async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 32 wahabi najdi ki haqiqat

Comment: Aaj ager ahle hadees aur salafiyoun aur wahhabiyoun ko dekhain to woe bhi Qur'an bayan kerte hain aur us se ghalat taweelat lete hain aur musalmanoon ko mushrik qarar dete hain.

4: AHLE NAJD ke sardaroon Ko Maal Dete Hain

Answer: Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke:

Mein kisi shakhs ko is khauf se de deta hoon ke kahi wo mu ke bal jahannam mein na gira diya jaey halanke is ke alawa doosra shakhs Mujhe Ziyada mehboob hota hai.,

Full hadees ke liye reference:

Sahih Muslim vol 1 page 736, Hadees 2430

Comment: is se pata chala ke Najd Ke logoon ka imaan kamzor tha is liye un ko maal e ghanimat mein se ziyada hissa diya gia. Aur jin ko maal e ghanimat di gai thi un mein se aik ya 2 as'haab bad mein murtid ho gaey thy. So Allah ke Rasool sallallahu Alaihe Wasallam ka farman sach sabit howa.aue ye bhi sabit howa ke jis ne gustakhi ki thi woe bhi najd bani tamim ka tha aur jin ke imaan kamzor thy woe bhi najd ke thy.

5: wo but parastoon ko chhorr ker musalmanoon ko qatal krain gay

Answer:

Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ke sahabi Hazrat Abdullah bin khabab radi Allah anho ko kharjiyoun ne qaid ker liya aur aap ki haamla biwi bhi aap ke sath thien. Unhoon (kharjiyoun) ne pocha aap kaun hain?

Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ka sahabi Abdullah Bin Khabbab tum ne mujhe khauf zada kiya(kharjion se kaha)

Unhoon ne kaha aap per koi khauf nhe, aap ham se wo baat bayan krain jo aap ko aap ke baap ne bayan ki.

Aap ne farmaya ke mein ne apne baap ko bayan kerte hoey suna ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko bayan kerte suna ke :

"anqareeb aik fitnah hoga jis mein baithne wala kharray hone wale se, aur kharra hone wala chalne wale se, aur chalne wala dorrne wale se behter hoga. To unhoon ne aap ko hath se pakarr ker khhaincha, is doran aap un ke sath chal rahe thy achanak un ke aik admi ko aik zimmi ka khanzeer mila to us ne ussay talwar maar ker us ka chamrra cheer diya,

To doosry ne ussay kaha tu ne zimmi ke khanzeer se aisa kiyoun kiya?

To wo zimmi ke pass chala gia aur us ne is ke liye ussay

(khajoor ko) jaiz qarar diya. Aur is ne ussay razi ker diya.

Aur isi doran mein ke aap un ke sath thy achanak khajoor ke darakht se aik khajoor nichay giri to in mein se aik shakhs ne ussay apne mu mein daal liya to doosry ne issay kaha baghair ijazat aur baghair qeemat ke?

Tu us ne khajoor ko apne mu se phhaink diya. Aur is ke sath he unhoon ne aa ker Hazrat Abdullah bin khabab radi Allah Anho ko zabah (garden kaat di) ker diya aur aap ki biwi ke pass bhi aaey tu us ne kaha mein aik haamla aurat hoon, kiya tum Allah se nhe darte? Unhoon ne issay bhi zabah ker diya aur is ka pait phharr ker is ka bacha nikal diya.

Al.bidaya Wan'nahaya Vol 7 Page 376/377

No comments:

Post a Comment