Post #18
HADEES#23:
* YEH BAKRI BAGER IJAAZAT K ZIBAH HUWI HAI:
Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne ek Ansaari se Riwaayat ki, us ne kaha k ek Aurat ne NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassllam) k khaanay ki daawat ki, jab Khaana rakha gaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Luqma le kar Moun main chabaya to farmaya, main is Gosht ko is Bakri ka pata hun, jise Na Haq pakar liya gaya tha, Us Aurat se Pucha gaya, us Aurat ne kaha, k is ki Hamsaaya ne us Gost ko apne Shohar ki Ijaazat liye Bager Bheja tha"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#176, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah Beroot)
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#310, Matboo'a Dar Ul Qutub ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Daaood 275 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ansaar k ek Aadmi se Riwaayat hai, k hum RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) k saath ek janaazay main gae, AAP Qabar Khodney waaalay ko Waseeiyat farma rahe the, k Peron ki Jaaanib se QABAR ko kushaada karo, aur Sar ki Jaanib se QABAR ko Kushaadah karo, jab AAP waaapis huwe to ek Aurat ki taraf se Daawat dene waala aaya, AAP ne us ki Daawat ko Qubool kar liya, aur Hum bhi AAP k Saath the pas khaana laaya gaya, AAP ne apna Haath rakha, phir Qoum ne Apna Haath rakha, Sab ne khaaya Hum ne HUZOOR (ALEH SALAAM) ki taraf dekha, AAPapne Moun main ek Luqma chaba rahe the, AAP ne farmaya, Muhjey yeh ILM huwa hai, k yeh US Bakri ka Ghosht hai, jise us k MAalik ki marzi k Bager Laaya gaya hai, Phir us Aurat ko Bulaaya gaya, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) main ne kisi ko Mandi ki taraf bheja tha, Taa k Meray liye Bakri khared li jae, to bakri nahin mili, mene Apne Parosi ko pegaam bheja, Jis ne ek bakri khareedi thi, k woh Bakri Qeemat k Aewaz muhjey Bhej de to woh Parosi nahin mila, mene us ki biwi ko Peghaam bheja, to usne woh Bakri mujhey de si, tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya, yeh Khaana QEDIYOn ko khila do"..
(Sunan Abi Daa'ood, Baab Fi Ijtanaab Us Shabhaat, Jild#3, Page#244, Raqam Ul Hadees 3332, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)
Imaam Ali Bin Umar Al Daar Qatni Ul Baghdaadi 385 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, main is GHOSHT ko is Bakri ka paata hun, jise is k Maalik ki ijaazat k Bager Zibah kiya gaya ho"..
(Sunan Al Daar Qatni, Jild#4, Page#285, Matboo'a Daar Ul Ma'arfatah, Beroot)
Imaam Ani Al Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh us Bakri ka GHOSHT hai, jo Maalik ki Ijaazat k Bager Haasil kar k Zibah ki gai"..
(Al Tehqeeq Fi Al hAdees Ul Khilaaf, Jild#2, Page#212, Raqam Ul Hadees 555, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)
Faisla Aap k Haath main hai, k GHOSHT ka Luqma moun main Rakhte hi, pata chal jaana k BAQRI Ijaazat le k Zibah ki gai, ya bager ijaazat liye Zibah kiye gae, GAIB hai ya nahin, aur is ka Jaan lena, ILM-e-GAIB hai ya nahin..
Continue
No comments:
Post a Comment