async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 40

Monday, November 2, 2015

Post 40

Post #40

HADEES # 48:

TU NE US K RUKHSAAR MAIN EK TIL DEKHA HAI, JIS WAJAH SE TERAY JISAM KA AR BAAL KHARA HOGAYA:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Saabit (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Bani Qalb ki ek Aurat ko Nikah ka Peghaam diya, aur Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ko dekhne k liye bheja to woh Gain, jab woh Waapis Aaen to RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne un se Pucha, tum ne kiya dekha?? Unhon ne kaha mene koi khaas Baat nahin dekhi, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Tum ne ek Khaas Baat dekhi hai, tum ne dekha k us k Rukhsaar par ek Tilhai, jis ko dekh kar tumharey Badan k Tamaam Rongtay khareyhogae, is par unhon ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) AAP se koi Baat posheedah nahin hai, Yaani AAP (ALEH SALAAM) ko har Shey (Cheez) ka ILM hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Al Jozi 597 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (ALEH SALAAM) ne un ko us Aurat ko dekhne bheja, jis k liye AAP ne Peghaam E Nika diya tha, to unhon ne Aa kar kaha, main ne koi khaas baat nahin dekhi hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum ne us k rukhsaar par til dekha hai, jise dekh kar tumhaarey Rongtay kharey hogae, woh Farmaati hain, AAP (ALEH SALAAM) se koi baat posheedah nahin reh sakti, khuwaaaah koi AAP se kitna hi chupaae, kis main yeh Jur'at hai"..

(Al Wafa, Ba Hawaal Ul Mustafa, Al Baab Al Khaamis, Ashar Fi Akhbaar E RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Bilgaayebaat, Jild#1, Page#314, Matboo'a Mustafa, Al Baabi, Misar)

Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Riwaayat ki gai hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek aurat ko Daawat-E-Nikah di, aur Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ko dekhney k liye Bheja, jab Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (RAzi ALLAH Anhu) Waapis Aain, to Arz ki main to is main koi Faeda nahin dekhti, to HUZOOR (ALEH SALAAAM) ne Farmaya, tu ne us k Rukhsaaar main ek Til dekha hai, jis ki Wajah se terey Jisam ka har Baal khara hogaya"..

(Roz-Ul-Anaf, Lilsaheli, Gerat-Un-Nisa Un Nabi, Jild#4, PAge#20, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap khud kar sakte hain, yeh Hadees to Khulli Daleel hai ILM-E-GAIB ki... jis main Saaf Waazeh hai, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Bataya Hazrat Ayesha ko k unhon ne Un k Rukhsaar pe til dekha tha, aur til dekhney se un k rongtey kharey hogae..

kiya yeh ILM-E-GAIB nahin??

aur to aur jawaab main Hazrat Ayesha (RAzi ALLAH Anhu) ne kiya kaha??

Unhon ne kahaa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko har Shey ka ILM hai, aur un se koi bhi Baat Posheedah nahin.. Ab Aap hi Eemaan ki Roshni main Faisla karlen.. JazakALLAH

Continue

No comments:

Post a Comment