async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 20

Monday, November 2, 2015

Post 20

Post #20

Imaam Abdul MAalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya kiya main tumhen tamaam logon main se do Bad Bakht Aadmiyon k mutaa'alik na bataon??

Hum ne Arz ki zarur Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM), HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya ek Qom E Sammod ka woh shakhs jis ne Ooontni ki koonchen kaat din thin, aur dusra woh shakhs, jo Ae ALI! tere is maqaam par Zarb lagae ga ( HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Apna Dast E Aqdas HAZART ALI (Razi ALLAH Anhu) k Sir ki choti par rakha), yahaan tak k is maqaam k khoon se yeh jagah bhi tar hojae gi"...

(As Seearah Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn E Hasshaam Gazwah E Asheerah, Jild#3, Page#144, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Ali Bin Mehmood Bin Saood Al Khazai 789 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Yeh Mojizaat E NABI (ALEH SALAAM) main se hain, aur yeh Akhbaar Ul GAIB k baab main se hai"..

(Takhreej Ur Dalaalaat Us Samee'a Ul Fasal Fi Zakar O Akhbaar, Page#188, Matboo'a Daar Ul Garab Ul Islaami, Beroot)

Faisla aap khud karen.. k HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko batana k un ki Shahaadat kis tarah hogi yeh Ilm-E-GAIB hai ya nahin..

HADEES # 26:

ZAMEEN PAR CHALTA PHIRTA SHAHEED DEKHO:

Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Habeeb Ul Mawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir (Razi ALLAH ANhu) se Riwaayat hai k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe) ne farmaya, jo iraadah rakhta ho k main Zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey"..

(Aalaam Un Nabuwwah, Al Baab Us Saani, Ashar Fi Anzaarah Bama Sehdas baada, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)

Imaam Ibn-E-Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya jo chahay k zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhay, PhirTalha (Razi ALLAH Anhu) Yom E Jaml main Shaheed huwe"..

(Dalael Un Nabuuwah Al Behki, Jild#3, Page#32, Matboo'a Dar Ul kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Waahid Hambli Ul Muqaddasi 643 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Moosa Bin Talha (Razi ALLAH Anhu) ne apne waalid se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jo Mehboob rakhta hai k Zameen par Chalta phirta Shaheed dekhe, to ue Chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey, is Hadees E Mubaraka ki Sanad Hasan hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ibn-E-Maaja (RehmatULLAH Aleh) Riwayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat karte hain k Hazrat Talha (Razi ALLAH Anhu) ek martaba NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k pass se guzrey toAAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Shaheed Zameen par chal raha hai"..

(Sunan Abi Maaja, Fazal Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu), Jild#1, Page#46, Raqam Ul Hadees 125, Matboo'a Daar Ul Fiqar Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hiri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdul Aziz (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya jo Shakhs kisi Shaheed ko Zameen par Chalta Phirta dekhna chahay woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le"..

(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#29, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) farmatay hain k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko farmate huwe suna,

Tarjuma: " Jo Shakhs Shaheed ko zameen par chalte phirte dekhne se khush ho woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le"..

(Sunan Tirmizi, Jild#5, Page#644, Raqam Ul Hadees 3739, Matboo'a Daar Ul Haya, Beroot)

Ab yeh batana k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) Shaheed honge, yeh Gaib ka Ilm hai ya nahin??

Continue

No comments:

Post a Comment