Post #17
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaaayat karte hain k:
Tarjuma: " Imaam Behki (Rehmatullah Aleh) farmate hain k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh farmana k " Main nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai", Wallaho ILM AAP ne Hadiyon ko us ki taraf bhejne se pehle khabar kardene ka iradah farmaya, aur us k Foat hone se pehle AAP ne in kalimaat ko Saadir farmaya, is k Baad jab woh Foat huwa to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usi din us k Foat hone ki khabar de di, aur us par Namaz parhi thi"..
(Khasaais Ul Kubra, Jild#2, Page#168, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiyah Beroot)
Haafiz Amaa Duddeen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Umme Kulsoom (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne Kaha k RASOOL ALLEH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya jab Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se Nikah farmaya to AAP ne farmaya, main ne Nijaashi ki tarag se chand Mashq k Oqiyey aur Joray bhejey hain, main use nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai, aur main in Hadiyon ko nahin dekhta magar yeh k ise Meri ise meri taraf Waapis kar diya gaya hai, to yeh Gaibi khabar aese hi Waaqey huwi jese k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k Nijaashi Foat hogaya, aur Hadiyah Waapis Aagae"..
(Al Seerah Un Nabbuwah Na'i RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Nijaashi Fi Yom-E-Zi Maat Fee Baariz Habsha, jild#3,Page#493, Matbo'a Daar ul Kitaab Ul Aa'raabi, beroot)
ILM-E-GAIB-E-MUSTAFA (Sallalaho alehe Wassallam):
Is HADEES-E-MUBARAKAH se HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM-E-GAIB saaf Wazeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne HABSHA k Baadsha NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa..
Aagay AAP khud Faisla kar sakte hain, k kisi k Batae Bager, kisi Hawaas k Bager kisi k Inteqaal ki Khabar de dena, yeh ILM-e-GAIB nahin to aur Kiya hai...
HADEES # 22:
HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Pehle hi bata diya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main puchne aae ho:
Imaam Ismail Bin ul Fazal 535 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Unhon ne kaha, main NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Baargah main is liye Aaya k main NEKI aur BADI k baaray main puchon, Magar mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:
" Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu) kiya main tumhen bata dun, jo tum mujh se Puchna Chahtay ho?
Main ne Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassallam) mujhey bataiye,
Farmaya tum Muhj se Neki aur Badi k Baary main Puchne Aae ho??
Main ne Arz kiya.. Qasam hai us Zaat ki jis ne AAP ko Haq k Saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi farmaya..
Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho..
(Dalael Un Nabuuwah, Page#115, RaqamUL Hadees 119, Matboo'a Daar Ut TAEBAH Riyaaz)
Imaam Daarmi (RehmatULLAH) likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Wabsah se farmaya tum NEKI aur GUNAH k Muta'alliq puchne aae ho?? Unhon ne kaha jee haan..
(Sunan Daarmi, Jild#2, Page#320, RaqamUL Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! Kiya main tumhen bata dun jo tum mujh se Puchna chahtay ho??
Mene Arz kiya Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujheu bataeye..
Farmaya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main Puchne aae ho,
Wabsah (Rzai ALLAH Anhu) ne farmaya AAP ne bilkul Sahi farmaya"..
(Musannad Ahmed, Jild#4, Page#228, Matboo'a Mo'sasta, Qurtuba Misar)
Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri main Riwayat karte hain:
Tarjuma: " Imaam Ahmed O Bazaar, Abu Ya'ali, Behki aur abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Wabsah (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha main NABI-E-KAREEM (Razi ALLAH anhu) ki Baargah main is liye Aaya k MAin NEKI aur BADI k Baaray main Puchon Magar Mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:
Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! kiya main tumhen yeh na bata dun jo tum mujh se puchna chahtay ho??
Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhey bataiye,
Farmaya Tum Mujh se NEKI aur BADI k Baaray main Puchne aae ho??
Mene Arz kiya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko HAQ k saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi Farmaya..
Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho..
(Khasa-e-Sul Kubra, Jild#2, Page#171, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Ab AAP hi Bataen, k Kisi k DIL ki Baat jaan lena, kiya hai?? Kiya yeh ILM-E-GAIB nahin??
Continue
No comments:
Post a Comment