Post #53
Ilm e Ghaib per Akli aitrazaat ke Bayaan me
1) Ilm e Ghaib khuda ki sifat hai isme kisi ko sharik karna shirk fisifat hai lihaza Huzur Sallallahualaihiwasallam ko ghaib manna shirk hai.
Jawaab : Ghaib janna bhi Khuda ki sifat hai , aur haazir chizo’n ka janna bhi khuda ki sifat hai , ALIMUL GHAIB WASHHADATE isi tarah sunna , dekhna , zinda hona sab khuda ki sifat hai toh agar kisi ko haazir chiz ka ilm maana ya kisi ko SAMI ya BASIR ya HAY mana har tarah shirk hua , fark yehi kiya jaata hai ki humara dekhna zinda rehna khuda ke dene se hai aur haadis hai , khuda ki yeh sifat jaati aur kadeem fir shirk kaisa?? Isi tarah ilm e ghaib nabi ataai aur haadis aur mutnahi hai , rab ka ilm zaati kadeem aur qul maalum gair mutnaahiya ka hai , neez yeh shirk ko tum per bhi laazim hai kyo’nki tum Huzur Alaihissalam ke liye baajan har tarah sharik karna shirk hai ,aur maulvi Hussain ali sahab da bhachar wale jo Maulvi rashid ahmed sahab ke khas shagird hai apni kitaab “Balagatul-hairaan” me likhte hai ki “Khuda ko har waqt makhlukaat ke amaal ka ilm nahi hota balki bande jab aamal kar lete hai tab ilm hota hai” ab toh ilm e ghaib khuda ki sifat rahi hi nahi fir kisi ko ilmm ghaib manna shirk kyo’n hoga .
2) Huzur Alaihissalam ko ilm e ghaib kab haasil hua , tum kabhi toh kehte ho ki Me’raj me katra tapkaya gaya isse ilm eghaib mila aur kabhi kehte ho ki khwaab me rab ko dekha usne apne daste kudrat Huzur Alaihissalam ke shaana par rakha jisse tamam uloom haasil hue , kabhi kehte ho ki Quran tamam chizo’n ka bayan hai isliye Nuzule Quran se pehle ilm mil chuka tha toh Quran se kya mila , Tehsile haasil Namumkin hai .
Jawaab : Huzur Alaihissalam ki nafse ilm e ghaib toh wiladat se pehle hi ataa ho chuka tha kyo’nki aap wiladat se qabal aalam e arwah me Nabi the , aur Nabi kehte hi usko hai jo Ghaib khabre de magar “Ma kaana wama yakoon” ki takmil shabe me’raj me hui , lekin yeh tamam uloom e shahudi the ki tamam chizo’n ko nazar se mushaahida farmaya , fir Quran ne unhi dekhi hui chizo’n ka bayaan farmaya , isliye Quran me hai “Fatjalla li qulli shai’in wa araftu” dekhna aur hai bayan kuch aur , jaise Hazrat Aadam alaihissalam ko paida farma kar unko tamam chizein dikha di , baad me unke naam bataye , wah mushaahida tha aur yeh bayan , agar chizein dikhai na gai thi toh “summa arajhoom alal-malaikate” ke kya maana hoga yaani un chizo’n ko malaika per pesh farmaya , lihaza dono qaul sahi hai , ki me’raj me bhi ilm mila aur quran se bhi , agar kaha jaaye ki fir nuzul e quran se fayda kya ? sab baatein toh pehle hi se Huzur ko Maalum thi , batai jaati hai na Maalum chiz , tohiska jawaab yeh hai ki Nuzul e Quran sirf Huzur Alaihissalam
Ke ilm ke liye nahi hota balki isse hazarha digar fayde hote hote hai , maslan yeh ki kisi aayat ke Nuzul se pehle uske ahkaam jaari na honge uski tilawat wagairah na hongi agar Nuzul e Quran Huzur Alaihissalam ke ilm ke liye hai toh baaz soorat dobar kyo’n naazil hui , tafseer madarik me hai .
Soorah : Fatiha Makki hai aur kaha gaya hai ki madni hai aur sahih tar yeh hai ki yeh Makki bhi hai aur Madni bhi , awwalan Makkah me Naazil hui fir Madina me .
Mishkat me Hadees me’raj me hai ki Huzur Alaihissalam ko shab e me’raj me 5 namazein aur Surah : Bakra ki aakhri aayat hui , Is hadees ki sharah me Mulla Ali Qari ne sawaal kiya ki me’raj toh Makka muajjama me hui aur Surah:Bakr Madina hai fir iski aayat me’raj me kaise ataa hui ?? toh jawaab dete hai .
Khulasa yeh hai ki isme mukarrar hui Huzur Alaihissalam ki taazim aur aapki ehtamaame shaan ke liye lihaza ALLAH ne us raat bagair waasta Jibrael wahi farma di .
Is Hadees ke matahet lamhat me hai ,
Shab e me’raj me yeh aayat bagair waaste ke utri fir unko Jibrael ne utara toh Quran me rakhi gai .
Continue.
No comments:
Post a Comment