Post #21
HADEES # 27:
Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam):
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Muhammad Bin Umro Bin Hasan (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hum Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) k saath karbala ki neher par the, Aap ne Shamar Bin Zil Joshan ko dekh kar farmaya, ALLAH TA'ALA aur us k RASOOL (ALEH SALAAM) ne such farmaya, Goya main Chitkabray kuttay ko dekh raha hun, jo meri Ahl-E-Bait ka khoon pee raha hai, Q k Shamar Mal'oon Bars k marz main mubtala tha"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Shobi (RehmatULLAH Aleh) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) Madina Munawwara Aae, Unhen Maaloom huwa k Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Iraq ki taraf Rawaana ho chukay hain, to woh madinay se do din ki musaafat par jaa kar un se mile aur un se kaha ALLAH TA'ALA ne apne NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ko duniya O Akhirat k darmiyaan ekhtiyaar karne ko farmaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Aakhirat ko ekhtiyaar kiya aur dunya ko rad kiya, q k AAP, RASOOL (ALEH SALAAM) k juzo hain, Khuda ki Qasam AAP main se kisi ko Duniya kabhi nahin haasil hogi, aur ALLAH TA'ALA ne AAP Hazraat se is duniya ko is cheez k saath Pher diya hai, aur jo AAP Hazraat k liye is se behtar hai, lihaaza AAP waapis chaliye, Magar Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ne waapisi se inkaar kar diya, to Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne aap se yeh kehte huwe Mu'aanikah kiya k AAP ko AALAH TA'ALA k Supard karta hun, Q k AAP Shaheed hain"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Hafiz Abu Bakar Bin Hussain Behki 458 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai unhon ne kaha k Main neRASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ek din dopeher k waqt khuwaab ki haalat main dekha k AAP k Baal Mubaarak Gard Aalood hain, aur AAP k dast E Mubarak main khoon ki botal hai, mene Pucha yeh kiya hai??
AAP ne farmaya Yeh HUSSAIN (razi ALLAH Anhu) aur in k Saathiyon ka khoon hai.. Aaj main Shoru din se is khoon ko is waqt tak jama karta raha hun, to mene apne khuwaab k waqt ko yaad rakha to yehi waqt tha, jis din woh shaheed kiye gae"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ammar Bin Abi Ammar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, mene khuwaab main dekha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k baal bikhre huwe, aur Gubaar Aalood hain, aur AAP dopeher k waqt ek Sheeshi uthae hain, jis main khoon bhara huwa hai, mene arz kiya, Ya RASOOL ALLAH! Yeh kiya Cheez hai??
AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur in k Ashaab (Razi ALLAH Anhu) ka khoon hai, main aaj din se le kar ab tak yeh khoon jama kara raha hun, Hazrat Ammaar Ibn-E-abi Ammaar (Razi ALLAH Anhu) farmaatey hain k hum ne woh din yaad rakha, phir maaloom huwa, k Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ko usi din Shaheed kiya gaya tha"..
(Musnad Ahmed, Jild#1, PAge#242, Raqam Ul Hadees, MAtboo'a Mosasta, Qurtuba, Misar)
Imaam Hafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Umm-E-Salma (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k meneRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ko khuwaab main dekha k AAP k Sar-E-Mubaarak aur AAP ki Daarhi Shareef Gard Aalood hai, yeh haal dekh kar mene Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Aap ka kiya haal hai??
AAP ne farmaya, Abhi Abhi Maqtal-E-Hussain se Aaraha hun"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)
Fasila Aap k haath main.. Haq ki pehchaan khud karen..
Continue
No comments:
Post a Comment