async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 16 wahabi najdi ki haqiqat

Comment: yahan per kuch logoon ko Hazoor sallallahu alaihe wasallam ki ata'at mein shirk nazar aya. Aur un ko Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ke farman mein kammi nazar eye. Bilkul isi tarah najd ke banu tamim qabeela ke dhil khawaysra tamimi ko bhi Hazoor sallallahu alaihe wasallam ki taqseem mein kammi nazar eye to us ne be'adli ka bohtan laga diya Hazoor sallallahu alaihe wasallam per.

Bani Tamim Ki Refutation
Kuch log aik he Hadees jo mukhtalif sihah e sitta ki kitaboon mein bayan hoi hai, us ke bahut se hawale de dete hain ye dekho bani tamim ki fazilat. Lakin wo ahadees nahe share krte jis mein Banu Tamim Ne Basharat ko thokra diya aur na wo hadees dekhate hain jis mein banu tamim ko mehroom ker diya gia. Ab ham sirf chand ahadees is hawale se bayan krain gy kion ke hamara maqsad aik baat ko chand misaloon se samjhana hai. Samajhne wale ke liye aik he baat kafi hoti hai aur na samajhne wale ke liye lakh batain bhi samajh nahe ati hain

Bani Tameem constitute the majority of the inhabitants of the Najd that is in Saudi Arabia.

The hadeeth of Saheeh Bukhaaree reported by Abu Hurayra (RA): "I have loved the people of the tribe of Bani Tameem, ever since I heard three things the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said about them. I heard him saying, 'these people (of the tribe of Bani Tameem) would stand firm against the Dajjaal.' When the Saddaqat from that tribe came, the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said, "these are the Saddaqat (charitable gifts) of our folk." Aa'ishah had a slave girl from that tribe, and the Prophet , sallallaahu alayhi wa sallam, said to Aa'ishah, 'manumit her as she is a descendant of Ismaa'eel, alayhis salaam.'" [Hadeeth no. 2543, 4366 of al-Fath].

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke jab se mein ne Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam se bani tamim ke baray mein teen 3 batain suni hain mein un se hamesha mohabbat rakhhta hon, Aap ne farmaya un mein ye 3 batain pai jati hain.

1: meri ummat mein se wo dajjal per sab se ziyada sakht hoon gay.
2: aur hazrat Ayesha radi Allah anha ke pass un ki aik qaidi aurat thi, Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: " issay azad ker do ye Hazrat Isma'il alaihessalam ki aulad mein se hai.
3: aur un ke sadqaat aaeye to Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya " ye meri qom ke sadqaat hain"

Comment: ooper bayan ki gai hadees mein 3 batain ba yan hoi hain.
1: wo dajjal per sab se ziyada sakht hongy. Is se pata chala ke banu tamim he woe maghroor aur sakht dil log hain jin ka zikr ahadees mein aya hai ke Diloon ki sakhti Aur Gharoor Mashraq mein hai.

2: doosra point hai Ye Hazrat Ismail Alaihessalam ki olad mein se hain. Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne Qabeela Aslam ko bhi Hazrat Ismail Alaihessalam ki olad qarar diya hai.

Qabeela Aslam Olad Ismail Se Hai:

Hazrat Salma Radi Allah Anha se marvi hai: Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam Qabeela Aslam Ke Kuch Logoon ki taraf tashreef le gaey aur wo bazaar mein teer andazi ker rahe thy to Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:

Aey olad e Ismail! Teer andazi kro is liye ke tumaray baap (ismail) teer andaz thy aur mein falaan shakhs ke sath hoon kisi aik fareeq ke baray mein (Aap ne aisa farmaya) pas doosray fareeq ke logoon ne apne hath rok liye, Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke in ko kiya ho gia! Logoon ne arz kiya ham kaise teer andazi krain Aap to falaan ke sath hain farmaya: teer andazi kro mein sab ke sath hoon. Sahih Bukhari Vol 2 Hadees 723

No comments:

Post a Comment