Post #19
HADEES#24:
* TUMHARAY PASS AHL-E-JANNAT KA EK SHAKHS AARAHA HAI:
Muhammad Bin Abdullah Abu Abdullah Al Haakim NeshaPuri 405 Hijri main HAZRAT ABDULAH BIN MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hum NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Bargah main Haazir the, to RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aaraha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae"..
(Al Mustadrik Kitaab Ma'arfah l Sahabah, Jild#3, Page#73, RaqamUl Hadees 4443, MAtboo'a Daar Ul Qutub ilmiyah Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Haakim (RematULLAH Aleh) ne SAHI bata kar HAZRAT IBN-E-MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Unhon ne kaaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho ALehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aarha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae"..
(Khasa-E-s Ul Kubra, Jild#2, page#180, MAtboo'a DarUl Qutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Ali Khateeb Baghdaadi 463 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin AbdULLAH (RAZI ALLAH ANHU) bayaan karte hain k Hum NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the k, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Is Waqt tum par woh Shakhs Chmakay ga k, ALLAH ne mere Baad us se Behtar O Buzrug tar kisi ko nahin banaya, aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shafa'at ki misal hogi, Pas Hum Haazir hi the k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) Aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya Phir in ko Boosa diya uar Galay lagaya"..
(Taareekh-E-Baghdaad, Jild#3, Page#123-124, Matboo'a Dar ul Fiqar Beroot)
Imaam Muhib Ud Deen Tinri (RehmatULLAH ALEH) farmatay hain:
Tarjuma: " HAZRAT JAABIR BIN ABDULLAH (RAZI ALLAH ANHU) Bayaan kart hain k HumNABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne irshaad farmaya, is Waqt tum par woh Shkahs Chamkay ga, k ALLAH ne mere Baad us se Behter O Buzrug Tar Kisi ko Nahin banaya aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shaffa'at ki Misal hogi, Pas Hum Haazir hi the, k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya phir un ko Boosa diya aur Galay lage"..
(Ar Riyaaz Ul Nazrah Ul Ashrah, Jild#2, Page#28, RaqamUlHadees 435, Matboo'a Daar Ul Guroob Ul Islaami, Beroot)
Kisi ko Ahl-E-Jannat kehna kiya hai?? Haqeeqat aap k Saamnay hai... HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE ko Ahl-E-Jannat keh kar pukaara, yaani HUZOOR (ALEH SALAAM) jaantay they k woh Jannati hain, aur Jannat aur Dozakh k Baaray main Jaanna Yaani kon Jannati hai aur kon Dozakhi yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin, is ka Faisla Aap hi kar len.
HADEES # 25:
SAB SE BAD BAKHT INSAAN KON HAI??:
Imaam E Kabeer Muhaddis Shaheer Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main is Riwaayat k Baad likhte hain:
Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, kehte hain, Main aur Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Gazwah E Asheerah main hum Ruqaab the, ek jagah hum ne parao kiya, wahaan hum ne chand choti se Khajooron ko dekha, aur un k neechay maati ki dhool par hi sogae, humen NABI (ALEH SALAAM) k siwa kisi ne bedaar na kiya, AAP tashreef lae, aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) k paaon ko Aahista Tatola aur Haalat yeh thi k hum Mitti se lat pat the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya ALI utho! kiya main tumhen batlaon nahin k sab se Bad Bakht kon hai??
Ek to Qom E Samoood ka woh Mard Ahmer jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki ooontni k paaon Kaate the, aur dusra woh jo tum par is jagah waar karega, AAP ne apne Sir ki ek jaanib Ishaara kiya aur yeh tar hojae gi, AAP ne apni Daarhi mubarak pakar li..(Yaani Sir se le kar Daarhi tak khon hi khoon hoga)
(Dalael Un Nabuwwah Laabi Naeem Asfahaani Urdu, Page#497, Matboo'a Ziya Ul Quran Publications Lahore)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main bhi yahi Riwaayat karte hain:
(Bahawaala: Fazael E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, Page#566, Raqam Ul Hadees 953, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " to Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya k beshak RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se Uhad (Waada) farmaya k main us waqt tak nahin marunga, jab tak main khaleefa na ban jaoun, phir meri Daarhi ko mere khoon se rang diya jae.. to Aap (Razi ALLAH Anhu) bhi Qatal huwe, aur Abu Al Fazaalah (Razi ALLAH Anhu) bhi Yom E Safeen k roz Qatal huwe"..
(Al Ahaadees Ul Mukhtaar, Jild#2, Page#326, Raqam Ul Hadees 702, Makah Mukarrama)
Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Habeeb Ul Maawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Main nahin Marunga jab tak Meri Daarhi ko meray chehray k khoon se Rang na diya jae"..
(Aalaam Un Nabuwwah Al Baaab As Saani Asharfi, page#79, Awwal Baab Us Shaer Feema Sama Min Mojizaat, Akhbaar Ul Ahad, Page#157, Matboo'a Daar Ul Kitaab, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH ALEH) Lihkte hain:
Tarjuma: " Hazrat UbaidULLAH se Marwih hai k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya Ae ALI (RAZI ALLAH ANHU)Aglon aur Pichlon main Bad Bakht tareen kon hai??
Unhon ne kaha ALLAH aur us ka RASOOL (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ziyaadah jaante hain, unhon ne farmaya, Aglon ka sab se ziyadah Bad Bakht Saleh (ALEH SALAAM) ki Ooontni k haath paaon kaatne waala tha, aur Pichlon ka bad bakht tareen woh hoga, jo tumhen Neza maaray ga, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Muqaam par ishaara kiya, jahaan woh neza marey ga"
Imaam Jafar Suraiya Ali (Razi ALLAH Anhu) se marwih hai k main Hazrat ALI (Razi ALLAH Anhu) k haathon par paaani daal rahi thi, Yaka yak Unhon ne apna sir Uthaya, phir apni Daaarhi Pakar kar use naak tak buland kiya k tere liye Khushi hai k tu Zarur Zarur Khoon main rangi jaegi, phir Jummay k Din un par Hamla kiya gaya"..
(Tabkat E Ibn-E-Saad, Jild#3, Page#35, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot)
Imaam Jalal Ud Deen 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hakim (REMATULLAH) ne sahi bata kar HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Aap ne kaha mujh se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya,tumhen is jagah aur is jagah Zarb lagai jaegi, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne donon Kanpatiyon ki taraf ishaarah kiya, aur in donon se khoon Beh kar tumhari Daarhi ko Rangeen kar dega"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#210, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Suleman Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Usman Bin Suhaib apne Baap suhaib (Razi ALLAH Anhu) se Naqal farmate hain, k ek din HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ko farmaya yeh batlao, pehle logon main se Bad Bakht kon tha?
Aap ne Arz kiya jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki Ooontni ko Qatal kiya, aur Paaon kaatey, AAP ne farmaya tum ne theek jawaab diya..
Phir pucha acha yeh batlao Pichlay logon aur aane waalay logon main se Bad Bakht kon hai??
Unhon ne Arz kiya maalom nahin, AAP ne farmaya, Jo Shakhs Aap ko Kanpati par waar kar k shaheed karega..
Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ahl-E-Iraq ko farmatey the, Ba KHuda main chahta hun aur pasand karta hun k oi bad bakht uthey aur is aur is jagah (yaani Daarhi Mubarak aur Sar-E-Aqdas ki isi jaanib) ko khoon Aalood karta aur main Darjah E Shahaaadat ko paa leta"..
(Al Mu'ajjim Ul Kabeer Ul Tibraani, Jild#8, Page#38, Raqam Ul Hadees 37311, Jild#2, Page#247, Raqam Ul Hadees 2037-2038, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam O Al Mosal)
Continue
No comments:
Post a Comment