahe niklain gay, phir farma diya ke Mein behtareen qaum Mein paida howa.
Phir qabeela Mudar se kaun se qabeelay shaitan ka seeng nikle ga usko basharat thokrane wali hadees wazeha kerti hai lakin aam insan ke dil mein shak rehta hai shyd nahe unhoon ne sirf basharat thokrai hai. Lakin teesri hadees jis mein qabeela aslam jaheena etc ko behtar qarar diya gia aur bani tamim bani ghutfan etc ko mehroom ker diya gia se baat wazeha ho jati hai. Banu tamim ko mehroom ker diya gia. Mehroom kerne wali ahadees sahih bukhari aur sahih muslim mein bahut si hain aur basharat thokrane wali hadees bhi her hadees ki kitab mein hain. Lakin hmara maqsad samjhana hai is liye sirf aik aik hadees paish ki.
نجد کے فتنے اور بنو تمیم
Najd Ke Fitnay Aur Banu Tamim
1: Sajah jhooti Nabiya aur Banu Tamim
Sajah jhooti nabiyya ko qabool kerne wale bani tamim ke sardar malik bin nowera, atard bin habs aur bani tamim ke sadaat amra ki aik jamaat bhi shamil thi
Al'bidaya wan'nahaya vol 6, page 425
Banu Tamim, Sajah Kahna ke sath Murtad ho gaey thy.
Albidaya wannahaya vol 6 page 416
Sajah (jhooti nabuwat ki dawedar aurat) jab bilad e bani tamim se guzri to is ne unhain apne amar ki taraf dawat di aur un (bani tamim) ke awam ne is ki baat ko qabool ker liya.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 6, Page 425
The other ringleader of Najdi rebellion against the khilafa was a woman known as Sajah, whose full name was Umm Sadir bint Aws, and who belonged to the tribe of Tamim. She made claims to prophethood in the name of a rabb who was ‘in the clouds’, and who gave her revelations by which she succeeded in uniting sections of the Tamim who had argued among themselves over the extent to which they should reject the authority of Madina. Leading several campaigns against tribes who remained loyal to Islam, the Najdi prophetess is said to have thrown in her lot with Musaylima. Other than this, little is known of her fate.
(Ibn Qutayba, Ma‘arif, p.405; Baladhuri, Futuh, pp.99-100.)
No comments:
Post a Comment