async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 15 Wahabi najdi ki haqiqat

Comment:
Shor machane wale dehation ko mashraq mein kaha gia hai. In shor machane wale dehatiyoun se kiya muraad hai?
Aaeye surat Al'Hujrat ayat Number 4,5:

Tarjuma
Beshak wo tumain hujroon ke bahir se Pukarte hain un mein aksar be'aqal hain aur ager wo sabr krte yahan tak aap un ke pass tashreef late to ye un ke liye achha tha.

Ye ayat bani tamim ke dehati logoon ke haq mein nazil hoi, qabeela bani tamim ke chand log dopehar ke waqt Masjid Nabvi mein aaey. Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam us waqt aram farma rahe thy to ye log bahir se awazain dene lage thy ke aey Muhammad bahir aeye.

Ibn kathir ayat number 4 aur 5 ki tafseer mein likhte hain:
un logoon ki muzammat bayan farmai ja rahi hai jo hujroon ke bahir se pukarte hain, Ye ummahat ul mo'maneen ke ghar thy. Ajad badwoon ( uneducated, jahil dehati logoon) ka yehi tarika tha. Ye iqrah bin habis tamimi ke baray mein nazil hoi.

Tafseer Ibn Kathir, Vol 4, page 363, Surat al'hujraat

Comment:
Ye ayat Najd ke logoon jo bani tamim ke thy un ke hawalay se nazil hoi. Aur ibn kathir tafseer mein likhte hain ke ajad badwoon ka yehi tarika hai.
(yanni zor se bolna, shor kerna). Badu dehati ko kehte hain.

ب ہم ایک اور آیت پیش کرتے ہیں جو نجد کے حوالے سے نازل ہوئی۔

Surat Al'fateh ki ayat aur uski tafseer bahawala najdi fitnah

"Anqareeb tum sakht larrai wali qaum ki taraf bulaey jao gay.
Surat Al'fateh :16
is ayat ki tafseer mein qadi thana ullah pati farmate hain
zahri muqatal aur aik jama'at ka ye qol hai ke is se banu hanifa yamamah ke bashinday aur musaylma kazzab ke sathi murad thy.

Hazrat Rafeh bin khadaij sahabi radi Allah anho farmate hain ke ham ye ayat parhte to thy mager ye maloom na tha ke ye kaun log hain? Jab hazrat Abu bakr sadiq radi Allah anho bani hanifa najdion ke khilaaf jehad ki dawat di to hamain pata chala ke is ayat se ye log muraad hain. Ye aksar mufasreen ka qol hai.
Tafseer Mazhari, vol 9, page 22

Comment:
is se andaza hota hai ke Najd ke fitnoon ke hawalay se ayaat mein pehle he bayan ker diya gia tha. Aur is se pata chalta hai ke yehi Najd Murad Hai jis ke hawale se ahadees bayan hoi hain.

Ab ham aik aur ayat paish kerte hain phir is ke nichay aik hadees bayan krain gay

Munafiq jo shirk ka fatwa lagate hain
Ayat ka tarjuma
Jis ne Rasool ki ata'at ki us ne meri ata'at ki

SHAAN E NAZOOL
Mufasir shaheer alama fakhrud din razi (wisal 606) apni shohra afaq tafseer kabeer mein likhte hain ke Nabi Sallallahu Alaihe wasallam ne farmaya jis ne meri ata'at ki us ne dar'haqeeqat Allah ki ata'at ki, Munafiqoon ne kaha ye hamain Ghair Allah ki ebadat se rokte hain halanke ye khud shirk ke qareeb hain. Ye chahte hain ke ham unhain Rab maan lain jaisa ke isaiyoun ne Isa bin maryam alaihessalam ko apna Rab Mana, is per Allah ta'ala ne ye ayat nazil ki :
Jis ne Rasool ki ata'at ki beshak us ne meri ata'at ki. Surat an'nisa Ayat 80.

(Tafseer Kabeer wa Tafseer Khazen)

No comments:

Post a Comment