Part 2
Wahabi najdi ki haqiqat
(asmahi) kehte hain ke Tehama se bulandi per waqia sar'zameen ka naam najd hai, muhawra hai ke oontni najd mein charti hai aur Tehama mein sairab hoti hai.
Asmahi kehte hain ke mein ne ehrabiyoun se suna ke jab tum bulandi ki taraf jate hoey ajalz ko pichhay chhorr jao to tum najd mein dakhil ho chukay ho. Ajalz qura'teen se ooper hai. Mazeed kaha ke batan wadi rimma se bulandi per waqiya ilaqa ka naam najd hai aur ye zaat irq ki ghatiyoun tak jata hai.
Wo kehte hain ke mein ne bahli se suna hai ke kisra ki khhodi hoi khandaq wala ilaqa najd hai yahan tak ke wo harra tak pohanchta hai. Jab tum harrah mein pohanch jao to hijaz mein dakhil ho chukay ho.
Aik qol ye hai ke najd us areez (tirchhi) jagah ka naam hai jis ki bulandi ki taraf tahama aur yemen hai aur pasti ki taraf iraq o shaam hain.
Sakri kehte hain ke hijaaz ki taraf zaat e irq se paharoon ka shuru hone wala silsala najd ki hadh hai. Yahan tak ke ye silsala phirta howa kohay Madina tayyeba tak pohanch jata hai. Zaat e irq ke paharoon se is taraf tahama tak ka ilaqa hijaz hai.
Jab Tehama ki jehat mein waqiya paharron ko te ker lo to us se aagay samunder tak ka ilaqa ghaur hai aur ghaur aur Tehama aik he cheez hai. Ye bhi kaha jata hai ke saray ka sara najd yamamah ka matehat hai. Ammara bin aqeel kehte hain ke zaat e irq se agay barho to wo najd hai yahan tak ke issay iraq munqattah kerta hai (iraq tak ja ker khatam hota hai)
(Alama Yaqoot Hamwi, Ma'jum Al'baldaan, Vol 5, 263)
Result of Above:
1: Madina tayyeba se mashraq ki janib ajalz ko aboor kerne se balaee ilaqa shuru ho jata hai jo najd ki maghrabi sarhad hai.
2: doosray arab ilaqoon ki nisbat is ki bulandi ziada hai.
3: is ke shamaal mein iraq hai jo is ke nashaibi ilaqa ki taraf waqiya hai
4: najd ki shamali had iraq per ja ker khatam ho jati hai.
5: najd ke balaee ilaqa ki taraf (yemen janoob ki taraf hai) YemeN hai
6: Najd ke mukhtalif aqwaal ka markazi nuqta yehi hai ke Hijaaz,Iraq, Shaam, Yemen Aur Tehama ke wast mein waqiya ilaqa ka naam Najd hai.
علامہ یاقوت حموی ایک اور جگہ نجد کے علاقے کی تعریف ان الفاظ میں کرتے ہیں
Yaqoot hamwi likhte hain> yanni najd us chorri zameen ka naam hai jis ke ooper tahama aur yemen hai. Aur nichay iraq aur shaam,, Hijaz ki taraf se najd ki hadh zaat irq hai jaise jaise paharr Madinah ki taraf ghomta jata hai.. .. iraq ka naam iraq is liye parra ke wo najd se nichay samunder se qareeb hai.
Abu Abdullah yaqoot bin Abdullah al'hamwi, alama ma'jun al'baldan, vol 5, page 262
Abu Abdullah yaqoot bin Abdullah al'hamwi, alama ma'jun al'baldan, vol 4, page 95
Comment:
Is se pata chalta hai ke najd us sarzameen ka naam hai jo tahama aur iraq ke darmiyan hai. Neez ye bhi tasreeh hai ke najd ka ilaqa hijaz se shuru hota hai neez iraq najd ke alawa doosra mulk hai.jo najd ke nichay hai. Is liye is se koi gunjaish nhe ke najd se iraq murad liya gia hai.
Imam Ibn Hajr asqalani ne khatabi ka qol naql kiya hai aur ye ik imam ka qol hai jis ko ham farman e Mustafa Sallallahu Alaihe Wasallam per tarjeeh nahe de sakte. Aeye zara khatabi ka woe qol parhte hain jis ko log ahadees ke muqable mein tarjeeh dete hain
ابن حجر عسقلانی نے خطابی کا قول نقل کیا ہے جس کو ہم فرمان مصطفی صلّی اللہ علیہ وسلّم پر ترجیح نہیں دے سکتے۔ آئیے ذرا خطابی کا وہ قول پڑھتے ہیں جس کو لوگ احادیث کے مقابلے میں ترجیح دیتے ہیں
Continue
No comments:
Post a Comment