async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Post 41

Monday, November 2, 2015

Post 41

Post #41

HADEES # 49:

AGAR TUM CHAHTEY HO TO MAIN TUMHEN BATA DETA HUN, K KIS CHEEZ NE TUMHEN WAHIN ROKAY RAKHA??:

Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:

TArjuma: " Allama Zubair (Bin Bakkaar RehmatULLAH Aleh) ne Riwaayat kiya k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Shakhs ko kuch Tahaif de kar, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) k Pass Bheja, Woh Qaasid kaafi Arsaa Wahin thera raha, jab woh Waapis Aaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usey Farmaya, Agar tum chaho to main tumhen bata deta hun, k Kis cheez ne tumhen Wahin Roqye rakha?? Us ne Arz ki haan!! HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (RAzi ALLAH Anhu) k Husan O Jamaal ne tujhey wahin Roqey rakha, Us ne Arz ki HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sach farmaya, main un k Husan O Jamaal ki Dil Kashi main Khoya raha"..

(Roz Ul Anaf, Baab Ul Hajrah, Ali Al Arz Al Habsha, Jild#2, Page#91, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaaami 942 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Abi Aasim (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat ki, kaha k Mujh se Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) k ek Ghulaam ne Hadees Bayaan ki k RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) k pass koi cheez Hadyatan bheji, aur woh Qaasid kuch der thera raha, phir woh Qaasid aaya, to RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne use Farmaya, tum kis liye theray rahe..?? phir farmaya, agar tum chaho to main tumhen bataoun k kis Bina par tum theray rahe?? Farmaya, tum ek Nazar Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) par Daaltey they, uar ek

Nazar Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) par, uar yeh dekhtey the, k in main se kon Ziyaaadah Haseen hai, usne kaha, AAP ne such farmaya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko Haq k Saath Ma'oos Farmaya, isi Baat ne, mujhey Therae rakha tha"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#180, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Yahi Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaami 942 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Zubair Bin Bakaar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mujh se Muhammad Bin Salaam (RehmatULLAH Aleh) ne Hadees Bayaan ki, kaha k mujh se Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Ghulaam Abu Al Muqaddam ne Hadees Bayaan ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne Ek Aadmi k haath Bakri k Paae, Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k yahaan bhejey, woh Aadmi kuch der thera raha, NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya, agar tum chaho to main tumhen bata dun, k kis liye tum wahaan theray rahe, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Aleh Salaam)!! Zarur bataiyeh, AAP (Aleh Salaam) ne Farmaya, tum Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) ko dekh kar un k Husan par Ta'ajjub kar rahe the"..

(Sabal Ul Huda, Jild#10, Page#54, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap khud kar sakte hain, k kiya yeh ILM-E-GAIB nahin, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Bata diya, k Qaasid wahaan kis Wajah se ther gaya tha, khud parhen aur khud Sochen... JazakALLAH

Continue

No comments:

Post a Comment