Post #15
Hadees # 18:
Tafseer-E-Khaazan main (Parah 4, Surah 3, Aayat 179) k Tehet hai:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k Hum Par Humari Ummat Pesh farmai gai, apni apni Sooraton main, Matti main, jis tarah k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) par pesh huwin thin, HUM ko bata diya gaya, k kon HUM par Eemaan Laawega, aur Kon Kufar karega, yeh Khabar Munaafiqeen tak Puhnchi to woh Hans kar kehne lage, k HUZOOR (ALEH SALAAM) farmate hain, k un ko logon ki Pedaish se Pehle hi Kaafir O Momineen ki khabar hogai, hum to un k saath hain, aur hum ko nahin Pehchaante, yeh khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) tak Puhnchi to Mimbar par khare huwe, aur KHUDA ki Hamd O Sana ki Phir farmaya k Qomoun ka kiya haal hai k Hamaray ILM main Taana karte hain, Ab se Qayaamat tak kisi Cheez k Baaray main jo bhi tum hum se Pucho ge, hum tum ko Khabar Denge"..
Is Hadees se 2 Baaten Maaloom Huwin...
1) Ek yeh k HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main Taana karna, Munaafiqon ka Tareeqah hai..
2) Dusray yeh k Qayaamat tak k Waaqiyaat saaray HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main hain..
(Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khaazan, JILD#1, Page#324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)
HADEES # 19:
Mishkaaat Kitaab Ul Fitan, Baab Ul Malaahim, Fasal Awwal main Muslim se Ba Riwaayat Ibn-E-Mas'ood (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " Hum in (Dajjal se Jihaad ki Tayyari katne waalon) k Naam, In k Baap Daadon k Naam, In k Ghoron k Rang Pehchaante hain, Woh Ro-E-Zameen par Behtareen Sawaar hain"..
(Muslim Raqam Ul Hadees 2224, Kitaab Ul Fitan, Baab Fasal Fi Ashraat Us Saa'a, JILD#2, PAGE#392, Matboo'a Qadeemi Qutub Khaana, Karachi)
HADEES # 20:
Mishkaat Shareef, Baab Minaaqib Abi Bakar O Umar main hai k HAZRAT AAYESHA (Razi ALLAH Anhu) ne Baargah Risaalat main Arz kiya k Kya koi Aesa bhi hai, jis ki Nekiyaan Taaron k barabar bhi hon, Farmaya woh Umar hai...
(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Abi Bakar O Umar Ul Fasal Us Saalis, PAGE#560 Matboo'a Qademi, Kutub Khaana, Karachi)
Is se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko QAYAAMAT tak k Saaray logon k Zaahiri aur Posheedah Aamal ki Puri khabar hai, aur Aasmaanon k tamaam Zaahiri aur Posheedah Taaron ka bhi Tafseeli ILM hai, Haalankay, Ba'az Taaray ab tak Sciencey Aalaat se bhi Maaloom na ho sake, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne in dono cheezon ko Mulaahiza farma liya, k UMAR ki Nekiyan Taaron k Barabar hain, Do Cheezon ki Barabari ya Kami Beshi wohi Bata sakta hai, jise Donon Cheezon ka ILM bhi ho aur Miqdaar bhi Maaloom ho....
Continue
No comments:
Post a Comment