async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 23

Monday, November 2, 2015

Post 23

Post #23

HADEES # 30:

OWAIS KARNI (Razi ALLAH Anhu) Aur ILM-E-GAIB-E-Mustafa (Sallalaho Alehe Wassallam):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Muslim (Aleh Rehmah) ne Ameer Ul Momineen Hazrat Umar-E-Faarooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne hum se Irshaad farmaya k Ahl-E-Aman ka ek Shakhs Tumharay pass Aaega, aur Yaman main Sirf Apni Waalidah ko hi chor kar aaaega, Is k Jism par Safedi thi to, usne ALLAH Azzawajal se Use Dur karne ki dua ki to, woh Safedi dur Jati rahi, Sirf Ek Deenaar k barabar Safedi baaqi hai, is ka naam Owais (Aleh Rehmah) hai, to tum main se jo koi us se Mulaqaat kare, to use Chahiye k us se Magfirat ki Darkhuwaast ki dua kare"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH) ne Dusri Sanad k saath, Hazrat Umar-E-Farooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, K RASOOL (ALEH SALAAM) ne farmaya, k Taba'een main, Qur'n ka ek Shakhs hoga, jis ka naam Owais E Karni (Aleh Rehmah) hoga, is k Jisam main Safedi Zaahir hogi, woh ALLAH Azzawajal se use Dur karne ki dua karega, aur Woh Dur hojaegi,woh dua karega, " Ae Khuda! MEre jism se is Safedi ko dur kar de, aur mere jism main itni safedi chor de, k main teri nemat ko yaad rakhun, to ALLAH TA'ALA Azzawajal us k jism main itni safedi chor de ga, lihaaza tum main se agar koi us se mile, aur woh ista'taa'at rakhta ho k is se Istagfar kare to use Laazim hai k Us se Istagfaar ki darkhuwaast kare"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#220, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Muhaddis E KAbeerImaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Sahaba E KAraam (Razi ALLAH Anhu) kehne lage, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) in Buzrugon main humen koi Aadmi mil sakta hai??

Farmaya: Haan " Owais Karni" hai, jis se tumhari Mulaaqaat hogi, Sahab E Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) ki Alaamaat puchin,

farmaya: Jis ki Aankhen Surkh Maael Hongi, Surkh Baalon Waala hoga, Kushada Kaandhon waala, Darmiyaan E Qad Waala, Gandum Go, Seenay par Baalon Waala, Daayaan Baaen par rakhe ga, Qura'an ki Tilaawat kare ga, aur Apne par Bohat Rota hoga, Suno Us k Baa'en Kaandhay k neeche ek chamak hogi, Ahl E Zameen main use koi nahin jaanta, Ooon ka Ozaar Baandha hoga, Ooon hi ki Chaadar Orhi hogi, Khoob sun lo , Qayaamat k Din Aam logon se Kaha jawega, k Jannat main daakhil hojao, aur Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) se kaha jaega, k Idhar kharey hojao, aur Shafa'at karo, tumhaari Shafa'at Kabool ki jae gi, Ae Umar O Ali jab tumhari in se Mulaaqaat hogi, to in se Istagfaar karwaana, ALLAH Tumhari Magfirat farmae ga"..

(Huliya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#2, Page#82, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, is Ummat main mera Khaleel Owais Karni hai"..

(Tabkaat Ibn-E-Saad, Jild#6, Page#163, MAtbo'a Daar Us Saadir Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad O Haakim (Aleh Rehmah) ne Abdur Rehman Bin Abu Laili (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k Jang Safeen k Roz Ahl-E-Shaam k ek Aadmi ne Pukaara k kiya Tum main Owais Karni (Aleh Rehma) hain??

Logon ne jawaab diya, Haan hain..

Us ne kaha mene NABI (ALEH SALAAM) se suna hai, k Owais Karni (Aleh Rehma) Khair Ut Ta'ba'een hain..

Is k Baad woh Shakhs apne Ghoray ko Aerh laga kar apne lashkar main chala gaya"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Abu Naeem Asfahaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " Hazrat Muhaarib Bin Dasaar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Bila Shuba meri Ummat main se aese log hain, jo nangay honay ki wajah se apni Masjid aur Eid Gah main nahin ja sakte, aur un ka Eemaan unko logon se maangne se Rokta hai, un main se Owais Karni aur Faraat Bin Hayaar (Razi ALLAH Anhu) hain"..

(Halya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#9, Page#38, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn E Saad O Haakim (RehmatULLAH) ne Batareek Aseer Bin Jaabir (Aleh Rehmah) Hazrat Umar (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, inhon ne Hazrat Owais KArni (RehmatULLAH Aleh) se farmaya, Aap mere liye IStagfaar farmaen, Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) ne famraya, main Aap k liye q kar Istagfaar karun?? Jab k AAP Khud RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Sahaabi hain..

Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Main ne RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se Suna hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khair Ut Taab'aeen woh Shakhs hai, jis ka Naam Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#221,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Yeh Hadees Bad Aqeedah Fitnon k Moon par Tamacha hai.. Q k is main HUZOOR (ALEH SALAAM) k Ilm-E-Gaib ki Daleel bhi hai, aur Waseelay ka Saboot bhi...

HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Sahaba E Karaam ko Owais Karni k Baaray main Batana, k Woh kis tarah k honge, aur Mulaaqaat bhi hogi, wagera.. aur woh Baroz E Qayaamat Shafa'at bhi karenge, yeh Ilm-E-Gaib ka Saboot hai..

Aur OWais Karni se Dua ki Darkhuwaast karna, aur ALLAH ka Istagfaar kabool karna, yeh Waseelay k Dalael main se hai..

Faisla Aap khud karen..

Continue

No comments:

Post a Comment