async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 25

Monday, November 2, 2015

Post 25

Post #25

HADEES # 33:

LEKIN WOH SHAKHS NAALEN MUBARAK KO SEENAY WAALA SHAKHS HAI, YAANI HAZRAT ALI MURTAZA (RAZI ALLAH ANHU):

Imaam Muhib'Bud'Deen Abu Al Abbas Ahmed Bin Abdullah 694 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) se suna k beshak tum main se ek Taaweel Qura'an pe Jhagra karega, jese k is k Nuzool par jhagra kiya tha to, Hazrat Abu Bakkar (Razi ALLAH Anhu) farmane lage, kiya woh main hun Ae ALLAH k RASOOL (ALEH SALAAM), to HUZOOR (ALEH SALAAM) farmaanay lage, nahin, Balkay Jootay k Seenay waala Hujray main hai,aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko Joota Mubaarak diya tha, taa k is ko si lay"..

(Zakhair Ul Aqi Fi Manaqib Zawi Al Qarbi, Page#76, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Masriyah)

Imaam ahmed Bin Hambal 241 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:

(Ba Hawala: Fazail E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, age#571, Raqam Ul Hadees 966, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)

Imaam Bagdaadi (RehmatULLAH) ne bhi yahi likha:

(Ba Hawala: Taareekh E Bagdaadi, Jild#8, Page#433, Ba Raqam 4540, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah BerooT)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH) ne Sahi bata kar Behki (RehmatULLAH ALEH) ne Abu Saeed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k saath the, AAP ki Naalen Mubaarak toot gai, to HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu) Peeche reh kar ise seenay lage, phir kuch door chal kar farmaya, tum main se ek Shakhs woh hai jo Quraan ki Taaweel par jang karega, jis tarah k main us ki Tanzeel par jang karta hun, Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, Kiya woh main hun??

Farmaya: Nahin

Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki Kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) main hun??

Farmaya: Nahin

Lekin woh Shakhs Naalen Mubarak ko seenay waala shakhs hai, Yaani HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu)"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#234,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Khud karen, Pehle se hi Bata dena, k Woh Shakhs Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) honge, yeh Gaib ka ILM hai ya nahin..

HADEES # 34:

SAB SE PEHLE JO MERI SUNNAT KO BADLAY GA WOH BANI UMMAIYYAH KA AADMI HOGA (YAANI YAZEED):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Abi-Sheeba O Abu Ya'Ali Aur Behki (RehmatULLAH) Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna hai k AAP ne farmaya, sab se pehle jo meri Sunnat ko Badlay ga, woh Bani Ummaiyah ka Aadmi hoga".

Behki (RehmatULLAH ALEH) ne farmaya, Shuba hota hai, k Gaaliban woh Aadmi YAZEED BIN MAAWIYAH HAI"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Haaris Bin Abi Usama 282 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jarah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Deen Hamesha Mu'at'tadal aur Adal O Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta, Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, us main Rakhna Daaley ga"..

(Bagyat Ul Baahis An Zawaid, Musannad Ul Haaris,jild#2, Page#642, Raqam Ul Hadees 616, Matboo'a Markaz E Khidmat Al Sunnah, Wa Seerat Un Nabuuwwah, Al Madina Tul Munawwarah)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Mani O Behki Aur Abu nAeem (RehmatULLAH Aleh) ne Abu Ubaidah Bin Al Jarrah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Yeh Deen Hamesha Mu'attadal aur Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, is main Rakhna Daale ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH ALEH) ne Maaz Bin Jabal (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya tum par Andheri raat k tukray ki maanind fitnay aaye, jab Ek RASOOL Gaya, aur Dusra RASOOL aa gaya,aur NABUWWAT mansookh hogai, aur Baadshahat Aagai, Ae Maaz (Razi ALLAH Anhu) Yaad rakho, aur Gino (Phir Fitnay batana Shoru kiye) aur jab 5 tak puhnchay, to Farmaya, Yazeed, ALLAH Azzawajal, Yazeed main Barkat na de, is k baad AAP (ALEH SALAAM) ki Aankhon se Behnay lage, aur farmaya, mujhey Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ki Shahaadat ki khabar di gai, aur in k Maqtal ki Mitti lai gai, aur Mujhey in k Qaatil ki Khabar di gai, Is k Baad jab 10 Tak puhchay, to farmaya, Waleed, Yeh Firon ka naam hai, Woh Islami Shariyat ka Dhaanay waala hoga, is k Ahl-E-Bait ka ek Aadmi us ka khoon bahaega"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#237,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Khud karen.. kiya yeh Ilm-E-GAIB nahin, k Pehle se Yazeed ka bata dena, k Sab se pehle Sunnat Badalna Wala Aadmi Yazeed hoga..

Note: Wahabi Yazeed ko Sahi ko Maante hain, ab Aage aap khud samajh jaen, k Wohi Pehla Aadmi tha, NABI (ALEH SALAAM) ki Sunnat ko badlne waala, to us k Chahne waale Kese honge, aur Yahi Baat hai, k Yeh log ILM-E-GAIB k Munkir hain..

Continue

No comments:

Post a Comment