Post #22
HADEES # 28:
BESHAK IMAAM HASAN AUR IMAAM HUSSAIN (Razi ALLAH Anhu) JANNATI NOJAWAANON K SARDAAR HAIN:
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Hasan aur Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannat k Nojawaanon k Sardaar hain"..
(Sunan Tarmizi, Hadees Hasan Sahi, Jild#5, Page#656, Raqam Ul Hadees 3768, Matboo'a Daar Ul Ahya at Turaas Al Arabi, Beroot)
Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki 668 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur Baray BhaiHazrat Hasan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya:
" Beshak Imaam Hasan aur Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati Nojawaanon k sardar hain"..
(Musnad Ahmed, Jild#3, page#623)
(Ibn-E-Maaja, Raqam Ul Hadees 118)
Yeh Batana k, Hazrat Imaaam Hasan Aur Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati aur Jannati Nojawaanon k Sardaar hain, yeh Gaib hai ya nahin??
Faisla Aap k Haath main hai..
Hadees # 29:
SAB SE PEHLE MUJH SE WOH MILEGI JO TUM SAB MAIN DARAAZ-E-DAST HAI:
Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH) ne Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum Azwaaj main se woh Zoja mujhey sab se pehle milegi, , jo tum sab main Daraz-E-Dast hai, to hum naapnti thin, k kis ka Haath Taweel hain, to woh Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) thin, un k Haath taweel the, q k woh apney haath se Amal kartin, aur Sadqa kiya karti thin"..
(Khasais ul Kubra, Jild#2, PAge#219, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah Beroot)
Imaam Muhammad Bin Habbaan Bin Ahmed Abu Haatim 354 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone waali sab se pehli Biwi thin"..
(As Suqaat, Jild#3, PAge#144,Bar Raqam 485, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)
Imaam Ibn-e-Abdul Bar (RehmatULLAH ALEH) likhte hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) sab se pehle milne waali biwi thin"..
(Al Isti'aab, Jild#4, PAge#1850, Bar Raqam 3355, MAtboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Bhi Yahi Riwaayat karte hai:
(Ba Hawaala: Al Jaamay Us Sageer, Fi Ahaadees Ul Basheer Un Nazeer, Jild#1, Page#168, Raqam Ul Hades 2832, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ul Ilmyah Beroot)
Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehmaan Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hadees Shareef main hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne apni Azwaaj E Mutah'hiraat se kaha, tum main sab se pehle mujhey woh milegi, jis k Haath lambay honge, Azwaaj E Mutah'hiraat (Razi ALLAH Anhu) ek jagah jama ho kar apne haathon ki Pemaish karne lageen, Hazrat Soodah (Razi ALLAH Anhu) k Haath Taweel the, Magar in main Sab se pehle, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) ka Wisaal huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Haath ki Tawaalat se Sadqah aur Neki main Ziyad'dati ki muraad li thi, aur yeh khoobi Hazrat Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH Anhu) main Paai jaati thi"..
(Roz Ul Atfaal Man Sharah Shura, Jild#2, Page#364, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdur Rehman Abzi (RehmatULLAH) kehte hain k main ne Madina Munawwarah main Hazrat Ibn-E-Umar (RAzi ALLAH Anhu) k peeche, Zainab (Razi ALLAH Anhu) Zoj-E-NABI (ALEH SALAAM) ki Namaz-E-Janaza Parhi, AAP (Sallalaho Alehe Wassllam) k Pardah farmane k baad, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) pehli Azwaj E Mutah'hira thin, Jinhon ne wafaat paai, Aur Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne in ki Namaz main 4 Takbeeren Kahin"..
(Halya Tul Oliya, Tabkaat Ul Asfaya, jild#8, PAge#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Hussain Behki 258 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Woh Zainab Bint-E-Hajazh (Razi ALLAH Anhu), RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone Waali sab se pehli Biwi thin"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#285, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Al Khateeb 810 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab Bint-E-Hajash (RAzi ALLAH Anhu) sab se pehli milne waali Biwi thin"..
(Waseela E Islaam, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Ul Islaami, Beroot)
Faisla Aap karen.. k jis NABI (ALEH SALAAM) ne yeh bata diya, k Unki Azwaaj main Sab se pehle un ko Woh Zoja milengi jin k Haath Taweel honge (Yaani Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH ANhu)) unhen Gaib ka Ilm hai ya nahin
Continue
No comments:
Post a Comment