async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 3 wahabi najdi ki haqiqat

Ibn Hajr said: "al-Khattaabee said: 'the najd in the direction of the east, and for the one who is in Madeenah then his Najd would be the desert of Iraaq and it's regions [baadiya al-Iraaq wa Nawaaheehaa] for this is to the east of the People of Madeenah. The basic meaning of Najd is that which is raised/elevated from the earth in contravention to al-Gawr for that is what is lower than it. Tihaamah is entirely al-Gawr and Mecca is in Tihaamah.'"

Ibn Hajr continues, "by this [saying of al-Khattaabee] the weakness of the saying of ad-Daawodee is understood that 'Najd is in the direction of Iraaq' [min Naahiya al-Iraaq] for he suggests that Najd is a specific place. This is not the case, rather everything that is elevated with respect to what adjoins it is called Najd and the lower area called Gawr."
[Fath al-Baaree 13/58-59]

RESPONSE
Pehle ham Iraq ki definition dekhte hain ke iraq ka matlab kiya hai. Ta ke pata chale ke khatabi ka qol sahih hai ya ghalat

Defination Of Iraq:

Mashoor iraq kahi shehroon per mushtamil hai. Iraqan bol ker koofa aur basra murad lete hain. Iraq ko iraq is liye kehte hain ke ye iraq al'qurbata se makhooz hai, Mashkeezy ke nichay wala sorakh kharz jissay dohra kiya jata hai. (ke arab ki sar'zameen ki nisbat gehrai mein waqiya hai aur satah samunder ke qareeb hai.

Abul Qasmi Zajaji farmate hain ke ibn ehrabi ne kaha hai ke iraq ko iraq kehne ki asal wajah ye hai ke najd ki nisbat past o nasheet ilaqa hai aur samunder ke qareeb hai. Ye iraq al'qurbata se makhooz hai yanni mashkeezay ka nichay wala soraakh.

Alama Yaqoot Hamwi, Ma'jum Al'baldan, Page 93

اس سے واضح ہواکہ عراق پست اور نیچی زمین کو کہتے ہیں جو سطح سمندر کے قریب تر ہو اور نجد ابھری ہوئی زمین کو کہتے ہیں جو ایک دوسرے کے متضاد ہیں، مخالف مطلب ہیں۔ یعنی ایک مشرق ہے اور دوسرا مغرب ہے اور مشرق اور مغرب کو کوئی ملانہیں سکتا ایسا ہی عراق اور نجد کا ہے۔

Is se wazeha howa ke iraq past aur nichi zameen ko kehte hain jo satah samunder ke qareeb ter ho aur Najd ubhri hoi zameen ko kehte hain jo aik doosry ke opposite hain. Jaise mashraq aur maghrib aik nahe ho sakte aise he najd aur iraq aik nahe ho sakte. Ab Ham alama badrud din aini ka qol parhte hain dobara tak e iraq ki tareef aur najd ke ilaqay ka tayyun ho sake

علامہ بدرالدّین عینی عمدۃ القاری شرح صحیح بخاری میں لکھتنے ہیں

ALAMA BADRUD DIN AINI UMDATUL QARI SHARAH SAHIH BUKHARI MEIN FARMATE HAIN
Najd arab ka aik ilaqa hai aur Tehama se le ker ker arz e iraq tak ka ilaqa najd hai.
Baz kehte hain ke iraq aur wajra aur ghumratul taif ke darmiyan wala ilaqa najd hai.
Ebab mein likha hai ke ghaur yanni Tehama ke barkhalaf arab ka wo sara buland ilaqa jo Tehama se le ker arz e iraq tak hai Najd hai.

Imam Badrud din Aini , Umdatul Qari Sharah Sahih Bukhari, Vol 1, Page 266

NAJD KO MASHRAQI KE NAAM SE BHI PUKARA JATA HAI.
Ar'riyaz, darriya, ayainya aur iske aas pass ke bashindoon ko tayyeba mein mashraqi ke naam se yaad kiya jata tha jaisa ke sheikh Muhammad bin abdul wahhab najdi ke ustaad sheikh Abdullah bin Ibrahim ke halaat se mazkoor hai ke wo najd ke aik sheher majma, jo ke ayainya aur darriya ke qareeb he hai, ke bashinday thy, ye Madina tayyeba mein muqeem thy aur unhain wahan sheikh mashraqi ke naam se yaad kiya jata tha,

Shykh usman bin basher, unwan al'majd fi Tareekh al'najd page 17

No comments:

Post a Comment