async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 24

Monday, November 2, 2015

Post 24

Post #24

HADEES # 31:

DO AZEEM GIROH K DARMIYAAN ALLAH AZZAWAJAL US K ZARIYE SULAH KARWAE GA:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Bukhari (RehmatULLAH Aleh) ne, Abu Bakar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Imaam Hasan (Razi ALLAH Anhu) ki Baabat farmaya, Mera Yeh Farzand Sardaar hai, aur Tawwaqqah hai k ALLAH Azzawajal Musalmaanon k Do Azeem Girohon k Darmiyaan us k Zariye Sulah karae ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#226, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ismail Bin Muhammad Bin Al Fazal Al As Subhani 535 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Imaam (RehmatULLAH Aleh) farmate hain k yeh Hadees Nabuwwat par Dalaalat karti hai k Isi tarah huwa jesa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, k ALLAH Azzawajal ne Us k Zariye Iraaqi aur Shaami Lashkaron main Sulah Farmadi"..

(Dalael E Nabuwwah, Page#112, Raqam Ul Hadees 114, Matboo'a Daar Ul Taeba Riyaaz)

Faisla Khud karen k NABI (ALEH SALAAM) ne pehle hi Bata diya k Imaam Hassan (Razi ALLAH Anhu) Do (2) Baray Giroh k Darmiyaan sulah karwaen ge.. Aur Aesa hi juwa, To yeh ILM-E-GAIB nahin to aur kiya hai??

HADEES # 32:

UMM E WARQAH BIN NOFIL (Razi ALLAH Anhu) SHAHEED HAI:

Imaam Behki (RehmatULLAH) Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat UMM E Warqah Bint Al Haaris (Razi ALLAH Anhu) ki Mulaaqat k liyeRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef le jaate, Aur AAP ne Un ka Naam As Shaheedah rakha tha, woh Quraan ki Haafiza thin, Jab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Gazwah E Badar Tashreef le gae, to unhon ne kaha Aap Mujhey ijaazat den, to main bhi aap k saath jaaoun aur Mareezon ki Zakham Patti aur Beemaaaron ki Temaadaari karun, Shayad ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Ata farmae, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH TA'ALA tum ko Shahaadat Ata farmae ga, aur AAP in ko As Shaheedah kehte the, aur NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne in ko Hukum diya tha, k woh apne Ghar ki Khawaateen ki Imaamat kiya karen, in ko Maal E Ganeemat main se ek Baandi aur Ek Ghulaam mila tha, jin ko unhon ne Madbar kar diya tha, (Yaani un se keh diya tha, k mere marnay k baad tum azaad ho).. HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) k Dor E Khilaafat main in donon ne Hazrat Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kar diya aur donon Bhaag gae, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) k Hukum se unko pakar liya gaya, aur un donon ko Suli par latka diya gaya, Madinay Taebah main in ko sab se pehli Sooli di gai thi, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sach farmaya tha, AAP farmate the, Chalo As Shaheedah ki Ziyaarat k liye chalen"..

(sunan Al Kubra,Jild#3,Page#130,Raqam Ul Hadees 5136, Matboo'a Maktab Daar Ul Baaz, Makah Mukarrama)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abu Daaod Naeem (Aleh Rehmah) ne Jamee aur Abdur Rehman Bin Khalaad Ansaari (Razi ALLAH Annhu) se in donon ne Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (ALEH SALAAM) jab badar gae to, Umme Warqah Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)! Mujhey Gazwah E Badar main Apni Ma'yyat main Jaane ki Ijaazat Dijiye, Mumkin hai k ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Naseeb farmae, AAP ne farmaya Tum Apne Ghar main Bethi raho, ALLAH Azzawajal tumhen Shahaadat Naseeb farmae ga, to in ko Lod Shaheedah k naam se Pukaarte the..

Is ki Shahaadat ka Waqiyah yeh huwa k woh Quraan E Kareem ki Tilaawat kar rahi thin, aur unhon ne Ek Ghulaam aur Baandhi ko Madbar kiya tha, woh donon raat k Waqt in k pass aae, aur ek Chaadar se in ka Gala Ghont diya, yahaan tak k woh Foat hogain, Yeh Waqiyah HAZRAT UMAR E FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) k Zamana E Khilaafat ka hai, phir un ko pakar k Sooli de di gai, yeh Madine Munawwarah ki se Pehli Sooli Charne waalay the"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#228-229, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Ibn-E-Saad (Aleh Rehmah) likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne sach farmaya tha, k AAP (ALEH SALAAM) farmate the, k Aao Shaheedah ki Mulaaqaat k liye Chalen"..

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jld#8,Page#475,Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Faisla Hkud karen, k Umme Warqah ko Shaheed hone s pehle batana, k Woh Shaheed hongi, aur un ko As Shaheedah keh k Pukaarna Yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin??

Continue

No comments:

Post a Comment