Part 14 Wahabi najdi ki haqiqat
Comment: is hadees se pata chala ke takabur aur gharoor aur kuffer mashraq waloon mein hai jo gorroon aur oontoon wale hain. Aur Najd ki taraf se he Dajjal Ohad paharr ke peechay aey ga aur ohad pahar madina ki mashraqi Riyaz Wali side mein hai. Aur zahir hai jab ohad tak aey ga to Najd se he guzar ker aey ga aur us dajjal ke sathi bhi najd se bhi hoongy.
Hadees:
Hazrat abu masaud radi Allah anho se rawayat hai ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam se suna hai ke ussi taraf yanni mashraq ki taraf se fitnay uthhain gay, zulm aur sangdilli shutter'banoon mein hai yanni ooni khaimoon waloon ke haan, oont aur gaey (cow) ki dummoon ke pass yanni rabiyya aur mudar ke qabeela mein hai.
Sahih Bukhari vol 2, Page 717 hadees 715
Hadees
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke diloon ki sakhti aur sakht mazaji mashraq waloon mein hai, imaan hijaaz waloon mein hai Sahih Muslim vol 1 page 192, Hadees 195
Comment:
In ahadees mein bahut si cheezain common hain aik hain.
1: fitnah aur sangdili oontoon ki dummoon
2: sakhti aur sangdili Rabiyya aur Mudar oontoon waloon
3: kuffer mashraqi hai
4: oont (camel) aur gorray (horse) waloon mein takabbur, gharoor aur darushtagi
5: kuffer ka markaz mashraq ki taraf hai
6: fakhr o takabbar gorray waloon mein aur oont waloon mein
7: gharoor aur riya kari, sakht mazaji aur badkhalqi gorroon waloon aur oontoon waloon mein hai.
8: ussi taraf yanni mashraq ki taraf se fitnay uthhain gay
9: diloon ki sakhti aur sakht mazaji mashraq waloon
Fitna sangdili oont waloon mein hai aur oont banu Mudar ke thy aur gorray Rabiyya ke thy. Takabbur aur gharoor bhi inhi mein hai. Aur inhi oont aur gorray waloon matlab bani Mudar aur Bani Rabiyya se he shaitan ke 2 seeng niklain gayl. In sab ahadees mein mashraq se jo cheez murad li gai hai wo Banu Mudar Aur Banu Rabiyya Hai.aur bani rabbiya hadees ke mutabiq Bahrain mein thi aur Bani Mudar Bahrain Aur Madina ke rastay mein hai. Aur rastay mein woe poora ilaqa Najd ata hai jis se shaitan ke seeng niklne ki paish goi farmai gai thi. Ye sari ahadees sahih bukhari aur muslim se li gai hain aur Allah ke karam se koi dhaeef hadees nahe hai. Aur baat sari clear ho gai hai Ahadees, Tareekh aur scholars ki opinion ki roshni mein najd yehi najd hai jo mojooda hai yehi shaitan wala najd hai. Beshak 12 najd hoongy lakin jo najd hadees mein muraad liya gia woe najd yehi hai.
AB HAM AYAAT E QUR'ANI AUR AHADEES SE DOBARA DEKHTE HAIN
اب ہم آیات قرآنی کی روشنی میں دیکھتے ہیں ان لوگوں کی خصوصیات جن کی نشاندہی احادیث میں بھی کی گئی اور جن کی مذمت قرآن میں بھی بہت ہوئی
اب ہم صحیح بخاری کی ایک اہم حدیث بیان کرنے لگے ہیں، بیشک اس سے پہلے مشرق اور فتنے سے متعلق احادیث پیش کی ہیں لیکن اس حدیث پر غور کرنے سے بہت کچھ سمجھ آجاتا ہے اور اس سے متعلق کچھ آیات بھی ملتی ہیں۔
Hadees
Hazrat Abu Hurayra Radi Allah Anho farmate hain ke mein ne Rasoolallalh Sallallahu Alaihe Wasallam se suna ke Aap Sallallahu Alaihe Wasallam farmatay hain ke Yemen Wale Aa Gaey hain ye log nehayat narm dil aur kamzor dil hain imaan bhi yemni aur hikmat bhi yemani aur maskeeni bakri waloon mein aur fakhr o gharoor shor machane wale dehatiyoun mein jo mashraq ki Taraf rehte hain. Sahih Muslim, vol 1 Page 189, Hadees 191
No comments:
Post a Comment