async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 14

Monday, November 2, 2015

Post 14

Post #14

HADEES # 16:

Muslim Jild#2, Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar main Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Falaan Shakhs k Girne ki jagah haiaur apne Dast-E-Mubaarak ko idhar Udhar Zameen par Rakhte the, Raawi ne farmaya k Koi bhi Maqtooleen main se HUZOOR (ALEH SALAAM) k Haath ki Jagah se Zara bhi na Hata"..

(Sahi Muslim Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2,Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

NOTE: Khayaal Rahe k kon kis Jagah Mare ga, Yeh Uloom E Khamsa main se hai, jis ki Khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) Jang-E-Badar main ek Roz pehle de rahe hain..

Imaam Abu Daaod 275 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k (Jang-E-Badar k din) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya Kal Yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur AAP ne Zameen par Haath rakha aur Kal yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur Zameen par haath rakha aur Kal yeh Falaaan k Girne ki Jagah hai aur Zameen par Haath rakha tha, koi Shakhs is k Bilkul Mutuwaajis nahin huwa. (Isi jagah gir kar mara), Phir RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalaam) k Hukum se unko Ghaseet kar Badar k Kooen main Daal diya gaya"..

(Sunan Abi Daaod, Baab Fil Aseer, Jild#3, Page#58, Raqam Ul Hadees 2681, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)

ALLAMA YAHYA Bin Sharaf Noo'wi Shaafai 676 Hijri main is Hadees Mubaraka ki sharah main likhte hain:

Tarjuma: " Is Hadees Mubaraka main HUZOOR (ALEH SALAAM) k 2 Mojazon ka Zikar hai, jo kAAP ki nabuwat ki nishaaniyaan hain, Ek AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka in Un k Jaabir Sardaaron k Qatal Gaahon ki Khabar dena k kisi ne apni Qatal Gaah se Tajaawuz na kiya, Dusra Mojaza AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh batana k jis Larkay ko woh Maar rahe the, jab use Chortay to woh such bolta, aur jab use Maarte to woh jhoot bolta aur yahi Haqeeqat thi"..

(Such kiya tha aur Jhoot kiya?? Is ko Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu) na samajh sake aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Waazeh farma diya, Yahi GAIB batana HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Dusra Mojiza tha)..

(Sahi Muslim Ma Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2, Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

HADEES # 17:

Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat hai:

Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah kabhi na dekha k Bheriya Baaten kar raha hai, to Bheriya bola, k is se Ajeeb baat yeh hai k Ek Sahab (HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Medaanon k Darmiyaani Nakhlistaan (Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Gusishta aur Aaendah ki Khabren de rahe hain".

(seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees, 433, Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb)

Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat nahin hai, Dar Asal Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai k Sangistaanon k darmiyaan Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe Waaqiyaat bhi Batlaate hain, aur Aane Waale bhi"..

( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash, JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)

ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is se kahin Ziyaadah Ajeeb Baat to yeh hai k In do (2) Sangistaanon k Darmiyaan Khajooron k Baagaat Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hai, jo tumhen Maazi ki Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil main hone waala hai un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai"..

(At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2, Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi Peshawar)

Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh hai k Ek Aadmi Do (2) Medaanon k Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) main Beth kar Batla raha hai k Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"...

(Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)

Haqeeqat Aap k Saamne hai..

Continue

No comments:

Post a Comment